Chapter - 49
Ruhana aur Mishra ji college pahuche. Side mei scooty laga ke Mishra ji niche utre aur charo aur najar ghumaai, aisa laag raha hai kissi ko dhundh rahe hain.
''Kya hua papa, aap kissi ko dhundh rahe hain?'' Ruhana ne pucha par Mishra ji ne nakar diya.
''Nahi beta, main bas soch raha tha ek martafa tumhari Principal se mil loon.'' Mishra ji bole, wo Vineet ke baare mei principal se baat karna chahte the.
Ruhana ne haan mei sar hilaate hue, Mishra ji ko principal ke office le gayi, wahan pahuche toh paya ki Rastogi ji bhi wahin hai principal se kuch baat kar rahe hain.
Dono andar ghuse, Principal ne jhat se Mishra ji ko pechaan liya aur baithne ko kaha, Mishra ji muskuraaye aur baith gaye. Rastogi ji side mei padi couch pe jaa baithe aur apne laptop pe kuch karne lagge.
''Congratulations Mishra ji! Aapki beti Ruhana ne har baar ki tarah semester exam top kiya hai aur mujhe pura yakeen hai ki iss baar pure University mei yahi Top karegi!'' Tyagi ji, Principal, apne daanto ke set dikhate hue bole.
Mishra ji halke se muskuraye, unki halki muskan se Tyagi ji ko shak hua. Unhone bhaanp liya ki kuch toh gadbad hai, Mishra ji kissi wajah se pareshan hai aur shayad yahan unse apne pareshani batane aaye hai.
''Kya hua Mishra ji koi pareshani hai kya? Kuch pareshan se laag rahe hai aap!'' Tyagi ji unki aur jhukte hue chintit swar mei bole.
Mishra ji ne unki aur ek chan dekha aur haan main sar hila diya. Tyagi ji ne pareshani ki wajah kuchi toh Mishra ji ne saari baat khulke bata di, kaise Ruhana ko wo ladke pareshan kar rahe hai aur saath hi ye bhi bataya ki ladke unke college ke hi hai.
Tyagi ji chawke, unke college mei aise badhmas bhi padhte hai unhe na pata tha. Unhone ladkon ka naam pucha taki wo unki khabar le sake.
''Naam!! Wo toh humein pata nahi! Aise logon ke naam puchta bhi kaun hai. Achanak wo piche padd gaye hai, jaane kaun hai. Bas ussi din pata chala ki yahin padhte hai wo. Main bas ye chahta hoon ki wo Ruhana ko pareshan na kare.'' Mishra ji ne apni baat rakhi, ladkon se koi matlab toh unhe tha bhi nahi bas wo apni beti ki suraksha chahte the.
Tyagi ji ne sakaaratmak purvak sar hillate hue kaha,''aap fikar na kijiye Mishra ji, aab ye baat mujh tak pahuch gayi hai toh jald hi sab thik kar dunga main, aap nishchint ho jaaiye.'' Tyagi ji ne Mishra ji ko yakeen dilate hue kaha ki wo sab thik kar dengi.
Mishra ji halke se muskaye aur chale gaye, Ruhana bhi apne class mei chali gayi.
Yahan Tyagi ji Rastogi ji se ladkon ke baare mei puri jankari nikalne ko kehte hai.
''College mei it be saare bache hai hum kaise pata karenge ki wo hai kaun. Ek do ko chod ke saare ladke toh waise hi hai jaisa Mishra ji bata gaye, aise mei uss do ladkon ko dhundhna samandar mei sui dhundhne ke jaisa hai.'' Rastogi ji bole,Tyagi ji unhe dekhte hi reh gaye.
''Lekin hum aise hi toh unhe nahi chod sakte na, kuch toh karna hi padega humei.'' Tyagi ji vichaarte hue kaha.
