Chapter - 22
Mishra ji aur Ruhana aab ghar aa chuke the, pure dedh ghante ka safar karke. Asal mei toh hospital se ghar aane mei sirf 30 minute lagte hai lekin aaj dedh ghanta laag gaya.
Pehle toh thodi dur chalte hi Mishra ji ki car bigad gayi mechanic 20 minute mei aaya, aab wo dono car ko bich raste toh chod ke aa na sakte the aur Mishra ji na toh Ruhana ko wahan akele chodna chahte the na usse pehle jaane dena chahte the kyunki aise mei unka tension jyada badh jaata.
Jab car thik karwa ke nikle dono toh rashte mei traffic ne pakad liya jahan kareeb kareeb ek ghanta nikal gaya aur jab jaise taise itne der ke badh ghar pahuche toh pata chala light nahi hai, upar se kuch ajeeb awajein aa rahi thi. Kuch logon ke phusphusane ki. Mobile ka flashlight jala ke Mishra ji aage badhne lage aur unke piche thi Ruhana jisne ek mota sa dand utha kiya tha.
Awaj lagate hue baap - beti ghar ke pichwade ki aur jaane lage, dheere dheere awajein kam hone lagi aur fir ek chapak ki awaj aai. Jab wo pahuche piche toh dekha koi nahi hai wahan. Dono hairan reh gaye, dono ko yakeen hai ki awajein yahin se aa rahi thi lekin achanak wo gayab kahan ho gaye?
"lagta hai bahut bade badmash the, jhat se gayab ho gaye" Mishra ji bole, Ruhana ne haan mei sar hilaya ki tabhi unhe Shakuntala ki chikh sunai di. Dono daude ghar ke andar aur seedha gaye Shakuntala ke kamre mei. Flash light se usse dhundhne ki koshish ki lekin wo kahin na dikhi,
"Mumma" Ruhana ne unhe pukara toh Shakuntala ki awaj bathroom se aai. Baap beti khade ho gaye darwaje pe aur thokne lage darwaja. Shakuntala ne darwaja khola aur Ruhana ke gale laag gayi, darr se unka sareer garam ho gaya tha aur dil ki dhadkan badh gayi thi.
Ruhana unhe bistar ke pass le gai aur lita diya, bechari kafi ghabrai hui thi. Birju sang jo hua uss se unka darr aur badh gaya tha.
"Shaku, kya ho gaya tumhe" Mishra ji ne aaram se unke bagal mei baithte hue pucha.
Shakuntala ne ek tak Mishra ji ko dekha fir Ruhana ko, "bahut badi ek galti ho gayi humse" darte darte Shakuntala boli.
"galti!! Kaisi galti?? Aap itna dari hui kyun hai Mumma? Kaun aaye the?" Ruhana ne chinta purvak pucha.
"teen log the bitiya!! Do ko toh humne dekha teesre ko na dekh paaye. Chori karne aaye the shayad. Ek lamba gora chitta gandi si sakal thi uski wo kitchen ke pipe se chadh ke aa gaya aur khidki bhi khol li toh meine laal mirchi phek diya uske muh pe aur dhakka de ke khidki band kar di!! Aur ek toh sidha iss kamre mei ghus gaya aur kuch dhundh raha tha, sakal se hi chor badmass tha wo. Humko dhamki de raha tha ki uska baap bahut bada officer hai aur fir!!! "Shakuntala kuch der ruki.." fir galti se hum fisal gaye aur jo chaku humne sirf usse darane ke liye liya tha wo usko Lagg rahi. Uski laggi toh hum itna ghabra gaye the ki humne usse khidki se dhakka de diya "Ye batate hue Shakuntala ne Mishra ji ka haath jor se pakad liya aur rone lagi. Unhe sach mei bahut dukh hua tha ki Birju ko chaku laag gayi unse.
Mishra ji aur Ruhana hakke bakke reh gaye. Baat toh gambhir hai, chaku lagna koi aam baat nahi lekin galti toh uss ladke ki hi hai jo chori chuppe ghar mei ghusha aab apne bachao ke liye insaan kuch toh karega hi.
Mishra ji ne Shakuntala ki aur dekha jisse aab bukhar chadh chuka hai, Mishra ji abhi aur kuch puch ke unki halat na bigadna chahte the issliye iss baat ko yahi daba diya aur dono unke pass baithe rahe aur unke sar pe patti karne lage taki unka bukhar utar jaaye.
..
Jahan ek taraf Mishra parivar aab kuch chinta mei tha Wahin dusri taraf Sharma Parivar ka haal bhi kuch aisa hi hai kyunki dopahar ko gaye ladke aab tak na laute the. Karan aur Birju ke maa baap bhi Sharma ji ke ghar aa pahuche the, ek taraf mataein iss chinta mei thi ki beton ko kuch ho na, unki salamati ki duawein maang rahi thi aur dusri taraf sabhi baapon ko ye chinta thi ki unke nalayak bete aab koi kand karke na aaye, unhe aache se pata hai ki teeno iss samay tak ek saath gayab hai toh pakka kuch gadbad karke hi aayenge.
Sharma ji, Kishori lal ji aur Shukla ji teeno kone mei khade ho sar peet rahe hai,
"hum bata rahe hai bhaiya teeno kissi laundiya ke chakkar mei gaye hone. Sharm toh hai nahi kissi ko, kal hi maar khai aur aaj nikal pade hai. Dekhna raat ko teeno jhoomte hue aayenge aur thoda natak kar kamre mei jaake so jaayenge" Kishori ji bole, thode gusse mei.
"Inn teeno ki izzat ka bhau toh ek nimbu ke daam se bhi kaam hoga aur wo bhi koi na kharidega kyunki hai hi nahi unke pass. Nalayak hai teeno, jaane bhagwan humse kis janam ka badla nikal raha hai jo aise looferon ko hamare ghar bhej diya" Shukla ji deevar pe sar peette hue bole jo dekh ke aurton ko laga ki bete ki chinta mei wo aisa kar rahe hai. Aab unhe kya pata ki sach hai kya akhir.
Sharma ji sar hilate hue bole, "kissi janam ka badla nahi hai ye, mujhe toh suru se hi lagta hai ye meri aulad hi nahi. Hospital mei badal gaya hoga aur kissi aur ka defective piece hamare pass chala aaya. Jinke pass hamare bachche honge wo toh sukh mei hoga aur hum yahan marr rahe hai" nirashpurvak Sharma ji bole aur gehri sans bhari.
Teeno maardon ne kuch der aur vichar vimash kar unn teeno ko dhundhne jaane ka nishchit kiya wo bhi issliye kyunki Sharma ji ki saasu maa aab unke sar pe tandav karne ko taiyar thi.
..
Aage kya hoga jaane ke liye banne rahiye hamare saath
Milte hai agle adhyay mei..
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top