Chapter - 3
Aadha din toh beet chuka tha, aur Sharma ji bhi office ja chuke the. Aab Vineet kahin Jaake kuch bhi kar sakta tha kyunki Sharda toh aayegi nahi dekhne aur Sharma ji toh hai hi nahi.
Fatafat brush karke aur naha ke, suit boot pehen ke taiyar ho gaye janab. Maa ke haath ka garma garam nasta kiye aur nikal pade ghar se apni motorcycle liye.
Sabse pehle janab pahuche Birju ki dukan par jahan uska jigree dost Karan uske intezar mei baithe cigarette ke dhue uda rahe the. Vineet ko dekhte hi uska chehra 100 volt ki bulb jaisa khil gaya.
Karan, Vineet ke bachpan ka dost hai aur uske hi jaisa hai. Dono saath saath school padhe aur aab college mei bhi saath hai, aur saath mei hi apne mata pita ka naam roshan kar rahe hai.
Vineet, Birju ki dukan ke pass Karan ke bagal mei apni motorcycle ko rokta hai. Karan uske piche baith jaata hai aur dono nikal padte hai mohalle se Birju ko ye yakeen dilate hue ki aaj wo uski setting karwa hi denge..
Waise toh Vineet aur Karan pehle apne mohalle mei hi ghuma karte the aur apni setting kiya karte the par jabse pichle saal mohalle ki auntiyon ne Rakshabandhan ke din dono ko pakad ke pure mohalle ki ladkiyon se rakhi bandhwa di hai, dono ne apne sikar karne ki jagah badal di. Aur ye baat ki Vineet aur karan mohalle mei setting karte firte hai, Sharma jii ne hi bata di thi. Unhe laga shayad iss se beta sudhar jaaye, aab unhe kahan pata tha unka beta wo sikari hai jo kahin se bhi sikar dhundh hi leta hai aab iss jungle na toh duje jungle hi sahi.
…
Dono dost nikal pade hai Birju ki setting karwane. Address ki jaroorat padi nahi unhe kyunki unhone khud ghat ghat ka pani piya hai. Lekin Karan ko aab tak pata nahi hai ki akhir wo jaa kahan rahe hai.
"Bhai, hum kahan jaa rahe hai" Karan puchta hai
"Arey wo Birju hai na, usko ek chokri pasand hai. Uske ghar jaa rahe hai, Birju ki setting ladki se karwayenge aur apni permanent setting uske dukan mei.. Fir hum muft ka maal khayenge" Vineet hanste hue batata hai..
"lekin hai kaun wo ladki" Karan utsukta se puchta hai..
"Abey wo champu hai na, jo uski dukan pe saman lene aati hai wahi.. Apni type ki nahi hai, meri toh bilkul nahi" Ye bolte hue Vineet, dusre rashte ki aur mud jaata..
….
Yahan dusri aur Gandhi chowk ke makaan number 15 mei khushi ka mahol chaya hua hai, aakhir khush ho bhi kyun na baat hi kuch aisi hai. Khushi mei ghar ki malkin Sakuntala Devi, ghar ke sabhi naukaron aur padhne aaye bachcho ko laddu bant rahi hai aur Anand Mishra ji wo toh sabko phone karne mei hi busy hai.
Aab unki ladli beti Ruhana ne, college ke 2nd year mei bhi top kiya hai toh ye khushi sabko batani toh banti hai.
Jahan ek taraf mata pita iss khushi ko sabko batana aur manane mei lagge hue the wahin dusri taraf Ruhana aab tak puja hi kar rahi hai. Unki mata shree ka kehna hai ki bhagwan ka bhi dhanyawad unhe karna chahiye issliye wo puja mei vyast hai.
Unki puja khatam hoti hi hai ki Mishra ji usse gale se laga lete hai "I'm so proud of you beta. Aab mujhe pura vishwas hai ki pure Delhi mei tum hi top karogi" Mishra ji apni khushi jahir karte hue bolte hai.
"Humka toh pehle hi pata rahi, hamari bitiya hi top karegi" Shakuntala piche se aate hue bolti hai.
Ruhana halke se muskurati hai, tabhi Mishra ji uske haathon mei kuch thama dete hai jisse dekh ke Ruhana Khushi se jhoom uthti hai.
Khush ho bhi kyun na top karne ke inam mei unhe ek chamchamati scooty jo milli hai jo unhe kabse chahiye thi taki unhe college jaane mei asani ho aur wo Shakuntala ki bhi madad kar sake. Lekin ye ho na paa raha tha, pehle Mishra ji ne scooty ke liye bachaye hue paise ghar mei saalon kaam karne wale, Hari kaka ko de diye kyunki unki beti ki shadi thi aur unke pass paise pure na padd rahe the. Aab wo itne saalon se saath the unke toh Mishra ji aur unke parivar ko bhi laga ki scooty se jyada jaroori shadi hai toh khushi khushi de diye paise.
Dusri baar jab socha kharid le toh unke padoshi ki tabiyat bigad gayi jo ki kafi bujurg hai. Unke bimar hote hi unke bache unhe chod gaye, lekin Mishra ji se na dekha gaya ye. Ek Doctor ka Farz toh unhe nibhana tha hi saath hi insaniyat aur ek aache padoshi hone ka bhi. Ye sab sochte hue unhone saare paise ilaz mei laga diye.
Lekin iss baar Mishra ji scooty le hi aaye hai apni Rajkumari ke liye akhir usse kab tak rok bakiyon ki jaruratein puri kare wo. Aisa nahi hai ki unke paise de dene pe ya scooty na laane pe Ruhana ya Shakuntala ne unhe kuch kaha ho, par wo jaante hai ki scooty ki jaroorat toh hai hi bhale dono kuch na bole unki haan mei haan mila de lekin wo jaante hai ki dono apni kuch icchaon ko mar deti hai, issliye jab bhi Mishra ji ko mauka milta hai wo Ruhana aur Shakuntala ke liye kuch karne se piche nahi hatte jaise ki aaj wo scooty le aaye hai.
Apne haathon mei scooty ki chabhi dekh, Ruhana ne Mishra ji ko jadu ki jhappi di, fir Shakuntala ka haath pakad bahar bhagi. Samne dekha toh kya, pura mohalla ekhatta ho rakha hai, sabne scooty ko gher rakha hai. Hari kaka ne sabko hataya, Ruhana scooty pe baithi aur apne mata pita se piche baithne ko kaha kyunki wo unhe apni nayi scooty pe ser karwana chahti thi. Mishra ji ne pehle Shakuntala se jaane ko kaha. Aaram se Shakuntala piche jaa ke baith gayi, Ruhana ne unhe pure 3 mohalle ghuma diye aur iss se Shakuntala khushi se khoom gayi bas.. Aab bari Mishra jii ki thi jo utsukh toh the hi lekin saath mei thoda ghabra rahe the lekin jab Shakuntala ne kaha ki wo aaram se baith jaaye unhe kuch na hoga toh wo Jaake baith gaye Ruhana ke piche, ek aachi si ser ke liye..
……
Aage kya hoga jaane ke liye banne rahiye hamare saath
Milte hai agle adhyay mei..
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top