Chapter - 20

No Pics!!

Jaise hi Shakuntala ki najar Birju pe padi, wo uski aur dheemi kadmo se badhne lagi lekin Birju ne unhe dekh liya sishe mei aur wo jhat se unki aur muda. Shakuntala ke haath mei chaku aur belan dekh uski aankhe phati ki phati reh gayi. Usne Shakuntala ko aache se nihara aur andaja lagaya ki wo jaroor ghar ki malkin hogi, 

"ayee budhiya, humko chaku marne ka sochna bhi nahi. Hamare pitaji bahut bade officer hai andar karwa denge tumhe" Birju ne Shakuntala ko darane ki koshish ki lekin wo kahan darne wali thi aab. 

jab unhone dekh liya hai ki wo nihatta hai uske pass kuch nahi aur saath hi uske awaj se ye bhi andaja unhone laga liya ki wo unhe dekh ke darr chuka hai, aise mei Shakuntala ko pata hai ki bas usse thodi himmat dikhani hai, agar wo thoda datt ke khadi rahi toh ye khud bhag jaayega. 

Shakuntala aage badhi, Birju do kadam piche gaya "dekh budhiya aage maat badh, main bahut khatarnak aadmi hoon bata raha hoon" Birju ne fir dhamki di 

"Haan haan bitwa dikh raha hai tum kitne khatarnak ho, aab jab tum itne khatarnak ho toh piche kyun jaa rahe ho?" Shakuntala ne pucha, halka sa muskurate hue 

Birju ki toh sitti pitti gul hote jaa rahi thi Shakuntala ke har ek badhte kadam se, wo koi tarkeeb sochne laga bachne ke liye lekin usse kuch sujh na raha hai kyunki darr ki talwar uspe latak rahi hai. Shakuntala aage badh rahi hai aur uska deemag sunnn hota jaa raha hai. 

Hadbadi mei idhar udhar sar ghumaya toh uski najar table pe pade pani ke jug pe padi aur uske deemag mei ek idea aaya ki agar ko pani gira de Shakuntala ke samne toh wo gir jaayegi aur jab tak wo utgegi, wo khidki se kud ke bhag jaayega. 

Usne Shakuntala ki aur najar firai toh paya ki wo toh kafi najdik aa chuki hai lekin wo har kahan manne wala tha. Jug uthaya aur gira diya pani. Shakuntala ka pair phishla, mauka dekh ke Birju bhagne ke liye muda lekin uski badkismati Shakuntala girne ki bajai aage ki aur fik gayi aur unke haath ka chaku sidha jaa ghusha Birju ke asan mei, jiska dirghasan ho gaya!

Birju chikha saath mei chikhi Shakuntala jinka koi irada nahi tha aisa karne ka, wo bas usse dara ke bhagana chahti lekin uski harkat se ye ho gaya. 

Birju dard se karaya, "budhiya kya kar diya" 

Shakuntala ghabda gayi,kahin sach mei iska baap koi police wala nikla toh kya hoga, iske chances toh kam the lekin aaj kal toh bade baap ke bache bhi nalayak hote hai toh ye ho bhi sakta tha. Shakuntala ko kuch na sujh raha tha, Birju samne tha aur uske samne khidki, ghabrahat mei unhone Birju ko dhakka de diya aur wo khidki ke bahar gir gaya dharam se, wo bhi sidhe Gulab ke paudho pe jinhone bade pyar se usse kharocha aur Shakuntala ne jhat se Khidki band kar di aur kamre ka darwaja bhi laga diya. 

Iss hadse se wo itni dar gayi ki teesre chor ko dhundhne ki himmat nahi hui. 

Yahan Vineet joro shoro se pair pe chadhe jaa raha hai kitni baar hi girke kyunki wo pair amrud (Guava) ka tha jiski sakhayein kamjor hoti hai. Mahashaye kitni baar gire lekin himmat na hari aur chadhte rahe. Aakhir upar tak pahuch gaye lekin balcony kuch dur tha. Niche se toh najdik laag raha tha lekin aab kafi dur hai. Yahan se khudke wahan pahucha toh jaa sakta hai lekin iski koi guarantee nahi ki balcony mei hi girega wo. Lekin thoda risk toh lena padega, aab setting karni hai toh itna khatra mol lena toh banta hai. 

Himmat jutai aur 10 baar kudne ki koshish ki lekin bich mei hi himmat tut gayi kyunki agar wo niche gira toh haddiyan farfara jayengi aur iss raat ko wo kaise ghar jaayega fir. 

Wahin pair pe ullu ki tarah baitha raha 20 minute, fir laga na gaya andar toh aab tak ki mehnat pani mei chali jaayegi, fir himmat jutai aur kud gaya aankh band karke. Wo kehte hai na jinke irade majbut ho wo har muskil par kar jaate hai yahan bhi kuch aisa hi hua, Vineet ne railing pakad li aur latak gaya. Yahan tak pahuch paya iss baat ki badi khushi hui mahashaye ko aur phat se chadh gaya upar lekin darwaja band tha, kholne ki koshish ki par wo khula nahi, uske pass kuch tha bhi nahi jis se wo darwaja khole. Aab kare toh kya kare sochne laga ki tabhi uski najar darwaje ke bagal mei doorbell pe padi socha kyun na andar jo hai usko bula hi liya jaaye. 

Jhat se doorbell daba diya aur dabate hi uske ang ang hilne lagge, wo naagin sa lehraane laga ungli toh jaise chipak hi gayi doorbell pe. Aankh mandak si badi badi ho gayi aur baal khade ho gaye. Ji haan usse laga joro ka bijli ka jhatka kyunki wo doorbell mei current thi, ye baat usse pata thi nahi aur koi batane wala tha nahi. Aab wo bas hille jaa raha hai wo, koi chudane wala bhi nahi hai aur wo khudko chuda nahi sakta, aab hoga kya. 

Ganimat hai ki mohalle ki light chali gayi aur mahashaye piche ki aur phik gaye, aab tak current pure sareer mei daud rahi hai. Aab usse kissi sang setting na karni bas apne ghar jana hai filhal ke liye lekin niche jaaye kaise? Ye sawal jaise hi uske deemag mei aaya dusre hi pal wo upar se niche kud gaya aur gira seedhe cactus ki jhado pe, muh se aisi awaj nikli jaise koi jungli janwar karata hai. 

Birju aur Karan jo aab tak pade the jaun ka taun, unhe ye awaj aai aur pata chal gaya ki Vineet ka bhi durganjan ho gaya hai, lekin mudda ye tha ki aab ghar jaaye kaise, yahan se nikle kaise? Sareer iss halat mei nahi ki kuch kare par unhe ghar toh jana hi hai! 

Par kaise?? 

… 

Aage kya hoga jaane ke liye banne rahiye hamare saath 

Milte hai agle adhyay mei.. 

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top