Chapter - 46

Sham ka waqt..

Teeno ladke ladki ke ghar se bade hi khush hue matak matak ke apne ghar wapas aa rahe the. Khush iss liye the kyunki ladki bhi Birju ko pasand karti hai aur shadi karna chahti hai. Birju filhal saatve aasman pe tha aur baki dono bhi kyunki unhe pata hai Birju ki khushi mei unki lottery niklegi.

Gungunate hue, kamar hillate hue teeno ghar ko pahuche. Rashte mei dekha toh Birju ki dukan band thi, ye kuch atpata sa laga unhe kyunki Kishori ji kabhi dukan band na karte chahe jo ho jaaye lekin aaj band hai matlab kuch toh hua hai.

Teeno ne apni raftar badhai aur Vineet ke ghar ki aur nikle, aab ye toh sabko pata hai ki inke panchayat Vineet ke ghar mei hi niptaye jaate hai. Lekin filhal toh darr iss baat ka tha ki akhir panchayat chal kis baat pe rahi hogi, andaja toh tha Kunal ke aane pe hi par pakka toh unhe bhi na pata tha.

Vichar vimash mei dubbe teeno jaise hi ghar ke dehlij pe pahuche toh andar se Kishori ji ki awaj aai, wo sabko Kunal ke baare mei hi bata rahe the ki kaise wo unki dukan pe puch tach kar raha tha aur kaise Birju usse dekh bhaga. Sabhi chintit malum padd rahe the.

Ladke bahar hi ruk gaye, aab samay tha koi kahani gadhne ka jis se andar sabko yakeen ho jaaye ki jo hua usmei inn teeno ki toh koi galti na thi.

Vineet ne dono pe najar dali, baki do ko jara bhi samay na laga ye samajhne mei ki Vineet ki shaitani buddi mei kya khichdi pakk rahi hai. Kutil muskan lete hue teeno ghar mei ghuse.

Sabki najrein unpe tik gayi, teeno ne utra sa chehra bana liya.

''Kahan the tum teeno?'' Shukla ji ne bhari awaj mei pucha, teeno ne ek tak unhe dekha fir sar pher liya.

''Saurabh ke ghar!'' Karan ne jawab diya, teeno ne bahar hi tai kar liya ki jiske pita sawal puchenge wahi jawab dega. Aur Saurabh ka naam toh jaan bujh ke liya gaya kyunki Saurabh ke pass phone nahi toh uss se sawal jawab na kar sakta koi upar se wo teeno se darta hai toh agar kal ko uss se pucha bhi gaya toh wo inka hi saath dega.

Kishori ji Birju ke bagal mei jaa khade ho gaye aur uske kandhe pe haath rakha, Birju ki ruh toh yahin kanp gayi.

''Jo aaye the wo kaun the?'' Kishori ji ne aaram se pucha.

Par baki teeno ki sutti pitti gul ho gayi, Birju ne Vineet ki aur dekha jisne usse jawab dene ka sanket kiya par Birju ko samajh hi na aa raha tha ki wo bole toh kya bole aur kaise bole.

Vineet ne khich ke ek koni Birju ke pet mei de mara, aur apni maa ki aur badh chala. Ek chote bache ki tarah apni maa ke piche khada ho gaya aur unka duppatta  pakad liya.

Jhooth bolne ke liye masoom toh banna padega na taki sab uski baat ka yakeen kare.

Gehri sans bharte hue Vineet ne muh khola.

''Wo sabhi na wahi the jinhone humei uss fin mara tha aur papa ne bachaya tha.'' Vineet ki ye baat sun teeno mardon ke pairon tale jameen khasak gayi.

Unn teeno ne toh aaj apne beton ko peetne ka program banaya tha lekin unhone baji palat di aur ye unko jhuthla bhi nahi sakte kyunki unhone hi ye jhoothi kahani bana sabko sunaya tha aur aab sach bata nahi sakte warna ladkon se pehle wahi peet jaayenge.

Sharma ji ne Vineet ko ghura badle mei usne apni battishi dikha di.

Ye baat yahi dab gayi aur ye ghosit kar diya gaya ki ladkon ke piche log jalan se pade hai kyunki teeno ke pita aacha khasha kamate hai aur ladkon mei aachi dosti hai. Saath hi teeno mardon ko chetavni di gayi ki wo ladkon ka dhyan rakhe aur unpe bewajah chillaaya na kare aur na hi raste pe unko maara kare kyunki aise mei baki logon ko bhi seh milti hai.

Ladke toh khush hue par unke pita nahi, teeno ka chehra utar gaya. Khali haath teeno nikal diya ghar se aur ladke Vineet ke kamre mei chale gaye.

...

Yahan dusri aur Ruhana naha ke leti hui thi. Pehle Kunal aur fir Vineet ki sakal dekh unka pura mood kharab ho chuka tha aur iss wajah se aab padhai mei unka mann na laag raha tha aur na hi kissi aur chij mei.

Karwat leti hui Ruhana dusri taraf jaise hi mudi ki Mishra ji ne niche se unhe awaj lagai.

''Aai Papa!'' Itna kehti hui Ruhana uth baithi aur niche chali gayi.

Niche pahuchi toh paya ki Kunal aaya hua hai. Usse dekhte hi Ruhana ka pada chadh gaya par unhone khud ko shant rakha. Aaram se jaa ke Shakuntala ke bagal mei baith gayi.

''Aab kaise ho Kunal?'' Mishra ji ne chinta purwak pucha.

Kunal halke se muskaya,'' main thik hoon uncle bas jara si chot thi. Main yaha bas ye kehne aaya tha ki meine police mei complain kar di hai unn ladkon ke khilaf aur wo kal se Ruhana ko pareshan bhi na karenge toh aap log befikra ho jaiye.'' Hero banne ki koshish karta hua Kunal ne ye jhooth bol diya, asal mei toh usne koi complaint ki hi nahi hai par usse laga ki shayad agar wo aisa kahega toh Mishra ji khush ho jaayenge.

Par aisa na hua, Mishra Parivar uski baat sun dang reh gaya. Wo bhale hi unn ladon se pucha chudana chahte hai par aise nahi, aakhir wo bhi padh rahe hai aur police complaint se unki bhavishya barbad ho sakta hai. Haan, unko darana jaruri hai taki wo tang na kare par aise nahi ki unke saath unke parivar wale bhi kahin muh dikhane layak na rahe.

''Aisa kyun kiya tumne?'' Mishra ji jhat se khade hote hue chillaye, unhone Kunal se ye umeed na ki thi.

Kunal bhi khada ho gaya,''uncle wo Ruhana ko pareshan karte hai issiliye meine ye sab kiya, taki usse koi dikkat na ho.'' Apna paksh rakhte hue Kunal bola aur ye sunke Ruhana ke sabra ka baan tut gaya.

Wo jhat se apne jagah se uth khadi hui aur fir jo unhone kiya wo toh Mishra ji ne bhi umeed na ki thi.

...

To be continued...

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top