Chapter - 16

Aadha din nikal chuka hai lekin Mishra ji ka aab tak koi pata na tha. Raat ko toh ye bole the ki subha aa jaayenge lekin aab tak na aaye hai na hi phone kiya hai. Yahi nahi, wo phone utha bhi nahi rahe hai. 

Pehle toh Ruhana aur Shakuntala ko laga ki aa hi jaayenge toh dono nischint thi lekin aab dopahar ho chala hai aur unka koi atta pata nahi hai. Dono ko chinta hone lagi hai. Issliye Shakuntala unke dost ke ghar unhe dekhne gayi hai aur Ruhana ghar pe hai taki agar Mishra ji aaye toh wo Shakuntala ko ittila kar sakke. 

Par aab Shakuntala ko gaye bhi do ghante hone wale hai aur aab tak koi khabar na aai unki. Ruhana ne phone bhi kiya lekin Mishra ji ki tarah wo bhi phone nahi utha rahi hai. 

Ruhana ki chinta badhti jaa rahi hai. Ek toh usse aaj apna project bhi karna tha, raat ko usne pura project toh kar liya tha lekin ek chota sa hissa reh gaya tha jo usse aaj karna tha. Parantu aab wo kaise kare, uska dhyan uss taraf jaa hi nahi raha hai. Apne mata pita ki chinta usse sataye jaa rahi hai. 

Kafi der vichar vimash karke Ruhana iss natije pe pahuchi ki wo Jaake ek baar khud dekh aaye ki aakhir majra kya hai. Kyun uske mata pita phone nahi utha rahe hai. 

Apna purse aur mobile phone leti hui Ruhana nikal di ghar se karkarati dhoop mei. Pura mohalla shant tha kyunki dopahri ka samay tha. Jahir hai sab apne apne ghar mei honge, iss samay bachche bhi na nikalte ghar se. Baki din toh Ruhana bhi nahi nikalti lekin aaj halat hi kuch aise hai ki unhe nikalna pada. 

Karakti dhoop mei Ruhana chali jaa rahi hai, kuch aadhe rashte toh wo pahuch bhi gayi hai aur aab unke pair chal nahi rahe dhoop ki wajah se ki tabhi unhe ek jaani pehchani awaj sunai di, Ruhana ne samne ki aur dekha toh Shakuntala chali aa rahi thi. Ruhana ke chehre pe halki si muskan aai, sukra hai unki maa toh aa gayi. 

"iss Karakti dhoop mei kidhar jaa rahi ho bitiya" Shakuntala ne Ruhana ke sar pe apni saari ka pallu rakhte hue pucha, jaise hi wo Ruhana ke pass pahuchi. 

Ruhana ne apne sar se saari hatai, "main kabse aapka intejar kar rahi thi mumma! Aap kahan thi phone bhi nahi uthaya mera, main kabse phone kar rahi thi aapko. Aapko pata hai mujhe kitni chinta ho gayi thi" ek sans mei Ruhana bina ruke bolne laggi. Shakuntala ne usse shant kiya aur pehle ghar le gai. 

Ghar pahuchte hi, Ruhana ne fir sawalon ko banduk utha ki, 

"Mumma batao na, kahan hai papa? Aap kahan thi aab tak? Phone kyun nahi utha rahi thi?" Shakuntala ne ek lambi sans bhari 

"humko bolne dogi tab bolenge na!! Tum toh chup ho jao pehle, tab toh hum bolenge" Shakuntala boli, Ruhana ne muh banaya. 

"hospital gaye tumhare papa! Unke jo wo dost hai unki tabiyat jyada bigad gayi hai. Aur main phone issliye nahi utha pai kyunki wahan gayi toh mera phone table pe reh gaya, silent mode pe tha issliye awaj na aai!!" Ruhana ko dekhti hui Shakuntala bolti hai 

" ooho! Aap ek baar toh bata deti, mujhe kitni tension ho gayi thi "kehti hui Ruhana Shakuntala ke kandhe pe sar rakh usse gale se laga leti hai. 


Shakuntala uske gaal ko thapthapati hai," bol toh rahi hoon, phone silent pe tha. Chalo aab khana banate hai, tumhare papa ko pahuchana bhi hai kyunki wo aayenge nahi " Ruhana sar hilate hue apne kamre mei chali jaati hai apna project pura karne ke liye aur Shakuntala rasoi mei khana pakane chali jaati hai. 

… 

Jahan ek taraf Ruhana apni marji se apna project kar rahi hai, usmei jee jaan laga rahi hai wahin dusri aur Vineet aur Karan ke chhake chut rahe hai project karke. Dono ki saansein phulne laagi hai likhte likhte lekin Rastogi ji hai ki rukne ka naam hi nahi le rahe hai. 

Karan Vineet ko ishara karta hai ki wo Rastogi ji ko roke kyunki aab uss se nahi likha jaa raha hai. 

Vineet Rastogi ji ko dekhta hai jo ki bolne mei vyast hai, fir wo pen niche rakh deta hai aur apne haath ko pakad nakhre karne lagta hai, 

"aah!!" Vineet ke karane ki awaj sunke Rastogi ji uski aur dekhte hai, 

"kya hua Bunnu" Rastogi ji puchte hai 


"Mere Haath mei aab bahut dard ho raha hai mamu, aage badh mei karte hai na please. Aab nahi likha jaayega mujh se" na mei sar hilata hua Vineet ek masoom sa chehra banate hue bolta hai. 

Karan bhi jhat se pen niche rakh deta hai, "mujh se bhi na likha jaayega" 


Rastogi ji dono ko kuch der dekhte hai, fir bolte hai "dekho, abhi ek bhi Project complete nahi hua hai aur tum dono ka ek bhi khatam nahi hua hai abhi. Dopahar ho chuka hai agar abhi chod diya toh ho nahi paayega. Issliye abhi kar lo khatam hone ke badh jitna lamba break ho le lena abhi nahi" Rastogi ji ne saaf saaf mana kar diya, lekin ladke kahan sunne wale the aab. Aadha din pura padh liye hai dono aab unse na hogi ye padhai. 


"nahi, abhi nahi.. Badh mei karenge, fir hamare pass raat ko bhi toh time hai na. Main jaa raha hoon thoda ghoom ke aayunga" kehte hue Vineet uth khada hota hai aur uske saath Karan bhi. 

Rastogi ji dono ko rokne ki kafi koshish karte hai lekin ansuna kar dono bhag jaate hai bahar aur Rastogi ji nirash se reh jaate hai. 

Aab jab dono koi dilchaspi na dikhayenge na mehnat karenge toh kaise pass honge. Thodi mehnat toh karni hi padegi dono ko kyunki uske bina unka pass ho pata muskil hi nahi na mumkin hai!! 

… 

Aage kya hoga jaane ke liye banne rahiye hamare saath 

Milte hai agle adhyay mei.. 

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top