Radha Krishna moment

After some time

Sanik: Dwarkadhish ki jai! Dwarkadhish humne uss bharupiye ko pakar liye hai

Balram: Bharupiya!? Kon Kanha??

Krishna (Paundrak): mujhe gyaat huya kiya koi asur hai jo mera roop lekar Dwarka ko vash mein karna chahta hai. (To Sanik) Andar lao.

Balram: yeh toh saty mein Kanha ke bhati dikhta hai. Kaun ho tum??

Krishna: Dau aap apne Kanha ko nahi phechane. Mai Krishna hu aapka Kanha.

Krishna (Paundrak): Toh ab tum kahoge ki tum Dwarkadhish ho.

Krishna: haa. Kyuki yeh saty hai.

Balram: tum bhale humare Kanha ke bhati dekhte ho kintu iska yeh arth nahi hai ki tum shyam ko Dwarkadhish ghosit kar doge.

Krishna: Kaun kisko kya ghosit karega woh toh waqt batayega.

Krishna (Paundrak): waqt batayega?? Sabko gyaat hai ki mai hu Vasudev Shree Krishna (whisper) Paundrak.

Balram: band kardo iss bharupiye ko karahgrah mein.

After some time

Radha: Krishna...

Krishna: Radha... tum yaha? vaise mai jaanta tha koi phehchane ya nahi phehchane kintu meri Radha aur Rukmini avashya jarur pehchangi. Areh Rukmini nahi aayi.

Radha: haa nahi aayi. Kyunki krodhit hai woh tumse. Aur mai bhi.

Krishna: Kyu!? Maine kya Kiya??

Radha: Kya kiya?? Saty mein Krishna itne bhole bhi mat bano jaise ki tumhe gyaat hi nahi hai. Tumne kyu nahi kaha ki tum hi Krishna ho aur woh Paundrak hai.

Krishna: Radha tum jaanti ho ki mai jo bhi karta hu uske piche koi mahatvpurn karan hota hai.

Radha: hmm

Krishna: Vaise isme kya hai?

Radha: Maakhan hai. Mera toh tanik bhi iccha nahi tha aane ka kintu Rukmini ke kahne par aagayi.

Krishna: accha ab jaldi jaldi se yeh maakhan khila do.

Radha was about to feed maakhan to Krishna. But...

Krishna: Radha maakhan nahi bhog khilona

Radha smiles and nod

https://youtu.be/ST--gBpvcLI

Radha: Accha Krishna ab mai chalti hu. Anyatha kisi ne dekh liya toh uchit nahi hoga.

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top