Chapter - 32

Alarm ki ghanti jor jor se baaj rahi hai lekin Ruhana aur Shakuntala tass se mass na ho rahi, dono gehri nind mei so rahi hai. Aab agar puri raat jaagenge toh subha nind kaise khulegi. 

Dono jaan aaram se gehri nind mei so rahe hai. Mishra ji jo abhi abhi ghar mei ghusse unhe alarm ki awaj sunai di. Wo apne kamre mein gaye toh dekha maa beti so rahi hai, kuch chan pyar se unhe dekhte rahe. Ek mann hua ki dono ko sone de lekin fir unhe ye pata hai ki Ruhana ko college jana hai toh usko toh uthana hi padega.

Dheeme se Mishra ji bistar ke pass pahuche, Ruhana ke bagal mei baith unhone dheere se Ruhana ke baalon ko sehlaya. Ruhana ne apni aankhe halke se kholi aur muskurai.

Mishra ji halke se muskuraaye, '' aaj college nahi jana''unhone pyar se pucha.

College ka naam sunte hi Ruhana ne jhat se ghari ki aur dekha saadhe aath baaj rahe the. Ruhana dang reh gayi, nau baje tak toh unhe college mei pahuchana tha aur ye aab tak so rahi hai, jhat se baith padi.

''Papa, main late ho gai'' itna kehti hui Ruhana apne kamre ki aur bhagi, halki se hanse Mishra ji fir bathroom mei chal diye.

.

Rihana naha ke aa chuki hai aur taiyaar bhi ho chuki hai aab bas unhe apna bag aur assignment lena hai. Study table se sab kuch uthate hue Ruhana bhagi lekin niche unko Mishra ji ne rok liya.

''Arey, ruko ruko, kuch khate jao beta''plate mei bread jam aur coffee laate hue Mishra ji bole.

''Nahi papa main bahut late ho chuki hoon, pehle class mei hi assignment submit karna hai aur Tyagi Sir late aane walon ki assignment nahi lete'' chinta purwak Rihana boli.

Mishra ji sar bullate hue bole,''aacha thik hai ye bread main tiffin mei dal deta hoon tum kha lena''itna kehte hue Mishra ji jhat se tiffin mei bread bhar le aaye aakhir wo Ruhana ko aise hi kaise jaane de sakte hai. Bhale hi Shakuntala ki tabiyat kharab hai aur Mishra ji khud utna aacha khana toh nahi bana sakte lekin kam se kam bhookha na rehna pade itna toh bana hi sakte hai aur unhone yahi kiya.

..

Ruhana college pahuchi, sukar hai Mishra ji ne unhe scooty dila di jis se wo time pe college pahuch gayi, ooh, uski scooty uski toh marramat bhi karwani hai, thuk jo gai thi un ladkon se, aur wo ladke jhoothe kahin ke, kaise dusro ki tasveer nikal khudki laga li, huh. 

Arey ye kya sochne lagi ye, bhale hi college pahuch gayi hai wo lekin class tak pahuchne mei aab bhi time hai. Scooty park karke bhagati hui Ruhana class mei pahuchi ganimat hai Tyagi ji abhi aaye nahi the.

Ruhana ne jhat se apni seat pakad li, nazar ghumaya toh paya aaj pura class bhara pada hai, assignment ka dar hai sabko.

Jald hi Tuagi ji aa gaye aur Rihana se suruat karte hue sabka assignment lene laage, Rihana ki dost ne bhi Assignment diya. Aab laag bhag sabka ho chuka tha bas ekke dukke bache the. Tyagi ji ne najar ghumai apni aur bole,

''Vineet Sharma aur Karan Shukla, tum dono apna assignment laaye ho ya ye bhi -0 se fail karne ka irada hai''vyangta purwak Tyagi ji ne taunt mara.

Vineet aur Karan jo last bench pe baithe the apni apni file leke aaye aur Tyagi ji ke table pe patak diya, ''ye lijiye aapka assignment ''itna kehke dono wapas apni jagah pe chale gaye.

Tyagi ji ne dono ka assignment padha lekin sab kuch sahi tha toh wo unhe dant bhi na sakte ye jante hue bhi ki assignment kissi aur ne hi banaya hoga. Apne krodh ko dabate hue Tyagi ji chale gaye sabke Assignment le ke, kafi vidyarthi bhi chale gaye, Ruhana washroom gayi aur Vineet aur karan kud ke uski saheli Sikha le pass pahuche.

Sikha ki bagal mei baith, Vineet ne Sikha ko baahon mei bhar liya aur bade hi pyar se uske gaalon ko choom liya, Sikha sharm se simat si gayi.

''Haaye meri jaaneman, dilruba, dilnashi, kya assignment banaya. Dil khush kar diya tumne mera meri jaan''itna kehte hue Vineet ne fir usse galle se laga liya..

''Haan Bhabhi, thank you so much mere liye bhi assignment banane ke liye.'' Mishri mei baatein gholte hue karan bola.

Sikha muskurau, ''aab kya tum dono ke liye main itna bhi nahi kar sakti? ''Vineet ki aur pyar se dekhte hue Sikha boli.

Waise toh Sikha aache se janti hai ki kuch dino mei wo Vineet ki line se bahar hogi fir bhi lagi padi hai uske saath. 

Sikha ne bade pyar se Vineet ke gale mei baahein dalte hue kaha,''tum kal kahan the jaan, maine kitna call kiya tumhe. Aadhi raat tak club mei tumhara wait karti rahi lekin tum aaye hi nahi, kyun?''Sikha ne pucha.

Vineet aur Karan ne ek duje ko ek tak dekha. Aab bole toh kya bole isse. Karan ne kuch ishara kiya, Vineet Sikha ki aur muda aur ek pyari si muskan dete hue bola.

''Wo kya hai na baby, kal tumhari sasu maa ko ghumane le gaya tha main issi mei der ho gayi mujhe'' badi safai se jhooth bol diya, bina kissi sawal ke Sikha ne uski baat mann li. 

Karan wahan se khisak gaya samajhte hue ki aab uska yahan koi kaam nahi, laila mainu ko kuch waqt saath mei bitane ke liye chahiye. Pura class khali tha aab sirf Vineet aur Sikha mithi mithi baatein kar rahe hai. Vineet ne toh na jaane kitne jhoothe waade kar daale hai. Abhi sagaai toh hui nahi aur nawabzyade honeymoon ki planning bata rahe hai apni laila ko, sikha bhi sharma sharma ke sun rahi hai jaise abhi hi wo honeymoon manane jaa rahe ho.

''Baby, tum sach keh rahe ho? Hum Switzerland jaayenge honeymoon ke liye?''pyar se Sikha ne pucha, Vineet ne usse khudse agal kiya aur bholi si surat banate hue bola,

''Tumhe kya lagta hai main jhooth bol raha hoon? Tum mujhe jhootha samajhti ho? Yahi hai tumhara pyar, yahi tumhara Vishwas'' roti si surat bana Vineet bola, Sikha ne jhat se usse gale se laga liya ye sochte hue ki usne bechare ka dil dukha diya hai aab usse kya pata ki ye Vineet ki chal hai.

….

To be continued..

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top