Chapter - 50

Sham ka Samay

Ruhana class khatam kar college se bahar nikli, unka chehra utra hua tha aur iski wajah uski dost thi. Badi aasani se uski dost ne sara ilzam Ruhana pe dal diya ki jarur Ruhana ne kuch kiya hoga tabhi Vineet ne usse chod diya nahi toh wo uss se bahut pyar karta hai.

Ruhana ko uski baaton pe bahut gussa aaya aur usne bina jhijhak ke Vineet ki saari kartut uske samne khol diya par Shikha kahan manne wali thi uski koi baat.

Dono mei behes hui aur Ruhana class se nikal aai, karti bhi kya wahan rehti toh baat hadh se bahar ho jaati.

Apni scooty pe baith Ruhana ne road ki auur scooty ghumaai toh samne se Aashish chala aa raha tha apni bike pe. Ruhana ke pass pahuchte hi Ashish ne bike roki aur muskuraya.


''Main tumhe lene hi aa raha tha!'' Apni battishi dikhate hue Ashish bola jo sunke Ruhana ko aur gussa aa gaya, lagta hai aaj ka din hi kharab hai uska.

''Main khud jaa sakti hoon ghar, tumhe aane ki koi jarurat nahi hai aur ek baat shayr kal ke thappad se tumhe ye samajh na aaya par aab main clear kar doon ki mujhe tum mei koi interest nahi hai, bewajah mere aage piche ghoomna band karo.'' Spasht roop se Ruhana ne Ashish ko samjha diya.

Ashish ka chehra latak gaya,''Ruhana main janta hoon kal jo meine kiya wo galat tha par maine tumhare liye hi unn ladkon se ladne gaya tha kyunki wo tumhe pareshan kar rahe the! Main bas tumhari madad karna chahta tha!'' Ashish ne apni baat rakhi, waise toh wo kal hi samajh gaya tha ki Ruhana usse jara sa bhi pasand na karti aur na hi uss se shadi karegi par wo fir bhi koshish karna chahta hai sab kuch thik karne ki.

Parantu Ruhana ko uske saath kuch thik nahi karna, jo pasand nahi uske saath aache sambandh ka faida hi kya?
Banawti aur dikhawe ke rishte se toh aacha hai rishta hi na ho!

''Par mujhe tumhari kissi madad ki jarurat nahi main khud unko sambhal lungi tumhe meri fikra karne ki jarurat nahi aur naa hi madad ke bahane mere aas pass ghumne ki jarurat hai, samjhe!'' Ruhana ne Ashish ko fatkaara aur wahan se nikal gayi, Ashish dekhta hi reh gaya.

Idhar dusri aur Karan aur Vineet ghar ko bhag chale the. Bhagne ke do kaaran the!

Pehla, dono wahan baithe baithe thak gaye the kyunki wahan se na koi ladki gujar rahi thi na hi koi dukan thi jo dono apna mann behlaate. Aur dusri ye ki Birju ko fir se peeta jaa chuka hai, Kishori ji ne usse patak patak  ke maara hai kyunki uske shadi ka bhoot sawar ho gaya tha jisko utarna bahut jaruri tha. Ye baat jaan ke dono ladke Birju ke pass bhage usse dekhne je liye.

....

Vineet aur karan, Chandani chawk pahuche aur sidhe Birju ke ghar gaye.

Ghar mei ghushe toh paya Kishori kii abhi bhi angan ke chakkar laga rahe hai, haath mei chadhi aur muh pe gussa liye. Birju ki maa kone mei baith unhe dekhe jaa rahi hai par Birju ka kahin pata nahi, shayad wo kamre mei hai.

Dabe paon dono uske kamre ki aur badhe par kishori ji ki tej awaj ne dono ko darr se hawa mei uchal diya, jhat se mude ye soch kahin unhe bhi na maar pade.

Dono simat ke ek duje se chipak gaye jab dekha kishori ji unke kareeb aa rahe hai, unki najrein dono pe hi tiki hui hai, aisa laag raha aaj dono yahan se bach ke naa jaayenge.

''Aye chacha, sochna bhi nahi mujhe chooney ki haan! Sabko pata hai hum yahan aaye hai, ek kharoch bhi lagi na toh police dhar legi tumhe!'' Karan ne Kishori ji ko darane ki koshish ki aur enam mei ek jordaar chanta uske gaal pe padd gaya, Vineet ne kuch na kehna hi sahi samjha.

''Kaise nalayak ho tum log? Khudki kartut thik nahi aur mujhe dhamkane chale ho, arey jaisi tum logon ki harkat hai un uss hisab se toh kala paani ki saja ho jaani chahiye tum logon ko. Kabhi socha hai tumhari kartuton se kitna bura prabhaw padega hum sabki jindagi pe?'' Kishori ji chillaye, Vineet aur Karan unhe dekhte hi rahe, unhe samajh nahi aa raha tha ki achanak kishori ji ko hua kya.

''Rehne dijiye na!'' Birju ki maa kishori ji ko rokne lagi par unhone Birju ki maa ko krodh bhari najron se dekha.

''Haan, rehne hi diya hai aaj tak tabhi ye natija hai! Pure seher ki kis gali mei apna muh na kala kiya hoga inn nikammon ne! Khudki izaat hai nahi aur hamari izzat ki parwah nahi, kam se kam tum log apni behen ka hi soch lo aur sudhar jao. Kya tum logon ko lagta hai jaisi harkat hai teeno ki waise mri koi vyah ke le jaayega tumhari behen ko? Log toh yahi kahenge na behen bhi bhai jaisi hi hogi, kabhi khayal kiya iska?'' Apni baaton pe zor dalte hue kishori ji ne pucha, dono ladkon ne najrein jhuka li.

Waise toh na Karan ki koi behen hai na Vineet ki par Birju ki ek behen hai, Varsha, jisko baki dono bhi apni behen maante hai. Varsha umra mei teeno se badi hai, kaafi padhi likhi bhi hai par unki shadi na ho rahi aur wajah hai uske teeno bhai, koi aur kare bhi kya ismei!?

Kuch waqt sannata chaya raha, Vineet ne himmat jutai aur Kishori ji ko dekhta hua bola,''fikar kyun karte ho chacha Di ki shadi ho jaayegi, hum hai na hum unke liye first class ladka dhundh ke laayenge, hai na karan!'' Kishori ji ko tassali dene ki koshish karta hua Vineet bola, Karan ne haan mei sar hilla diya par Kishori ji ne apne haath jor liye unke samne.

''Naa babu, rehne de! Main khud hi kissi ko dhundh lunga apni beti ke liye tu mehnat na kar, mujhe  kahin bhi muh maarne wala damad nahi chahiye!'' Kishori ji se vyangta purvak kaha, dono ne muh bana diya.

''Jaa andar tera saathi pada hai, jashan se peet ke aaye the na wo taake khul gaye hai uske dekh le. Jaane kya karne gaye the jo aise maara hai, waise aacha hi kiya mere dil ko sukoon mila.'' Itna keh ke kishori ji wahan se chale gaye.

Vineet aur Karan, Birju ke kamre mei bhage aur jo dekha wo dekh ke dang reh rahe, dono ki sitti pitti gul ho gayi, sans atakne lagi, gala sukh gaya, dono jhat se bhag khare hue chatt pe, karte bhi kya dekh hi kuch aisa liya tha.

.....

To be continued...

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top