Rastogi ji ne sar hila diya,''issiliye toh kabse main aapse keh raha hoon ki college mei camera lagwa dete hai taki hum sabki harkat pe najar rakh sake aasani se.'' Rastogi ji ne fir sujhao diya.
Mishra ji aur Ruhana ke aane se pehle Rastogi ji, Tyagi ji se yahi baatein kar rahe the. Rastogi ji chahte hai ki college mei camera laag jaaye taki jo bachon class mei padhne ki bajaye shaitani karte hai unhe wo pakad paaye par Tyagi ji ko ye fishul ka kharch laag raha tha. Lekin jab aab Mishra ji ne aa ke shikayat ki toh Tyagi ji ko bhi laag raha hai camera lagana sahi rahega.
Tyagi ji, Rastogi ji se kehte hai ki aaj ke aaj hi camera lagwane ke liye wo kahenge. Rastogi ji khush ho jaate hai aur wahan se chale jaate hai kyunki unki class hoti hai.
Wahin dusri taraf Vineet aur Karan, college ki aur thake pitte haal mei chale aa rahe hai. Durbhaagya varsh unki motorcycle ne bich raste mei dum tod diya aur unhe paidal hi college tak ka safar tai karna padd raha hai.
''Aur na chala jaayega mujh se bhai, rehne dete hai na waise bhi hum kaunsa teer maar lenge college jaa ke.'' Lambi lambi gehri saans bharte hue Karan bola. Thodi dur chal ke hi uski saans phoolne lagi thi aur saath hi usse bewajah paidal chal ke college jaba betuka sa laag raha tha akhir padhne toh wo jaa nahi rahe the.
Vineet ne uski aur dekha,''abey itna sa chalte hi teri saans phoolne lagi, chup chap chal bas pahuchne hi wale hai hum.'' Karan ko khichne ki koshish karte hue Vineet bola par karan ne haath chuda liya.
''Abhi pure 2 kilometer baki hai college pahuchne mei, mujh se na chala jaayega aapko jana hai toh jao. Kaunsa mujhe medal milne wala hai jo main apne sareer ko itna kasth de ke college jaun, uss ladki se hi milna hai na? Uss se toh hum waise bhi mil sakte hai, yahin intezaar kar lenge uska jaayegi toh wo issi raste se na tab mil lena. Fir bhi aapko shauk hai toh aap jaa sakte ho mujhse umeed na rakho.'' Karan ne spasht rup se inkar kar diya, Vineet ne kuch waqt usse dekha, Karan kuch dur khade bade se bargat ke pair ke niche jaake baith gaya.
Vineet usse dekhta raha, vichar mei gum ki wo kya kare? Pair toh uske bhi dukh rahe the, shayad yahin baith intejaar karna jyada thik rahega.
Gehri saans bhari aur karan ke pass jaake Vineet bhi baith gaya, motorcycle ko bagal mei khada kar diya. Dono chup chap wahan baithe rahe.
Kuch chan badh wahan se ladkiyon ka jhund gujra, dono ke kaan khade ho gaye. Koi ladki gujre aur ye dono uchal na pade aisa toh ho nahi sakta tha. Motorcycle ko wahin chod dono ladkiyon ke piche chal pade, pair ke dard chhu ho gaye.
Par jaise hi kuch aage badhe samne se Mishra ji aate dikh gaye dono ko, jhat se apna muh chupa ke bhag gaye aur pair ke piche chup gaye, karte bhi kya aur.
Mishra ji ko dekh unhe aisa laga jaise sakshat yamraj ko dekh liya ho, sitti pitti gul ho gayi. Dono ladke chupe rahe jab tak Mishra ji wahan se kaafi dur chale na gaye. Jab kuch der badh bahar aaye toh paya Mishra ji sang ladkiyan bhi kahin na dikh rahi, shayad wo bhi chali gayin hai.
Dono udash ho gaye aur pair ke niche baith gaye, dusra koi chara bhi toh na tha.
....
To be continued..
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top