Chapter - 36
Dilli ke sabse Mashur Restaurant ''The Baker's ''mei Mishra parivar aache aache pakwan ke lupt utha rahe hai. Aaj mahino badh sab yahan aaye hai issliye kafi khush hai. Mishra ji aur Shakuntala baatein kar rahe hai aur Ruhana apni gulab jamun khane mei vyast hai ki tabhi uski nazar bahar khade do ladko pe padi jo usse hi ghur rahe hai tabse.
Ruhana ne jara gaur se dekha toh pata chala ye toh wahi do ladke hai jinhone aaj college se aate waqt picha kiya tha. Toh kya aab dono fir uska picha kar rahe hai?
Ruhana ko gussa aaya lekin unhone abhi shant rehna hi thik samjha kyunki unhe abhi pata nahi hai ki dono uske piche hi aaye hai ya nahi, issliye usne muh ghuma liya aur apne mata pita se baat karne lagi.
..
Yahan bahar Vineet aur Karan restaurant ke samne bike pe baithe aati jaati ladkiyon ko nihar rahe hai, kuch ladkiyan gali toh kuch apna number diye jaa rahi hai.
Dono ladke Shukla ji ko sasu maa se peetwa ke aur ghar se nikalwa yahan aaye hai. Sasu maa ke samne dono masoom ban gaye aur Shukla ji ko jhootha thehra diya ki wo dono toh ladki ki madad kar rahe the aur Shukla ji bewajah unhe peetne lage. Sasu maa ko toh jaise mauka mill gaya aur Shukla ji ka banta dhhar ho gaya.
Aab dono ladke yahan khana khane aaye hai Sharma ji ke paise se. Waise toh Karan aana nahi chahta tha kyunki pichle do din se Vineet ke chakkar mei maar khaye hi jaa raha hai wo, aisa nahi hai ki usne pehli baar maar khai hai lekin iss baar lagatar laag rahi hai. Lekin fir usne socha ki agar Vineet na ho toh usko kaunsi ladki bhao dene wali hai, aab setting toh Vineet hi karwata hai uski issliye wo aa hi gaya.
''Bhai yaar, pichle do din se toh maar hi kha raha hoon main kamse kam abhi toh andar khana khane chalo''roti si surat bana ke karan bola kyunki dono pichle 20 minute se bahar khade hai lekin andar jaa nahi rahe.
Vineet ne uske gale mei haath daal usse apni aur khicha,''kuch der ruk toh jaa mere bhai. Abhi gaye toh akele khana padega aur thodi der ruk gaye toh saath mei ek haseena bhi hogi''dabi hui si hansi hansta hua Vineet bola.
Vineet ki baat sunke karan ko gussa aaya kyunki usse filhal kaafi tez bhookh lagi hai lekin phir bhi usne halke se muskura ke sar hila diya.
''Lekin bhai aapne toh kal hi kaha tha wo scooty wali ladki hi meri permanent bhabhi banegi toh phir aab yahan kyun muh maar rahe ho''Jaan bujh ke Vineet ko uksaane ke liye Karan bola taki Vineet andar jaaye.
Vineet ne uski aur ghura lekin gussa na kiya, ''haan wo toh hai! Wahi teri permanent bhabhi banegi lekin jab tak wo patt na jaati tab tak toh tere bhai ko kissi ka sahara chahiye na. Jis din wo patt jaayegi main apne dil ke guest house mei uska permanent board laga dunga. Jiske badh wahan kissi ki na entry hogi na tere bhabhi ki exit, Samjha?" Batish inch ki muskan deta hua Vineet bola.
Aab karan ke pass koi chara na bacha toh wo bhi kissi ko pattane ke dhun mei laag gaya.
Tabhi uski nazar Ruhana pe padi jo andar baith kuch kha rahi thi.
Karan ne jhat se Vineet ko hilaya lekin Vineet kissi aur ko patane mei vyast tha issliye usne karan ka haath jhatak diya. Karan ne fir koshish ki lekin parinaam wahi raha toh usne bhi phir chod diya.
Kareeb aadhe ghante badh jab Vineet ke pappiyon jhappiyon aur phone number ka addan pradaan ho gaya tab wo mushkurate hue karan ki aur muda jo aab bhookh ki wajah se gusse se laal peela ho raha hai. Aaj agar uske pass paise hote toh wo Vineet ka intezar karta hi nahi akele hi jaa ke kha chuka hota.
''Tu kyun neela peela ho raha hai aise''Vineet ne karan ka utra hua chehra dekh pucha.
Itne pe karan ke sabra ka baan tut gaya,''toh aur kya karu tabse yahan baithe hai mujhe itni bhookh lagi hai aur aap ho ki ladkiyon ke number se hi apna pet bhar rahe ho lekin mera pet aise nahi bharta mujhe biryani khani hai agar aapko nahi khani toh mujhe paise de do main jaa ke kha leta hoon aap kissi ke ghar jaake kha lena. Main aab aur bhookha nahi reh sakta''Karan apni bharash nikalta hua chillaya.
Vineet ne usse upar se niche tak dekha, ''itna kyun bhadak raha hai, chal khilata hoon tujhe. Pehle hi bol deta tu ki tujhe itni bhookh lagi hai toh hum jaa chuke hote, mujhe toh laga tu wait kar paayegaa isaliye ruka tha main''Apna paksh rakhte hue Vineet bola.
Dono dost phir restaurant ki aur mud gaye ki tabhi Vineet ki nazar Ruhana pe padi, wo apni jagah pe uchal pada.
''Arey teri bhabhi bhi hai yahan toh aur dekh saath mei mote sasur ji aur phoolan devi sasu maa bhi hai!'' Khushi se uchalta hua Vineet khilkhilaya, Karan ne usse ghura kyunki thodi der pehle Vineet ne uski yahi baat naa maani thi.
''Main uss samay yahi bolne ke liye bula raha tha lekin aap busy the bhai '' karan gurraye, Vineet ne muh bana diya iss baat pe.
''Koi baat nahi, pehle naa toh abhi hi sahi chal teri bhabhi ke saath dinner karte hai!'' Ye kehte hue Vineet karan ko khich ke le gaya kyunki aab wo jana nahi chah raha tha iss darr se ki pehle toh teeno ne akele akele peet liya hai toh jab akele unmei itni taaqat thi toh saath mei teeno kitni taaqat dikha sakte hai? Haaye raam iski toh jaan hi nikal jaayegi dinner ke badle maar khake.
Lekin Vineet ne aage piche kuch na socha aur chal pada andar!!
…
To be continued..
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top