Chapter - 30

Sharma ji aur Shukla ji ne kaahani ki shuruat toh kar di thi lekin Sasu maa ko yakeen na hua unpe issliye jaise hi Shukla ji aage badhe Sasu maa ne danda maar bhaga diya unhe,

''Tum logon ko kaa lagta hai, humko kuch samajh na aa raha hai kaise teeno kahaniyaan gadh rahe ho! Arey koi kyun maaregaa hamare bache ko'' Sasu maa ne teeno ko ghurte hue kaha.

''Kya Amma ji aab aapko hamari baat pe bharosha nahi hai toh kya bole aab hum log. Humne toh aap logon se kuch issliye nahi bataya kyunki aap log pareshan ho jaate, fir humein saara sach pata bhi nahi tha toh kya kehte aur ek aap hai jo humein hi maar rahi hai'' Kishori ji ne muh banate hue kaha.

''Jyada bhole na bano tum, hum aache se jaante hai teeno hum sab ko jhooth bol rahe ho. Tum teeno ko kaa lagta hai humko kuch pata na chalega ''Sasu maa gurrai, ispe Sharma ji unke samne aa dhamke.

''Thik hai Amma ji fir aap khud un teeno se ghar jaake puch lijiyega ki hum teeno sach bol rahe hai ya jhooth'' badi akar aur saahas ke saath Sharma ji bole kyunki aab ye toh jahir hai teeno ladko ne kuch toh kand kiya hai jis wajah se unki ye halat hai, ye toh pakki baat hai ki teeno sach bataayenge nahi. Aise mei ye unke baapon ke liye sunehara mauka hai ki wo ladko ko apni taraf kar khudko bacha le. Shukla ji aur Kishori ji, Sharma ji ki yojna bakhubi samajh gaye.

Sasu maa ne teeno se ladko ko leke aane ke liye kaha, waise toh wo khud andar jaati lekin abhi abhi iss aaspatal mei unki beizzati hui hai toh aab uske andar jana unko apne aatma saman ko thes pahuchane jaisa laga aur teeno mardon ko bhagwan ka diwan hua vardhan jaisa.

Chehre pe badi si muskan lete hue teeno ghusse aaspatal mei, apna seena phulate hue apne apne beton ke pass gaye.

Kishori ji jab Birju ke kamre mei pahuche toh dekha beta lete lete phal kha raha hai. Dheemi kadmo se Kishori ji Birju ke pass pahuche, abhi unhe Birju se apna kaam nikalwane hai toh wo uss se jitna ho sake utne pyar se vartav karenge.

''Birju!!!!''swar mei mishri gholte hue Kishori ji ne apne ladle ko pukaara. Birju ne sar utha ek tak unhe dekha uska toh jaise gala hi sukh gaya, pata jo tha aab Kishori ji sawaalon ki ladi lagane wale hai aur uske pass koi jawab nahi hai, jawab dega bhi kya ki wo wahan apni setting karne gaya tha?? Kishori ji wahi maar maar ke chatni bana denge uski aur iss aaspatal mei do - char mahine ke liye chor denge. 

Birju aachanak chaukaa jab Kishori ji uske pass aa baith gaye aur uske baalon ko sehlane laage, usse toh aisa laga jaise wo koi sapna dekh raha ho.

''Tu thik hai na beta? ''Mithe swar mei Kishori ji ne pucha, jo sunke Birju ko dil ka daura sa paad gaya lekin usne jaise taise khudko sambhala aakhir abhi usse shadi karni hai do char bacho ka baap banna hai.

''Aapko kya hua babu ji''kuch der rehke Birju ne pucha.

Kishori ji ko waise bhi gol gol ghuma ke baate karna nahi aata toh aab jab Birju ne samne se puch liya hai toh unhe laga baat kar lene mei hi faida hai.

Ek lambi si saans bharte hue bole,''niche tumhari maa, Amma ji aur Rastogi ji sab khade hai. Sabko pata chal gaya tum teeno yahan bharti ho aur sabko hi iska karan janna tha. Isaliye hum teeno ne unse keh diya ki kissi ne tum teeno ko mara hai wajah kya hai ye humein bhi nahi pata. Toh aab ye tumhare haath mei hai ki tum hamari baat ko jhulate ho ya sahi thehrate ho. Lekin ek baat jaan lo agar hamari baat ko galat bataya toh fir teeno ko sach batana padega jo humein pata hai ghinona hi hoga, par fir bhi aakhiru faishla tum teeno ka hi hoga''Kishori ji ne apni baat rakhi, Birju ne bade dhyan se unki baat suni phir soch mri dub gaya ki aakhir kare kya? Apni pita ji ki baat maan li toh baki sawaalon se bach jaayega lekin badh mei ye khud uske piche padd jaayenge aur agar abhi inkar kar diya toh sabke sawaalon ke jawab dene padenge, aise mei aab wo kare.

Jahan ek taraf Birju soch mei duba tha wahi dusri taraf uske baki do doston ka bhi wahi haal tha, gehri chinta mei teeno dube hue the ki aakhir kare toh kya kare. 

Teeno baap apne beton ko le ke nikle kamre se, tuti haalat teeno ki thi issliye baapon ne sahara de rakha tha. 

Teeno ladko ki nazar ek duje pe padi, kuch der thehar ke ek duje ko dekh liya. Ishaaron ishaaron mei tay kar liya ki unhe apne baapon ki baat maan leni chahiye nahi toh unko sach batana par jaayega aur iss samay toh wo log jhooth bhi nahi bol paayenge.

Aaspatal se bahar nikalne se pehle Sharma ji ne teeno se unki rai jaan li aur jab teeno ne unka saath dene ki baat kahi toh teeno mardon ko aisa laga jaise ganga naha liye ho, khushi se phoole na samaye.

Chehre pe batish inch ki muskan liye hue teeno bahar gaye, beton ko jara aur pyar se pakad liya taki bahar jo parivar wale hai unko ye na laage ki tabiyat bigdi hui hone ke bawajud unpe shakti ki jaa rahi hai.

Waise toh Sharma ji, Shukla ji aur Kishori ji ko laga tha ki bahar kadam rakhte hi Sasu maa kachari baitha degi lekin aisa na hua. Sasu maa ne teeno ladkon ko pehle pyar se nihara fir apne bete se auto laane ko kaha. Sharma ji ne lambi sans bhari chalo kam se kam aab ghar mei hoga jo hoga.

Kuch chan mei auto aa gayi Vineet, Sharda aur Sasu maa ek auto mei baith gaye. Karan, uski maa aur Rastogi ji ek mei aur teesre mei Birju aur uski maa. Ye sab toh auto mei baith nikal liye lekin Sharma ji, Shukla ji aur Kishori ji se kissi ne pucha tak nahi.

Teeno yahin samajh gaye ki agar unki ek bhi baat galat sabit hui toh jaise kissi ne auto ke liye nahi pucha waise ki koi ghar mei bhi nahi rehne dega. Apne ghar se hi beghar ho jaayenge teeno!!

….

Aage kya hoga jaane ke liye banne rahiye hamare saath 

Milte hai agle adhyay mei.. 

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top