End of Dwapar Yug

Balram: Kanha yeh kya ho raha hai??

Krishna: Dau waqt aagaya hai dwapar yug ka anth aur Kalyug ka aarambh.

Arjun: Nahi aisa nahi ho sakta.

Krishna: aisa ho raha hai Parth. Yeh niyati ka chakra hai. Mai isse tod nahi sakta.

Balram: toh kya sab khatam ho jaayega.

Krishna: aapko samarn Mata Gandhari ka shrap jo mujhe mila tha.

Krishna: Unke shrap vyarth nahi jaane de sakta hu. Ek shrap Radha ko mila tha aur ek shrap mujhe

Balram: hmm. Ek shraap jo Radha Krishna ko alag kiya tha aur ek shrap Radha Krishna ko ek karega haina Kanha??

Krishna: Haa dau ab waqt aagaya hai Radha Krishna ko golok prasthan karne ka.

Arjun: Aur kya Radha Krishna ke jaane ke baad iss sansaar mein prem kaise rahega Madhav?

Krishna: yeh prem tatv na kabhi mita hai aur na hi kabhi mitega. Mita keval yeh sareer hai wahi prem ko samjhega wahi prem ko paayega jo apne hriday ke ghari se yeh do(2) akshar doh rayega.

Balram-Arjun: Kaunse do shabd?

Krishna: Radhe-Radhe Radhe-Radhe.

(Pls ignore Manmohan pls. I know it's not possible anyone to ignore him)

Radha: Yeh kya hua?? Prakriti itne dukhi kyu hai?

Krishna: Kyunki dwapar yug ka anth ho raha hai Radha.

Radha: Kya??

Krishna: Haa Radha dwapar yug ka anth ho raha hai aur Kalyug ka aarambh.

Radha: Kintu itne shrig??

Krishna: Hmm

Radha: Toh kya mujhe aaj hi golok ki liye prasthan karna hoga??

Krishna: aaj?

Radha: Tumhe samarn haina ki maine Devi Saraswati se yeh vardan prapt hai ki meri mritu tumse purv hoga.

Krishna: hmm

Radha: Krishna mein jaanti hu tumhe kitna pida ho raha hai yeh sab jaankar aur tum chah kar bhi kuch nahi kar paa rahe ho. Kintu tumhe gyaat haina ki Radha sahdev apne Krishna ke saath hai.

Krishna: Mujhe gyaat hai. Dhanyawad Radha.

Rukmini: Shree Krishna... Areh Radha tum yaha sab thik haina??

Radha: Haa sab thik hai. Kaho kuch kary tha kya??

Rukmini: nahi nahi woh mai Shree Krishna ke saath kuch baat karna chahti thi.

Radha: accha tum baat karo Mai aati hu.

Krishna: Kahiye Rukmini kya kahna chahti hai aap??

Rukmini: Shree Krishna yu toh aapke har ek roop mein mai aap Radha ek saath the kintu iss yug mein mai aur Radha alag roop mein prithvi par aaye hai. Jaise ki peechle yug arthath Treta yug jab aap Shree Ram ke roop mein avtartit huye the aur mai Sita ke roop mein aur mai dharti maa ke sath chali gayi thi aur aapne ek havan kar waaya tha jiske liye aapne meri ek murti banwaya tha aur anth mein aapne uss murti ko aapne vachan diya tha iss yug woh aapke saath hogi. Aapka naam uske saath liya jaayega toh iss yug mein aapka naam Radha ke saath liya jaa raha hai.

Krishna: Rukmini aap kahna chahti hai mujhe nahi samajh mein aa rahi hai.

Rukmini: Shree Krishna mein yeh kahna chahti hu ki kya koi Rukmini ko samran nahi rakhega Shree Krishna?? Kya sab yahi kahenge ki Rukmini Radha Krishna ke pavitr bandh ke beech aagayi thi?? Kya koi Rukmini Krishna ke prem ke baare mein samarn nahi rakhega??

Krishna: Nahi Rukmini. Aisa kuch nahi hoga. Mera tatparya hai ki Sab rakhenge Rukmini ko. Koi bhi aap par yeh prasan nahi uthayega aapke prem par. Aur jaise sab Radha Krishna ke prem ke sambandh sada samran rakhenge vaise hi Rukmini Krishna ke prem ke baare mein sab koi samarn rakhenge.

Rukmini: Kya saty mein??

Krishna: Haa.

Radha: Krishna mai golok ke liye prasthan kar rahi hu.

Rukmini: Itne shrig Radha??

Radha: haa Rukmini. Mujhe jaana hoga

Krishna: Ab jab Radha hi nahi hai toh mujhe iss bansuri ki aavashyakta bhi nahi hai

Rukmini: Radha Golok ke liye prasthan kar li Shree Krishna??

Krishna: Haa. Ab waqt aagaya hai ki aap bhi Vaikunth ke liye prasthan kare. Ek sukh ki baat pata hai niyati ne mujhe yeh avashar diya hai ki aapke saath main bhi prithvi lok chorunga.

Rukmini: Yeh aap kya kah rahe hai yeh avashar mujhe mila hai ki aapke saath main prithvi lok choru. Dhanyawad Shree Krishna ki yeh avashar aapne mujhe diya hai.

Krishna: Rukmini mai aata hu Dau se milkar. Ek. Antim. Baar.














So iske saath samath hota yeh story. Haa mai jaanti hu yeh book chota hai. Haa mai jaanti hu iss mein voh prem gatha nahi hai jaise asliyat huya tha. Kintu maine purn koshish kiya hai ki yaha saare dev deviya ko samaan ho unka apmaan na ho. Aur kadachit maine aisa karne mein safal bhi huyi hu aur kadachit nahi bhi. Saty batau mai nahi jaanti. Isliye mai sabhi devo deviyo se shama maang na chahti hu ki agar jaane anjaane mein maine apne iss story aapka apmaan kiya toh mai aapse shama maang na chahti hai. Kripa karke mujhe shama kar dijiyega. Meri aise koi iccha nahi thi ki aapka apmaan ho. Isliye ho sakte toh mujhe shama kar dijiyega.

Dhanyawad ♥️
Aapki Radha ✨✨♥️

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top