Subhadra in Dwarka

Paundrak: Maaza aa raha hoga yaha par.

Krishna: mujhe maaza nahi keval Kheer chahiye

Paundrak: accha tumhe Kheer chahiye. Ek kaam karta tumhare liye chhapan bhoj lagwa deta hu.

Krishna(thinks): uski koi aavashkta nahi hai. mujhe jo chahiye woh shyam aa raha hai. 🙂😊

Paundrak: shyam ke rajy mein bandi banke maanstik santulan hil gaya hai kya?? Hass kyu rahe ho??

Krishna: Aap toh Dwarkadhish hai aapko toh atyant kary honge Maharaj?? Kadachit aapko jaana chahiye

Paundrak: Tujhe batane ki aavasakta nahi hai bahrupiye. Mujhe kya karna hai aur kya nahi

Paundrak left and Rukmini enter. Krishna opens the jail with his magic and Rukmini enter inside.

Krishna: toh aapka krodh shaant hogaya??

Rukmini: hmmm...

Krishna: yeh toh acchi baat hai.

Rukmini: Kintu Shree Krishna yeh sab kab tak aise chalte rahega??

Krishna: bas kuch shan aur Rukmini.

Krishna try to divert the topic.

Krishna: Vaise isme kya hai??

Rukmini: Kheer hai. Vaise Radha ke dwara bhejwane wale the kintu Radha ne hi kaha ki kal woh le gayi thi toh aaj hume lejaana chahiye.

Krishna: ab jab shyam laaye hai toh shyam apne haatho se khila bhi dijiye khila bhi dijiye

(Imagine Zalak di instead of Miku di)

Rukmini: kaisa hai??

Krishna: Adbhut.. bohot swadisht hai. Mujhe bohat pasand aaya.

Rukmini: Dhanyawad Shree Krishna.. Accha ab mai chalti hu.

Krishna: Aavashya.

Rukmini went.

Subhadra: Radha bhabhi...

Radha: Subhadra. Kaisi ho tum?? Aur kaise hai sab Hastinapur mein.

Subhadra: Sab thik hai. Aur Hastinapur mein bhi sab thik hai.

Radha: Aur batao? Kaise yaad aayi apni Radha bhabhi ki

Shubhra: Yaad toh bohat karti hu aapko humesha.

Radha: Accha.. ab jayada jhut mat bolo. Agar aisa baat hoti toh humse milne aati

Subhadra: Shama kar dijiye..

Radha: thik kar diye shama.

Krishna (Paundrak): Kaun hai Radhe??

Subhadra: Bhrata Krishna. Kaise hai aap??

Krishna(Paundrak): mai thik hu Subhadre.

Rukmini: Subhadra.. kaisi ho tum??

Subhadra: Mai thik hu bhabhi. Aap bataiye aap kaisi hai??

Rukmini: Mai bhi thik hu. Aur tumse milke aur bhi thik hu. Aur tum akele aai ho?? Arjun ji nahi aaye??

Subhadra: nahi bhabhi. Aarya nahi aa paaye. Kintu unhone hume kaha hai ki woh kal pratah hi Dwarka prasthan karenge. Kyuki unka bhi iccha hai apne Madhav se milne ka.

Krishna (in mind): Ab shuru hoga Paundrak ka anth ka aarambh.

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top