Chapter - 5
Vineet miya ki nazar hai ki hat hi nahi rahi hai Ruhana se bas nihare jaa rahe hai sudh budh kho ke. Dheere dheere aab wo aage badhne laage the, jaane mann mei kya halchal ho rahi thi.
Yahan dusri taraf Mishra ji ko gehri chot aayi thi, unka haath ek badi pathar se takra gaya tha aur sar pe bhi chot aayi thi. Aab tak toh wo dard mei kara rahe the aur ye soch rahe the ki shayad jo naujawan unke upar gira hai wo aab uthega aur unki madad karega lekin mahashaye hai ki pade hue hai.
Mishra ji ko aab toh gussa aa raha tha, ek toh unko gira diya bande ne aur aab besharmi se pade hua hai. Mishra jii ne jor ka ek chanta lagaya Karan ke pyare se chehre pe aur dhakka de ke baju mei gira diya,
"Nalayak, besharm, tameez naam ki koi chiz hai ki nahi tum mei. Ek toh gira diya upar se madad tak nahi kar rahe ho" Mishra ji chillai gusse se.
Sharma ji jo aab tak bhoot banke khade the, hosh mei aaye. Wo Mishra ji ki aur bhage, dande ko phekte hue. Bade aaram se unhone Mishra ji ki madad ki, unhe utha ke baithaya.
"aap thik hai bhai Saab" Sharma ji ne Mishra ji chinta purvak pucha.
Mishra ji haan mei sar hillate hue bole, "ji, sukriya!" fir karan ko ghurte hue bole "Ye kaise nalayak log hai jo iss tarah se gadi chala rahe the" Mishra ji karan pe chillai. Dard se unka para Chad gaya tha.
Aise kissi anjan ke haathon maar khake aur baizzat hoke Karan ka bhi para chadha, "wo uncle aap dekh ke na chala sakte the scooty. Itni moti moti aankhe hai do khubsurat naujawan na dikhe aapko" Karan chillaya
Karan ki baat sunke Sharma ji ko gussa aaya, jhat se danda uthaya bagal se aur laga diye do khick ke. Uchalta hua karan do feet dur bhag gaya, "Arey chacha Paagla gaye ho kya, galti unki hai" Karan ne apna paksh rakha lekin Sharma ji kahan sunne wale the, wo toh pehle se hi gusse mei the dono ko dekh ke aab aur gussa aa gaya unhe.
Wo karan ki aur badhe ki unki nazar Vineet pe padi jo aab tak befikra pada hua hai jaise ki koi beach pe chuttiyan manane aaya ho aur uske niche hai Ruhana. Sharma ji ki aankhen toh jaise bahar hi aa gayi ye dekh ke, jhatke se Vineet ke pass pahuche dekha toh kya mahashaye uss anjaan ladki ko kiss karne hi wale hai. Aab ye kahan bardasth karne wale the Sharma jii, pakda tee - shirt piche se aur utha ke baitha diya lekin Vineet ki nazar tas se mas na hui aab tak Ruhana pe tiki hui hai.
Mishra ji bhagte hue aaye aur Ruhana ki madad ki, usse bhi kaafi chhotein aai thi jo dekh ke Mishra ji ke aankho mei aansu aa gaye, aaye bhi kyun na aakhir unki jaan basti hai Ruhana mei. Mishra ji ne aapna rumal nikala aur Ruhana ke haath mei bandh diya kyunki wahan se khoon nikal raha tha.
Yahan dusri taraf, Sharma ji Vineet ko dant ne mei vyast the lekin uspe koi asar hi nahi pad raha tha. Ek taraf Sharma ji bina break ki gadi ki tarah bole jaa rahe hai aur dusri taraf Vineet hai jiski nazar Ruhana se hatt hi nahi rahi hai.
Sharma ji ne ek gehri sans bhari aur lagaya ek danda khich ke Vineet ke janghon (thigh) pe, Vineet dard se chillaya. Najar ghuma ke dekhi toh sak shat Yamraj khade dikhe samne,
"Papa kya kar rahe ho yaar. Ek toh laagi hai upar se aap ho ki piche hi pad gaye ho" dar toh tha Vineet ko lekin samne ek khubsurat ladki bhi thi jiske samne usse apni izzat bhi bachani thi, yun iss tarah maar khake aur chup rehke wo apni izzat thodi gawa sakta tha.
Mishra ji aur Ruhana, Vineet ki aur mude uski chikh sunke. Vineet ke aise sabd sunke Sharma ji toh jaise baukhla se gaye, lekin khudko sambhala kyunki wo Road pe koi tamasha nahi karna chahte the.
"tu ghar chal, aaj aache se khabar leta hoon teri. Aaj toh tujhe bachane teri maa bhi na aayegi, Nani ke gayi hai wo. Tu ruk jaa bas" Vineet ko ghurte hue Sharma ji bole, ye sunke Vineet ke pasine chut gaye. Aab toh wo gaya, Sharda bhi nahi hai. Sharma ji ko toh aacha mauka milla hai usse peet lene ka aur wo ye gawayenge nahi kissi kimat pe.
Vineet ne ek tak Sharma ji ko dekha, fir Ruhana aur Mishra ji ko baithe baithe jhat se ek sariyantra bana liya deemag mei aakhir ladki ke samne izzat jo bachani thi, bholi si surat banate hue bola,
"Papa aap kya chahte hai main padhai chod du, din bhar Birju ki Dukan pe kaam karta rahu, logon ko rashan bantta rahu. Yahi chahte hai aap main apne sapno ko aur maa ke sapno ko chakhna chur kar doon aur aapko paise kama kama ke Doon. Nahi papa, main aisa nahi karunga. Kaam ke saath apni padhai bhi puri karunga, apni maa ka sapna pura karunga ek Astronaut ban ke rahunga "aankho mei magarmach bhare aansu laate hue, sisak sisak ke awaj nikalte hue bahut hi bechara sa sakal bana ke iss tarah se bola ki Sharma ji ko samajh hi na aaya ki ho kya raha hai. Vineet apne muh se padhne likhne ki baat kar kar raha hai wo bhi iss tarah se, Sharma ji ko samajh hi nahi aa raha wo hanse ya usko dante.
Wahin dusri taraf, Vineet ki ye baatein sunke Ruhana emotional ho gayi hai.
Usse bura laag raha hai ki Sharma ji apne bete ki padhai churwa ke uss se kaam karwana chahte hai aur wo bechara apni maa ke sapne pura karna chahta hai. Mann hi mann Ruhana ne Vineet ki madad karne ki than li.
Aab bhi wo kuch bolna chahti hai lekin Mishra ji ghar chalne ko bolte kyunki unhe dard ho rahe hai.
Filhal Ruhana ko Vineet se jyada apne pita ki fikar thi, usne socha Vineet ki madad wo badh mei bhi kar sakti hai, yahi sochte hue wo Mishra ji ko ghar le gai.
…
Aage kya hoga jaane ke liye banne rahiye hamare saath
Milte hai agle adhyay mei..
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top