Chapter - 38
Bin mausam barsat ki tarah Karan kuch yun barsha ki uss Barsat mei Vineet bina bheege hi pani pani ho gaya.
''Aap sathiya gaye ho, buddhi bhrasht ho gayi hai aapki. Arey ek ladki ke piche itna kyun pade ho jara samjha do mujhe. Dilli mei ladkiyon ki kami hai kya jo uss khandan ke piche pade ho. Meine aaj ke badh aapke saath nahi rehna, akele jao aur maar khao''apni bhadas nikalta hua karan chillaaya.
Vineet chup chap usse bas dekhta raha, phir Birju ki aur dekh samne pade kursi pe baith gaya, usse bada bura laga ki karan uspe iss tarah chilla raha hai. Chahe wo jaisa ho, usne Karan aur Birju ki hamesha madad ki hai. Bhale hi aaj uski wajah se dono ko maar padd rahi hai lekin kai baar un dono ki wajah se usse bhi maar padi hai par usne kabhi shikayat na ki.
Vineet ka utra muh dekh Birju samajh gaya ki Vineet ko karan ki baaton ka Bura laga hai.
Lekin iss se pehle ki wo kuch karta Vineet wahan se chala gaya.
Birju ne gehri sans bhari, ''kuch jyada hi bol gaye tum karan, bhai ko bahut bura laga hai tumhari baaton ka!''Dheeme se Birju bola, lekin Karan uspe bhi bhadak gaya aur phir apne kamre mei chala gaya.
Aab bechara Birju akele wahan khade reh karta bhi kya, issliye wo bhi chala gaya apne kamre mei.
Kahan ek taraf Vineet aur Karan mei tanao aa gaya wahin dusri taraf Sharma ji, Shukla ji aur Kishori ji, Sharma ji ke chatt ke kone pe baithe hai. Shukla ji aur Kishori ji ko ghar se nikal diya gaya hai aur Sharma ji apne doston ka saath de rahe hai saath hi unhe apne chatt pe panaah de rahe hai. Aab jahir si baat hai baki dono ki aisi durdasha Sharma ji ke Sasu maa ki wajah se hui hai toh unko itna toh karna hi tha. Halaki Shukla ji aur Kishori ji ne koi shikayat na ki kyunki wo jante hai Sharma ni ki toh khud na chalti hai.
Teeno apna dukhra ro rahe hai baithe baithe.
''Jaane wo teeno kab sudharenge, na padhte hai na kaam karte hai aur naa hi samajh hai. Bas din bhar awara gardi karte hai, jaane kab tak ye chalega'' Chinta purwak Kishori ji bole.
Vineet, Karan aur Birju teeno apne maa baap ke eklaute bete hai lekin jimmedaari ka ehsas kissi ko nahi hai, aur iss chinta se inke baapon ki nind udi hi rehti hai.
''Mujhe toh lagta hai jeevan bhar humein hi unhe khilanaa peelana padega hunneu koi sukh na milega unse kabhi. Teeno apni hi dhun mei rehte hai, jara bhi ye nahi sochte ki kal ko jab hum nahi rahenge tab kya hoga. Aaj toh hum hai lekin hamesha na rahenge tab kya hoga'' apni chinta vyakt karte hue Shukla ji bole.
''Kabhi kabhi mujhe lagta hai agar hum unki shadi karwa de toh shayad wo thik ho jaaye'' Kishori ji ne apni rai rakhi.
Sharma ji jo aab tak chup the sar hillate hue bole,'' nahi Kishori ji, apne bete ko sudharne ke liye hum kissi aur ki beti ki jindagi barbad nahi kar sakte. Aur uski guarantee kya hai ki shadi ke badh teeno sudhar jaayenge!'' Sharma ji bole baki dono ko unki baat sahi lagi.
Aab ye toh jahir hai ki agar unke bete shadi ke badh bhi na sudhre toh jinse unki shadi hogi uss ladkiyon ki jindagi barbad ho jaayegi isaliye aacha yahi hai ki unki shadi ki baat hi na ki jaaye.
Teeno phir chinta mei dub gaye ki tabhi unhe kuch kadmo ki aahat aai. Sharma ji ne sar utha ke dekha toh Vineet ko aate hue paya jo seedhe apne kamre mei ghus gaya aur darwaja hor se band kar diya. Sharma ji ne gehri sans bhari, phir apne doston ki aur mud gaye.
''Lagta hai teeno mei behes hui hai, ukhda hua aaya hai ghar'' Sharma ji ne bataya, dono ne bas sar hilla diya kyunki teeno ke mamle mei padhna unke liye aacha nahi. Pehle hi wo ghar se nikale jaa chuke hai aab aur kuch na karna chahte.
..
Restaurant mei jo hua uss baat se nirash Mishra parivar apne ghar pahuche.
Ghar pahunchate hi Ruhana apne kamre mei chali gayi, Mishra ji aur Shakuntala ne usse roka bhi nahi kyunki unhe pata hai wo abhi bahut gusse mei hogi, aab jo bhi hua wahan uss se kissi ko bhi gussa toh aayega hi issliye unhone Ruhana ko jaane diya.
''Jaane ye kya ho raha hai, wo dono ladke hamare piche aise kyun pade hai?'' Chinta purvak Shakuntala ne Mishra ji se pucha.
Mishra ji ne gehri sans li,''luchche hai dono, bas Ruhana ke piche pade hai. Kuch din tak ghoomenge lekin phir khud chale jaayenge jab Ruhana unhe aise hi bhaga degi.'' Vishwash purwak se Mishra ji bole, aab vishwash toh hoga hi kyunki unko aache se pata hai unki beti Vineet jaise awara ko bhao na degi kissi keemat pe.
Shakuntala ne halke se sar hilla diya lekin usse kafi chinta hai Ruhana ki kyunki wo roj akele college aati jati hai aur aise ladko ka kya bharosha raste mei kuch kar diya toh.
''Aapki baat sahi hai lekin phir bhi hum kuch din ke liye ek do bodyguard rakh lete hai bitiya ke liye taki wo dono ladke uske aas pass na phatke. Kyunki unn dono ladko mei himmat bahut hai, Ruhana se milne ki koshish mei ghar tak pahuch gaye the kissi din kuch kar war diya tab hum kya karenge, issliye abhi hi savdhani barak leni chahiye'' Shakuntala ne apni chinta vyakt ki.
Mishra ji ko shakuntala ki baat sahi lagi lekin saath hi unhe ye bhi laga ki unki beti khud bhi iss mamle ko sambhal sakti hai. Unhone yahi baat Shakuntala ko samjhane ki koshish ki par wo nahi maani aur aakhir kar Mishra ji ko unki baat manni hi padi.
Mishra ji ne apne jaan pehchan ki ek agency mei phone lagaya hi tha ki unhe kunal yaad aaya jisse wo Ruhana ka dulha banana chahte hai. Unhone socha kissi aur se aacha wo kunal ko Ruhana ke saath agar bheje toh dono ko saath mei waqt mil jaayega.
Yahi sochke unhone Kunal se baat kar li.
Aab Shakuntala bhi nischint ho gayi aur phir wo dono bhi apne kamre mei chale gaye.
….
To be continued ...
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top