Chapter - 21
No pics!!
Teeno ladke, teeno taraf, teeno khane chith pade hue hai. Dard mei kara rahe hai, teeno ko ek dusre ke karane ki awaj aa rahi hai lekin na toh wo ek dusre ko santwana de sakte hai aur na hi Jaake ek dusre ko sahara aab kare toh kya kare?
Wahan pade pade toh reh nahi sakte, na hi hil paa rahe hai toh aise mei kya upay nikala jaaye?
Teeno soch rahe hai, fir kuch himmat Birju aur Karan ne dikhai. Socha thoda kast karke Vineet tak pahucha jaaye fir jab teeno saath aayenge toh kuch na kuch upay toh nikal hi jaayega.
Dono aage badhne lage, dheere dheere rangte hue, aab khade toh ho na paa rahe the aur bechara karan wo toh dekh bhi na paa raha tha aankho mei mirchi jaane ki wajah se fir bhi aankh band kiye badh raha tha aage. Aur ek taraf Vineet mahashaye hai jo jameen pe bhi aise hil rahe hai jaise aab tak bijli ka jhatka laag raha ho, pura sareer jhannaya hua hai uska.
Pehle Birju pahucha Vineet ke pass jhado se maar khata hua dekha toh banda jameen pe pada hua hil raha hai, gaya uske najdik aur usse bulaya lekin koi jawab na milla. Birju ne kandha pakad hilla Vineet ko par majal hai ki koi jawab mille. Birju ka matha firra, aakhir chot sabko lagi hai lekin wo fir bhi aaya yahan aur ek ye hai jo jawab tak na de raha hai.
Birju ne socha ek chanta khich ke lagaye wo Vineet ko lekin haath jaise hi uthaya Karan aa gaya rangta hua, usse dekh ke saaf tha jhadiyon ne usse bhi mara hai.
"Bhai!! Bhai!!" Karan ne Vineet ko pukara
"wo jawab na de rahe hai" Birju bola
"lekin kyun" Karan ne pucha
"aab wo humko kya pata, bas hille jaa rahe hai tabse jaise bijli ka jhatka laga ho" jaise hi Birju ke muh se ye sabd nikle dono ladke (Birju aur Karan) ke kaan khade ho gaye. Karan ki aankhe phak se khul gayi kuch minute ke liye wo apne aankho ki jalan bhool gaya.
Kahin Vineet ko bijli ka jhatka toh nahi laga?
Dono ke deemag mei ye prashna utha. Dono ne ek dusre ki aur dekha,
"Budhiya ne bhai ko current toh na laga diya?" dono ek saath, Vineet ki aur ishara jarte hue bole.
Jhat se najar Vineet ki aur firaya jo aab tak current ke prabhau mei kuch tha. Usse jagane ki koshish ki lekin baat na bani, kafi kuch kiya lekin koi asar nahi hua aakhir mei unhe ek desi ilaj sujha wo bhi Birju ko jo uski matashree ne uske pita shree pe ek baar ajmai thi jab unhe current laag gaya tha aur wo kuch bol na rahe the.
Birju ne upay Karan ko bataya lekin usne inkar kar diya kyunki usse wo thik na laag raha tha par jab Birju ne vistar mei sab bataya toh na chahte hue bhi karan ko haan karna pada, aab Vineet ko hosh mei lana jo tha.
Karan ki haan milte hi, Birju ne jhat se apna juta utara aur apna badbudar paon Vineet ko sungha diya jiski bhayanak badbu se Vineet ke deemag ke cells active ho uthe, usne aankh khol diya aur thappad maar ke Birju ko gira diya.
"wahiyat… aadmi, ye kya.. tarika hai" Vineet chillaya khudko bithane ki koshish karte hue
Apna gaal pakad, Kohni pe sahare haath khada rakh uss pe sar rakh Virju bola, "ek toh hum aapko bacha rahe the, upar se aap humko hi maar rahe ho. Aaj ka din toh hum kya hamari saat pushtein bhi nahi bhulengi kaise aapke chakkar mei uss budhiya ne itna bara chaku hamare aasan mei de mara hai, jaane hum kab tak baith na paayenge aur aap bhi hum hi ko maar rahe ho "bhari si awaj mei Birju bola.
Birju ki baat sun karan bhi bol pada," Arey tere toh sirf aasan ka nakhsha hilla hai, uss budhiya ne meri toh pehle aankhe phodi laal mirchi ka powder dal ke fir upar se gira ke aasan ki haddiyan tod di. Jara sa bhi Daya na dikhai usne bhai"
Bechare dono ladke itni takleef jhelne ke badh apne aansu na rok paaye. Unki baatein sun Vineet ne fir dono ko thappad lagaya, "mera haal toh tum dono se bhi bura hai, ek toh upar jaane ka rashta nahi jaise taise pair pe chadh ke gaya. Uss upar se balcony mei door bell laga rakha hai jo current deti hai sirf, itni jor ka jhatka laga mujhe aur upar se niche bhi gir gaya wo bhi cactus ke paudhe pe "rote rote Vineet ne bola ki tabhi unhe kuch awajein aai, teeno ladke simat ke ek jagah pe aa gaye itne mei hi halat kharab ho chuki thi teeno ki aur kuch saha nahi jaata unse.
Dheere dheere awajein najdik aane lagi, Karan ko wo awaj kuch pehchani si lagi. Vineet ka haath pakad bola, "Bhai ye toh uss mote buddhe ki awaj hai. Jaldi bhago yahan se buddha bahut jor ka marta hai"
"lekin bhage kahan? jahan se bhagna hai wahin se toh wo aa raha hai" Birju bola.
Vineet ne idhar udhar sar ghumaya, kyunki aise toh wo milega nahi Ruhana se tuti futi halat mei. Le le ek idea aaya mahashaye ko ki teeno sidha lakdi ki jo deewar hai wo kud uss paar chale jaaye toh ho jaayega kaam. Usne Karan aur Birju se ye baat boli lekin dono maan na rahe the akhir itne chot ke badh kaun maane ye baat lekin aur koi rashta bhi toh nahi tha. Jaise taise teeno kud gaye uss paar lekin unki phuti kismat sidha gire ek chote se pokhar mei Jismei pani se jyada mitti thi jo teeno ko badan mei aache se laag chuki hai aur teeno aab nikalne ki koshish kar rahe hai!
…
Aage kya hoga jaane ke liye banne rahiye hamare saath
Milte hai agle adhyay mei..
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top