Chapter - 35

Chandani chowk mei ek baar fir mele ka maahol laga hua hai, logon ki bhid ekhatha ho chuki hai, darshak popcorn aur cocacola ke saath taiyar baithe hai aur samne chal raha ek manojanjik drishya!!

Vineet aur Karan Shukla ji se jhagde hue apne ghar ki aur badh rahe hai. Ruhana ke saamne hui beizzati ka pura pura badla liya jaa raha hai. 

Vineet aur karan aab raat wale samajhote ko todne pe bhid gaye hai. Dono aab Sasu maa se ye batane ko hai ki kal kissi gunde ne nahi balki unko baapon ne unhe peeta tha aur fir aaspatal le gaye.

Issi baat se bhadke Shukla ji dono pe taano aur thappadon ki barsat kar rahe hai.

''Papa ye aap kuch jyada hi kar rahe hai main bata raha hoon'' Karan Shukla ji ko darane ki koshish karte hur bola.

''Ooho, toh tu mujhe dhamka raha hai? Tujhe kya lagta hai main darta hoon tujh se'' ye kehte hue Shukla ji ne khich ke ek thappad Karan ke pith pe lagaya.

Aas pass khade log toh maje le rahe the aur Vineet unhe ghoor raha hai.

''Dekho dekho, maje le ke dekho. Batata hoon sabko badh mei''Vineet gurraya. 

Kuch log itne pe hi darr ke bhag gaye kuch dekhte rahe. Shukla ji itne logon ke samne sher bane dono ko ghar liye chale, kal raat se leke aaj din tak jo bhi kuch unke saath jisne bhi kiya uss sab ka badla unhone dono ladko ko peet ke le liya hai, issliye aab unhe dono ko nahi peetna bas ghar jana hai aur aaram se sona hai ek cup garma garam chai pee ke.

Apne inhe khayalon mei gum Shukla ji chale jaa rahe the ki tabhi aachanak se samne unki dharam patni aa dhamki, apni patni ko dekh Shukla ji chauk gaye fhat se Vineet aur Karan ka haath chod diya. Unki biwi unhe gusse bhari nigahon se aise ghoor rahi thi jaise abhi hi kha jaayegi unhe.

Shukla ji do kadam piche ho gaye, Karan aur Vineet ne masoom sa chehra bana liya aur Karan ki maa ke piche chip gaye, Shukla ji ko samajh aa gaya aa toh unka bistar ghar ke bahar hi hoga aur uss se pehle hoga tandav. 

Lekin fir unhe khayal aaya ki aachanak unki patni yahan pahuchi kaise, idhar udhar sar ghumaya toh ek car ke piche chipa hua Birju dikha. Shukla ji gusse se gurraye lekin abhi khud sher ke shikanje mei the kuch kar na sake.

Karan ki maa ne do kadam chalne ke liye bhi ladkon ke liye rickshaw bulaya aur unhe ghar bhijwa diya. Phir Shukla ji ko haath pakad ghar le gayi.

..

Yahan dusri taraf Ruhana ghar pahuchi gusse mei laal pili hoti hui.

Pehli baat toh usse apni sabse aachi dost se ye umeed na thi ki wo ek awara ladke saath class mei baith aisi harkat karegi aur duja wo dono besharm ladke jo khulle aam chhedkhani par utar aaye the, itni himmat thi dono mei ki picha karne lagge. 

Waise toh dono ko peet diya tha Ruhana ne lekin uska gussa shant na hua tha, hota bhi kaise ye koi chhoti si baat thodi thi. 

Gusse mei tapti hui Ruhana ghar mei ghusse, Mishra ji samne hi sofa pe baithe the, Rihana ko dekhte hi samajh gaye ki kuch hua hai.

''Kya hua bachche, itne gusse mei kyun ho'' Ruhana ki aur badhte hue Mishra ji ne pucha.

Gehri sans chodti hui Ruhana apne gusse ko shant karti hui boli,''do besharm ladke piche padd gaye the papa, unhi ko sabak sikha ke aai hoon''

Ruhana ki baat sun Mishra ji jara chauke fir pucha,'' kaun the? Aur kyun piche pade the?''Chinta purwak unhone pucha.

''Wahi dono jinhone hamari scooty thok di thi, aaj chhedkhani pe utar aaye the ''apne gusse aur awaj mei tez ko shant karni ki koshish karti hui Ruhana ne jawab diya.

Nirashapurwak Mishra ji ne sar hilla diya,''awaragardi bas karwa lo aaj kal ke laundo se aur kuch hoga nahi unse''Mishra ji gurraye.

''Choriye na papa, meine waise bhi sabakh sikha diya hai dono ko. Mumma kahan hai?'' Apna bag table pe rakhte hue Ruhana ne pucha.

''Wo tuition padha rahi hai bachchon ko, abhi kafi thik hai tum chinta na karo''Ruhana ka sar pyar se sehlate hue Mishra ji ne jawab diya kyunki unhe pata hai unki beti ko unki aur apni maa ki kafi chinta rehti hai.

Ruhana halke se muskurai, Mishra ji bhi muskuraye. 

''Arey haan, main toh bhool hi gaya tha. Aaj raat ko hum bahar jaayenge dinner ke liye kyunki tumhari mumma ki tabiyat thik nahi hai aur main apne haath ka khana khila ke hum sabko bimar nahi karna chahta''hanste hue Mishra ji bole jo sunke Ruhana ko bhi hansi aa gayi. 

''Thik hai papa'' itna kehti hui Ruhana apne kamre mei chali gayi, kyunki abhi jaane mei time tha toh fresh hoke wo padhne baith gayi.


Mishra parivar dinner ke liye jaane ko taiyaar hai. Shakuntala ghar ko tala laga rahi hai aur Mishra ji aur Ruhana kissi Rickshaw ke intezar mei hai lekin koi rickshawala rickshaw rok hi nahi raha. 

Shakuntala ghar band kar dono ke pass aa gayi, ''arey abhi tak ek rickshaw na milli aap dono ko, hato hum rokte hai'' dono ko bagal kar Shakuntala ne khud morcha sambhala. 

''Shakuntala Devi ko dekh ke toh Modi ji darr jaaye fir rickshawale kyu na rukenge''Mishra ji halke se Ruhana ke kaan mei phusphusaye, lekin Shakuntala ne sun liya.

''Haan haan, aur nahi toh kya. Dekha nai kaise kal un choro ko maar ke bhaga diya humne, aab toh wo kahin chori karne bhi na jaayenge'' Khud pe garv karti hui Shakuntala boli. 

Waise toh kal wo darr gayi thi lekin aab unhe ye samajh aa gaya hai ki unko darne ki jaroorat hi nahi hai kyunki so ladke aaye the tabhi pitte hai toh agar unke maa baap aaye bhi toh wo keh sakti hai ki khudke bachaao mai peeta gaya hai ladko ko.

Shakuntala ki baat pe Ruhana aur Mishra ji halke se hanse tabhi unne samne se ek rickshaw aata hua dikha jo bina roke hi Shakuntala ke pass aa khada hua, Shakuntala ne piche mud ke baap beti ko dekha jinhone ne ishaaron mei hi unhe shabashi de di. Phir muskurate hue pura parivar rickshaw mei baith chale gaye.

...

To be continued..

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top