Chapter - 56
Ladkon ke aaghman ko bhula, Mishra parivaar ne dhoom dhaam se Ruhana ka birthday manaya.
Khub saara cake, mithai, puri, kheer dekh bachon ki khushi ka thikana hi na raha. Sab ne khub maje se khaye.
Karib raat ko 9 baaje karyakram samaapt hua aur sabhi log apne ghar ko chale gaye.
Mishra ji darwaza band hi kar rahe the ki Aashish aata dikha unhe.
''Arey Aashish!! Beta itna late aaye tum!! Party toh khatam bhi ho gayi!" Mishra ji bole par usko andar aamantrit kiya.
Aashish ne ghar mei pravesh kiya aur Ruhana ko janamdin ki mubarak bat di, saath hi ek tohfa bhi. Waise toh Ruhana ko uska aana hi pasand na aaya par aab wo apna mood na bigadna chahti thi issliye chup chap tohfa le liya.
''Thank you!" Itna kehti hui Ruhana apne kamre mei chali gayi wahan karti bhi kya.
....
Maar kha ke ladke apne mohalle pahuche. Teeno sidhe apne dusre dost ke ghar gaye aur apna huliya sudhara.
''Padd gaya chen!! Aa gayi kaleje mei thandak?? Arey bol rahe the nahi jaate hai par fir bhi jabardasti le gaye, dekha aab kya hua? Aab toh uska picha chodo yaar!!!" Birju Vineet pe bhadka.
''Aur kya!! Saara khandan paagal hai, maar maar ke bharta bana diya hai sabne aur aap ho ki maante hi nahi. Dekho, aab chahe kuch ho main toh naa jayungi unn pahalwaano ke ghar.'' Karan ne haath khade kar diye.
''Abey aye, jyada bakwas na karo samjha. Bade aaye, aab nahi jaayenge! Saalon na jao humko kya padi hai, lekin hai fir galti se bhi mujh se help mangne na aana, samjha!" Karan ko laat maar girata hua Vineet bola.
Jaise taise toh teeno ne khudko saaf kiya aur nehla dhula ke baithe uspe bhi Vineet ne aab gira diya Karan ko.
''Paagal ho gaye ho kya bhai? Maar sar pe chadh gayi hai kya aapke, baukhla gaye ho kya?" Karan bhadka.
''Rahi baat help ki toh na karna, hum khud dekh lenge apna aapki jarurat nahi. Waise bhi jahan gaye maar hi khai hai, hamara koi kaam toh aab tak bana bbi nahi toh aab bhi aapse koi umeed nahi hai humein.'' Birju ne saaf saaf keh diya ki aab kuch ho wo Vineet ka saath nahi dega, Karan ne bhi uska saath diya kyunki aab dono hi aur maar nahi kha sakte the.
Par Vineet aache se janta hai, ye dono uske bina kuch nahi kar sakte. Rahi baat Ruhana ke ghar jaane ki toh utna wo bhi samajh chuka hai ki na Ruhana aur uska parivaar usse raati bhar pasand karte hai. Issliye Vineet ne faishla kiya ki wo Ruhana ko bas ek aur mauka dega, ek aakhri mauka uski girlfriend banne ka aur agar wo na maani toh Sikha toh hai hi.
''Thik hai!! Aab kal se tum dono apne taste aur main apne. Na hum ek dusre ko jabardasti kahin leke jaayenge nahi hi ek dusre ko help ke liye bulayenge. Apna apna kaam khud karenge chahe jaise ho, apne baap se khud ladenge hum aur haan, jab kabhi phash jaaye toh ek dusre ko bilkul nahi ghasitenge!!'' Vineet ne apni baat rakhi, aab jab dono ne haath khade hi kar diye hai toh kyun na dhang se taste alag kiye jaaye.
Karan aur Birju ne ek tak ek dusre ko dekha fur haan mei sar hila diya kyunki unko pakka yakeen hai ki agar Vineet na ho toh aadhe waqt wo maar bilkul nahi khayenge aur rahi baat unke baapon ki toh jab ladke kuch karenge hi nahi toh baap maarenge kyun unhe, koi tuk hi nahi banta hai.
Aab jab baat saaf ho gayi, ladke apne dost ke ghar se nikle aur apne ghar ki aur chal diye.
Raste mei hi teeno ko unke pita ne pakad liya.
''Kahan gaye the teeno? Ye koi waqt hai wapas aane ka?" Sharma ji gurraye.
''Kya bhaiya, inn aawaron se kya hi kuch umeed kare. Jab dekho yahan wahan muh karte firte hai teeno, aur toh kuch aata nahi inko. Awara gardi karwa lo bas unse.'' Kishori lal ji muh banate hue bole.
''Oh Chacha! Bina baat ke kuch bhi bolne lagte ho aap toh. Main ek dost ke birthday mei gaya tha wahan late ho gaya, aab kya birthday party dopahar mei rakhne bolu dost ko?'' Vineet ne jawab diya.
''Huhh!! Ye tu dhang se bhi bol sakta tha ki teeno birthday mei gaye the par tameez toh hai nahi.'' Shukla ji bole,Vineet ne jhat se unki baat kaati.
''Nahi nahi chacha!! Hum teeno nahi, main gaya tha birthday party mei. Ye dono kahan the uska mujhe pata nahi,main toh bas abhi mila inse, chauraahe pe!" Vineet ne Kishori lal aur Shukla ji se bataya aur wahan se muskurataa hua chal diya.
Karan aur Birju ka muh khula hi reh gaya. Vineet ne itni aasani se unhe phasa diya aur aab unke baap unke piche padd gaye ki aakhir raat ke 9 baje tak dono the kahan. Jitna dono khudko bachane ki koshish karte rahe utne hi phaste gaye.
Yahan Vineet apne ghar pahucha. Muh haath dho kapde badle aur pahuch gaya rasoi mei jahan uski maa uske pasand ka khana bana rahi hai.
Vineet ne unke gale mei baahein daal di.
''Maa, tum kitna kaam karti ho roj.'' Pyari si awaz mei Vineet bola.
Sharda ne pyar se Vineet ka gaal thapthapaya.
''Beta ji, aab main nahi karungi toh aur kaun karega? Itne ameer toh hai nahi ki naukar rakhe aur naa hi abhi teri padhai puri hui ya koi naukri hai jo teri shadi karwa ke ek bahu le aau. Toh mujhe hi karna padega na.'' Sharda ne bade hi pyar se jawab diya.
Vineet unse alag ho, samne wali table pe baith gaya haath mei ek roti mod ke pakad li aur khane laga.
''Fikar maat karo maa, dekhna ek din tera ye beta itne paise kamayega ki das - das naukar ghoomenge tumhare aas pass. Ek khana banane ko, ek bartan dhone ko, ek kapde dhone ko aur do char tumhari sewa karne ke liye. Aur Babu, maa tu order toh de ek kya tere liye char char bahu khadi kar dun main.'' Chahti chaudi kar Vineet bola.
Sharda Vineet ki baaton pe muskura di, usse laga beta maa ke pyar mei bawra ho chala hai par bahar khade Sharma ji ko aisa bilkul nahi lagta.
''Haan haan!! Char kya, tumhara bas chale toh puri Dilli ki ladkiyon se shadi kar lo issi mei toh mann lagta hai tumhara.'' Muh banate hue Sharma ji bole, Vineet ne aankhe badi kar unhe ghura kyunki chahe wo jaisa ho apni maa ke samne bura nahi banna chahta.
Par Sharma ji kahan manne wale, aisa lagta hai aaj wo Sharda se saara sach bata hi denge.
....
To be continued....
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top