Sasur,Comebacks,Boards!?
Now Sidharth and Papa Gill were sitting facing each other...
PG : kaffi ache lag rahe ho...
SS : huh! (He was shocked listening this from papa Gill's mouth)
PG : main kaha kaffi aache lag rahe ho...
SS : than....thank you..
PG : kiske baap ko impress karne aaye ho?
Sidharth started coughing hardly hearing this....
Papa Gill passed a glass of water...
Sidharth took the water and drank it...
But still the nervousness was there
SS : un...unc..uncle aap ...aap galat samaj rahe hai...vo..vo toh main ek abhi..ek meeting kar ke aaya hoon...hnn ek meeting karke aaya hoon ... isliye..aise hoon...
PG : aacha?
SS : hnn uncle kasam se
PG : chalo tum bolte ho toh mann leta hoon
Sidharth was relieved hearing this...
PG : toh sidhart...ab vo baat karle jiske wajah se bulaya hai maine tumhe yahan
SS : jii uncle
PG : toh tumhe toh pata hi hai ki Shehnaaz Hyderabad jaa rahi hai apne dost ke shaadi main
SS : haa uncle usne bataya tha...main bhi jaa raha hoon ladki walon ke taraf se
PG : maine pucha kya utna detail
SS : sorry (he mumbled slowly)
PG : hmm....toh sidharth...ye pehli baar hai jab main apni beti ko apne se itna dur bhej raha hoon....so to be honest I'm scared for her
SS : arey uncle isme darne ki kya baat hai
PG ; tum nahi samjhoge....tum hoge uske dost...par main baap hoon uska ..
Aaj vo apne dost ki shaadi main jaaye chahe kal apne sasural...meri fikr uske liye kabhi kam nahi hogi....
SS : uncle i understand main samajh sakta hoon aapki chinta ...
PG : tum kaise samajh sakte ho...tumhari bhi koyi beti hai...
SS : arey uncle tauba tauba kaisi baatein kar rahe ho....
PG : kyu tumhe betiyan nahi pasand
SS : arey aisi baat nahi hai uncle bi bas abhi nahi chaiye....aur vaise bhi jis din meri beti hogi na...use princess bana ke rakhunga...aur aapki beti ko Queen (he whispered the last line to himself)
PG ; aachi baat hai
PG : dekho sidharth , Zoya pe toh mujhe pura bharosa hai...vo aur shehnaaz bachpan se saath hai...aur vo ladka asim bhi aacha ladka hai....par main sabse zyada bharosa tumpe.kar raha hoon shehnaaz ko leke...kyunki tum sabse bade ho....I hope main tumpe trust kar sakta hoon...
SS : don't worry uncle main shehnaaz ka pura khyaal rakhunga....
PG : I'm trusting you with my daughter sidharth ....
SS : you can trust me uncle....main bachpan se ladies ke bich main raha hoon...two sisters and my mother....i know what a lady can mean to man!
PG : pata nahi tha tum itne samajhdar ho...
SS : arey uncle aap ki kya
PG : nahi seriously....harkaton se toh luche,lafange lagte ho ...
SS : arey uncle...main vaisa bilkul nahi ho.....aap galat soch rahe hai ...
PG : I wish
PG : aacha tum mujhe ek baat batao
SS : hnn hnn uncle puchiye
PG : tumhari shaadi hogayi?
SS : arey nahi uncle abhi kaha...
PG : aacha...toh girlfriend toh hongi bohut...
Sidharth started coughing....
SS : arey...ey...nahi nahi sir ...aisa kuch bhi nahi hai
PG : hnn hogi bhi kaha se...humesha toh meri beti se chipke rehte ho
SS : uncle yrr
PG : yrr nahi hun main tumhara
SS : sorry uncle...vo galti se nikal gaya
PG : galtiyan bohut hoti hai tumse
SS : 🤐🤐🤐
PG : suno...
SS : hanji uncle
PG : tumne Hyderabad jaane ke tickets book Karli?
SS : nahi uncle abhi nahi ki hai
PG : thik hai...ek kam karna jab apni karoge toh Shehnaaz ki bhi saath main karlena...
SS : saachi uncle (Sidharth's happiness didn't know boundaries after listening this)
PG : mucchi
SS : zaroor uncle
PG : aur suno jitne bhi paise lagenge tickets main merse lelena
SS : arey uncle aapse kaise paise lesakta hoon
PG : kyun sasur lagta hoon tumhara jo "uncle aapse kaise paise le sakta hoo" (Papa Gill said while mimicking him)
SS : sorry...
PG : hmmm...coffee piyo thandi ho rahi hai
SS : jii hanji uncle
They both slurped the coffee and tea in silence till shehnaaz Zoya and asim came back
SG : ye lijiye papa aapki dawaai
PG : hann do....
PG : chalo shehnaaz hum chalte hai ab
SG : abhi itni jaldi...aapko kya baat karni thi na inse
PG : vo Karli maine
Shehnaaz looked at Sidharth and raised an eyebrow....
While sidharth just blinked his eyes in assurance...
SG : aacha ....thik hai fir....chalo...
SG : bye....bye Mr.Professor
SS : bye..Fit.... Shehnaaz...
Sidharth stood up from his seat as Papa Gill and shehnaaz walked out...
As soon as he saw their figure disappearing
He sat on the chair with thud...and released his breath which he didn't knew he was holding from a long time
Zoya : kya hua sir sab thik
SS : ye uncle....pichle janam main CBI officer the kya...
Zoya : kyu kya hogya
SS : kuch nahi rehne do....tum dono Ghar jao...main bhi ja raha hoon...I need rest
Zoya : okay bye
SS : sala laga ki firse boards de raha hoon! Aaj pata chala shehnaaz ke comebacks itne aache kyu hai(He said this to himself)
_________________________________________________________
That's it....
As all of you wanted an early update for this....
So here it is....
I hope a really nice response on this one...
~SidNaazForever!
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top