Chapter - 15

Agli Subha, 

Aaj Ravivar hai, lekin Karan aur Vineet ke liye koi badi baat nahi unke liye toh har din ravivar se kam nahi. Das baj chuke hai aur Dono bade aaram se so rahe hai. 

Niche Aangan mei sab ka chai nasta bhi ho chuka hai lekin in dono ko kya, so rahe hai maje se. Uski Nani ne dono ko uthane se mana kar diya sabhi ko, majburi mei Sharma ji ko manna bhi pada aakhir ghar mei jo rehna tha. Saath hi apni Sasu maa ki najar mei unhe aacha bhi bane rehna tha nahi toh agar wo chan been pe aa jaayegi toh unki shamat aa jaayegi. 

Lekin Sharma ji ko ye na pata tha ki unki Sasu maa ne unhe najar pe chadha rakha hai wo bas intejar kar rahi hai ki kab Sharma ji koi galti kare aur wo unhe apne sikanje mei le le. 

Tabhi kissi ne darwaja thakthakaya, Sharma ji ne jaa ke darwaja khola. Aaye mehmaan ko dekh ke unka chehra kuch khil sa gaya, unhe aisa laga jaise shak shat bhagwan unki madad karne aaye hai unke chote saale ke roop mei. Sharma ji ko pura vishwas tha ki wo unki saas ko lene aaye hai. Issliye unke kuch bolne se hi Sharma ji ne apni baat bolna suru kar di, 

"itni bhi kya jaldi hai bhai Chinnu, rehne do amma ko yahan mahine dedh mahine. Aakhir unka bhi ghar hai ye" upari mann se Sharma ji ne muskate hue bola lekin mann mei toh ye chal raha tha ki aab jab unhe saale aaye hai toh jitni jaldi Sasu maa ko leke jaaye utna aacha, wo chen ki sans le sakenge. 

"aye Gajju tumko bada pata Chinnu humko lene aaya hai. Hum abhi na jaa rahe yahan se pure 6 mahine ka plan hai hamara samjhe aab hatto samne se aane do mere bachche ko andar" Sasu maa ne Sharma ji ko ghurte hue kaha, Sharma ji ke pairo taale toh jaise jameen hi gayab ho gayi. 

6 mahine, itne din mei toh Sasu maa naaye kya purani baaton ka bhi pata laga lengi. Sara kacha chitha khol ke rakh dengi fir toh unhe koi na bacha paayega. Aab wo kya karenge?? 

Nirash ho chup chap Jaake apni jagah pe baith gaye. Unke saale Sasu maa ke pass jaake baith gaye aur baatein karne lagge.. Kuch der apni maa se baatein kar wo Sharma ji ki aur mude, 

"jija ji Bunnu kahan hai?" unke saale ne pucha 

"so raha hai aab tak" nirasha purvak Sharma ji ne jawab diya 

"abhi tak" aascharya se unke saale ne pucha, tab Sasu maa ne unhe kal ki raam kahani sunai jo sunke unhone dukh jaahir kiya fir chale gaye Vineet ke kamre mei uss se milne. 

Pehle toh kamre ke bahar khade ho Vineet ke mama ne darwaja khatkhataya lekin jab Vineet ne darwaja nahi khola toh wo ghus gaye khud andar. Dekha toh unka bhanja apne dost sang sukoon ki nind so raha tha aur kamre ka haal dekh ke unke toh hosh hi udd gaye lekin unhone jaane diya iss baat ko akhir bolke faida bhi kya tha. 

Jaake Vineet ke bistar pe baith gaye aur halke se uska sar sehlaya, nind mei madhosh Vineet badbadaya, 

"thodi der aur sone do na maa" kehte hue dusri taraf mud gaya. 

"uth ja bhanje" Vineet ke mama bole. Apne mama ki awaj sunke Vineet ne halke se aankh kholke unko dekha, muskurate hue unke god mei apna sar rakh diya. 

"aap kab aaye" Vineet ne pucha 

"jab tu so raha tha itne aaram se. Bhanje kal project submit karne ka last day hai aur mujhe nahi lagta tune aab tak kuch bhi kiya hai" 

Ji haan, Vineet ke pyare mama ji koi aur nahi balki jis college mei Ruhana aur Vineet padhte hai uss college ke professor hai. Yahi hai Professor Rastogi jinko kal dant padi thi.

Aur ye chup issliye the kyunki inhone Vineet aur Karan ka attendance bhada tha. Waise toh ye kafi emandar hai lekin bhanje ke pyar mei andhe hoke Rastogi ji ne ye galat kaam bhi kar diya, kya kare eklauta bhanja hai aur wo ye nahi chahte ki unka bhanja piche reh jaaye. 

Vineet college nahi jata hai fir bhi wo saare professors se notes leke usko bhejte hai, agar Vineet 10 % bhi dilchaspi dikhata padhai ki aur toh kya baat thi. Lekin aisa hota nahi, issliye Rastogi ji ko exams se pehle aake mahashaye ke kuch projects karwa dete hai taki kam se kam ande na ubale ye. 

Vineet sar utha ke Rastogi ji ko dekhta hai, "badh mei kar lunga" kehte hue fir aankh band kar liya. 

Rastogi ji ne usse utha ke baitha diya, "na beta kal hi submit karna hai.


Iss project se kam se kam kuch marks toh mil hi jaayenge aur agar tum thodi mehnat karlo toh pass bhi ho jaaoge" Ye kehte hue unhone karan ko bhi uthaya. Karan ne unhe aisa dekha jaise jaane kya dekh liya ho. 

"Jao dono jaldi se brush karke aao, fir project karte hai.. Aaj din bhar karenge toh saare projects ho jaayenge "Rastogi ji ki ye baatein sun dono ladkon ne ek dusre ki aur dekha, Rastogi ji ko ek tak dekhte hue fir ek dusre ko dekha. 

Aaj toh dono ka plan tha ghoomne jaane ka, Karan ke liye ek nayi ladki dhundhne ka lekin aab ye lagta hai ki nahi ho paayega. Rastogi ji aaj unhe chodenge hi nahi jo wo kahin jaayenge. Dono ka muh latak gaya, par Rastogi ji ko fark na pada. Dono ke liye unhone attendance bhale hi badha diya ho lekin aur kuch nahi kar sakte, baki sab unhe khud karna padega aur wo karwayenge!! 

… 

Aage kya hoga jaane ke liye banne rahiye hamare saath 

Milte hai agle adhyay mei.. 

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top