Chapter - 48
Agli Subha
Ek naye din ke saath ek nayi shuruat, Mishra ji ne kal ki baaton ko bhula aage badhte jaane ki sochi, unhone kunal ka ghar mei aana band karwa diya, aab wo dosti ke liye apni beti ko toh tanav mei na daalenge na.
Saath hi aab unhe apne faisle pe aab sandeh hai, wo aab Kunal ki shadi apni beti sang na karwana chahte kyunki jab wo banda shadi se pehle hi itne jhooth bol raha hai uska kya bharosha shadi ke badh kitne jhooth bolega aur waise bhi ye baat abhi tak aage badhi bhi nahi hai toh koi fark na padega aur agar padta bhi toh bhi Mishra ji aab ye shadi karenge nahi kissi keemat pe!
Kal ki baaton ko kal hi chodte hue Mishra parivar ne har roj ki tarah subha ka nasta saath kiya. Ruhana iss baat sw khush hai ki unke pita ne sab baat ko samjha aur unka saath diya.
Aaj program bana ki Mishra ji Ruhana ko college chodne jaayenge. Shakuntala ka bhi mann tha saath chalne ko par unhe bacho ko tuition padhana tha issliye wo ruk gayi.
Khushi khushi dono baap beti college ke liye chal diye.
...
Chandani Chawk
Wo kehte hai na kuch logon ko bina wajah haath pair marne ki aadat hoti hai.
Yahi haal filhal Birju ka hai jo aab tak saatve aasman pe hai kal ki baat ke liye, yahi nahi aab wo Kishori ji ke pass pahuch gaya hai shadi ki baat karne ke liye, saath liye Vineet aur Karan ko.
''Dekh bhai, hum chal toh rahe hai tere saath lekin baat tujhe hi karni padegi apne hitler baap sey kyunki humko subha subha maar nahi khani!'' Spasht roop se Vineet ne apne haath khade kar diye aur karan ne bhi kyunki unko pata hai Kishori ji bhadkenge hi shadi ki baat se par Birju ko koi parwah nahi, wo iss baat ko bhi raaji ho Kishori ji ke pass pahuch gaya.
Kishori ji, Sharma ji aur Shukla ji teeno saath baithe kuch baat kar rahe the, ladkon ko dekhte hi samajh gaye teeno kuch faltu baat karne wale hai. Waise kuch kaam.ki baat toh wo khud bhi na kar rahe the, baithe baithe yahi vichar rahe hai ki kaise ladkon se sach jana jaaye aur peet liya jaaye unko.
''Kya bakwas karne aaye ho teeno? Kidhar naak katwa aaye aab?'' Shukla ji ne katu awaj mei teeno se pucha.
Karan ne apne pita ko ghuraa,''Aapki naak toh pehle se kati hui hai usko aur katne ki kya jarurat!'' Karan ke muh se itna nikalte hi Shukla ji ne jhat se usse khicha aur ek chata laga diya, hash, ek toh maara!
Vineet do kadam piche ho gaya, inn teeno mardon ke haath se unko peetne ka sunehra mauka nikal chuka hai toh aab wo aise hi unse badla lenge. Par wo peetna nahi chahta kyunki usse college jana hai.
Aisa bahut kam hota hai ki Vineet ko college ki yaad aati hai par aab naya naya pyar ka bukhar chadha hai issliye usse jana hai aache mood mei.
Karan bhi piche hatt gaya, bas Birju bacha jo apne pita ke samne chati chauri kar khada hai.
Kishori ji ne usse upar se niche tak dekha.
''Kyun hamare samne apni chati phulaye khade ho jaise koi jang jeet ke aaye ho.'' Taana marte hue Kishori ji ne pucha.
Birju halke se muskaya, filhal usse apne pita ke kissi baat ka bura nahi laag raha aur agar wo usse peet bhi le toh bhi usse fark na padega kyunki uske sar pe shadi ka bhoot sawar hai abhi.
''Babu ji kuch aisa hi samajhiye. Aaj meine aapka ek bahut bada boojh utar diya hai!'' Khudpe garv karta hua Birju bola.
Kishori ji ne apne saathiyon ko dekha fir Birju ki aur mude.
''Ghar chor ke jaa rahe ho? Kyunki hamari jindagi ka sabza bada boojh toh tum hi ho aur tumhare jaane se hi hum tript ho paayenge.'' Badi saralta se Kishori ji bole.
Aab baat toh ye sahi hi hai, jinke bache Vineet, Karan aur Birju se ho unke ghar walon ko kissi aur boojh ki kya jarurat.
Par itne pe bhi Birju kuch na bola.
''Nahi Babuji, main nahi aapki dusri zimmedaari. Meine..meine aapke liye bahu dhundh li hai aur aab hum uss se shadi karna chahte hai!'' Sharmata hua, balkhata hua Birju bola.
Kishori ji ki aankhe phati ki phati reh gayi, jhat se chappal utari aur Birju ki aur pheka, Birju baith gaya aur chapal Vineet ko jaa lagi.
''Ooh chacha nishana toh dhang se lagao. Mujhe maarne ke liye papa kaafi hai aap apne ko sambhaalo na!'' Vineet gurraya par uski baaton pe kissi ne dhyan na diya. Kishori ji ka dhyan abhi Birju pe tha aur baki dono ka bhi.
''Abbey gaddhe kiske karam phoote hai jo tujh se shadi karegi? Main khud toh gaddhe mei gira hi hua hoon uske saath kissi aur ki beti ko bhi na girayunga! Agar tujh mei koi ek bhi kaabiliyat hoti toh hum sochte bhi iss baare mei lekin inn dono sang awara gardi karne ke siwa kuch na aata tumhe toh bhool jao ki tumhari koi shadi bhi hogi aur hum tumpe ek dhela bhi kharch karenge!'' Kishori ji ne saaf saaf inkar kar haath khade kar liye. Sharma ji aur Shukla ji ko unki baat sahi lagi kyunki unhone pata hai unke bete pyar ke naam pe kya karte hai toh kissi ki jindagi barbad na karenge wo.
Par Birju zidd karne laga, Kishorin ji ne usse gusse bhari nigahon se dekha. Vineet aur Karan Birju ko khich ke le gaye kyunki unhe iss waqt maar na khani thi, filhal Vineet ko college jaane ki jaldi hai.
Birju chikha aur chatpataya par Vineet aur Karan ne usse na choda, khich ke bahar ke aaye aur road pe bitha diya. Birju ne dono ko dhakka de niche gira diya.
''Kaise kaminey dost ho hamara saath tak na diya. Tum dono ke liye humne kya kya kiya, uss lady dara singh ki chaku tak bhukwa li aur tum dono itna sa saath nahi de paaye hamara.'' Birju gurraya, dono ko ghurte hue.
''Abey, tujhe itni kya jaldi hai. Pehle kuch din uss chokri sang ghum phir le uske badh mann kare toh shadi bhi kar lena aur rahi baat saath dene ki toh gaye the na hum par tera baap maana nahi toh hum kya kare. Subha subha kissi ki kiss ke bajaye apne baap ki chappal na khani mujhe.'' Spasth rup se Vineet ne apni baat rakh di ki wo filhal koi madad na karne wala.
Birju ne unhe ghira par uska kya faida uske dost manne na wale.
Birju chup chap apne ghar ko chala gaya aur Vineet aur Karan college chale gaye.
..
To be continued...
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top