Chapter - 24

Teeno ko aache se bina sharf sabun ke dho diya gaya, road pe patak patak ke. Chappal, danda sab istemal kiye gaye unpe aur teeno, bechare pehle hi peet ke aaye the sareer mei itni taqat na thi ki ek duje ko bacha sake toh kha li maar aur dusra chara bhi kya tha unke pass. 

Teeno pe aache se haath saaf karne ke badh unke pitaon ne unhe utha ke khada karwaya, aache se torch maar unhe dekha aur paaya teeno kitchar mei lipte hue hai. Aab iss halat mei unhe ghar le jaana thik na hoga, sabse pehla shaq unhi teeno pe kiya jaayega issliye teeno ko Kishori ji ke ghar le gaye taki nehalwa de unhe aur kapde badalwa de. 

Lekin teeno ladko ki halat kharab ho chuki thi, pehle Mishra ji ke ghar jo hua unke saath aur fir aab pitaon ne jo haal kiya hai aab wo khud nahane ya kuch aur karne ke halat mei nahi hai. 

Ghar mei ghuste hi Teeno ko bathroom ki aur bhej diya gaya lekin teeno aage badh hi na paa rahe the. Shukla ji chillai teeno pe, dhamki di aur maarne ki lekin koi fark na pada, padta bhi kaise teeno ke paon toh jaise jam se gaye the. 

"jaa ke nahao jaldi se ya aise hi jaane ka irada hai ghar" Sharma ji ne gusse se pucha, teeno ko darane ke liye. 

Karan aur Birju toh na hile apni jagah se lekin Vineet ne koshish ki aur nakam raha, wo dharam se niche gir gaya. Sharma ji bhag ke gaye, unhone Vineet ko bithaya lekin wo baith bhi na paa raha tha Sharma ji ke upar gir para. Uski aisi halat dekh ke Sharma ji ghabra gaye, mann mei tarah tarah ke vichar aane lage, ki kahin unhone jyada toh na maar diya usse? Ya kahin aisi jagah toh chot na laag gayi jahan na lagna chahiye tha?? 

Agar Vineet ko kuch ho gaya toh kya hoga? Sharma ji toh kabhi apne aap ko maaf nahi kar payenge. Chahe unhe jitni bhi narajgi kyun na ho apne bete se pyar toh usse wo karte hai, bhale jatate nahi. Apne ek laute bete ko wo kuch hone na de sakte kissi kimat pe! 

Unhone Vineet ka gaal thapthapaya lekin wo behosh hone laga tha, Sharma ji Kishori ji pe ambulance ko phone karne ke liye chillaye aur Vineet ko Sukhla ji ki madad se utha se bahar le gaye tab tak Kishori ji ne ye bhamp liya tha ki karan aur Birju ki halat bhi thik nahi hai issliye unhe bhi bahar le gaye aur ambulance ke aate hi teeno ko andar bitha diya. 

Parantu apne parivar ko kuch na bataya iss baare mei kyunki unhe pata hai sab rone dhone lagenge aur saara ilzam in teeno pe aa jaayega issliye bina unhe kuch bataye lekin unki kismat phuti thi, Vineet ke mama yaani Rastogi ji ne Sharma ji ko dekh liya ambulance mei baith ke jaate hue. 

Rastogi ji ne Sharma ji ko pukara, unhe rokne ki koshish ki lekin Sharma ji ne suna nahi wo ambulance mei baith chale gaye. Rastogi ji bhag ke ghar gaye, bhagne ki wajah se unki sansein atakne lagi, 

"Kya ho gaya tujhe" Rastogi ji ki Amma unse puchti hai 

"Amma, Jija ji, Shukla ji aur Kishori ji ambulance mei baith ke hospital gaye abhi" Rastogi ji batate hai jo sun ke sabhi aurton ke hosh udd gaye. Pehle hi unhe beton ki chinta sataye jaa rahi hai aab pati hospital gaye ye chinta toh aur badi hai. 

Teeno aurtein rone lagi aur Sasu maa, wo toh samajhne ki koshish mei lagi hai ki aakhir teeno hospital gaye kyun? 

Kyunki kuch der pehle yahan se jan teeno gaye toh hatte katte the fir achanak kya hua unhe? Ya aisa toh nahi ki wo kissi aur ko leke gaye ho hospital? 

Unhone dant ke aurton ko chup karaya, "Arey chup karo choriyon, teeno hospital gaye hai ye pata chala hai na, teeno bimar hai ye thodi pata chala hai. Abhi abhi toh gaye the teeno yahan se apne pairon pe chal ke, itni jaldi unn gando ko kuch na hoga. Rona band karo aur chalo hospital" Ye kehti hui wo khatiya se niche utar jaati hai, aurton ke muh se awajein aana toh band ho jaati hai lekin aansu beh hi rahe hai. 

Sasu maa aur baki sab ghar se nikal padte hai hospital jaane ko lekin paidal jana mumkin toh tha nahi issliye chalte chalte auto bhi dhundh rahe hai, unki khush kismati se ek auto mohalle ke naake pe mil bhi jata hai par panch log ek auto mei kaise baith sakte the upar se auto wale ne do se jyada sawari ko bithane se mana kar diya, issliye Rastogi ji ne apni Amma aur Karan ki maa ko uss auto mei bitha diya kyunki Karan ki maa hi sabse jyada ro rahi thi fir Amma toh chal hi na sakti jyada issliye un dono ko bhejna uchit laga unhe. 

Karan ki maa aur Vineet ki Nani toh chale gaye par uske badh un teeno ko koi auto na milla issliye wo paidal hi hospital chalte gaye. 

Yahan, Karan ki maa aur Vineet ki Nani hospital pahuch gayi. Dono fatafat utre aur andar ghusne lage tabhi auto wale ne awaj lagai, 

"ooh maaji, mera bhara toh dijiye" auto wala bola 

Dono aurtein mudi, phak se dhyan aaya jaldi jaldi mei paise toh wo laai hi nahi hai. Aab kaise dengi auto wale ko paise?? Dono tham si gai aur ek dusre ko dekhne lagi, auto wale ne bhamp liya ki dono ke pass paise nahi hai. 

"ooho ho ho, bina paise auto ki sawari kar li. Bade muftkhor ho dono, lagti toh sareef ghar se ho aur harkatein aisi" tivra bhao se auto wala bola jo sunke Vineet ki Nani ko gussa aaya, aata bhi kyun na jahan wo rehti hai NEHRU CHAWK wahan ka bacha bacha tak unki izzat karta hai, pure area mei unki tuti bolti hai, log dur dur se unse salah lene aate hai aur ek ye auto wala hai jo unhe suna raha hai, ye kahan bardasth karne wali thi wo. Uthaya danda aur laga diya kandhe pe khich ke do. 

Auto wala chikhar pada, bhid jama ho gayi, Karan ki maa Nani ko rokne ki koshish karti rahi lekin ye hua nahi. 

Bahar ka shor gul sun Sharma ji, Kishori ji aur Shukla ji jo apne beton ka marham patti karwa rahe the unke kaano tak pahuchi. Bahar nikal ke dekhne aaye ki akhir majra kya hai lekin bahar aate hi teeno ki sitti pitti gul ho gayi. Sharma ji toh behosh se hone lage apni Sasu maa ko dekh ke. 

Aab ye yahan kyun aai hai?

Aur kya hoga agar unhone teeno ko dekh liya yahan toh?? 

Teeno ke mann mei ye sawal utha aur dusre hi pal teeno bhag khade hue!! 

...

Aage kya hoga jaane ke liye banne rahiye hamare saath 

Milte hai agle adhyay mei.. 

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top