Main Aik Zinda Laash Hon(2)

Main Aik Zinda Laash Hon
Main aik  zinda laash  Hon
Hai ghum ko aisay dhanpna, dukh ko nahi hai bantna
Dar say nahi ha kanpna
Aur mout ko ha mapna
Mayyat pa apni khud mujhy
Ho ga sar e raah nachna
Aisi ajab raqqas hon
Main aik zinda laash hon
Main aik zinda laash hon

Karb e musalsal sehna ha
Dil main tray hi rehna ha
Kuch bhi nahi ab kehna ha
Ankho say paani behna ha
Pareshanio ko pehanana ha
Bahir say hon sabit qadam
Andar say paash paash hon
Main aik zinda laash hon
Main aik zinda laash hon

Taqdeer bhi gum ho gae
Sachi muhabbat kho gae
Jewan main meray wasty
Dukh dard kantay boo gae
Ab har khushi hi soo gae
Hai zindagi ka bharosa kia
Ab ye gai ab wo gae
Jab dev dasi na rehay
Kis bat ka dev das hon
Main aik zinda laash hon
Main aik zinda laash hon

Meray sajan meray sajan
Teray liya meray sukhan
Tujh say hai kuch aisi lagan
Ho har waqt tray khialon ma magan
Sab kuch hua chashm e zadan
Tumhara ye dilkash badan
Paani ma ho jesay agan
Mehsoos hi jo na ho skay
Wo gumshuda ehsas hon
Main aik zinda laash hon
Main aik zinda laash hon

Hashash hon bashash hon
Main aik zinda laash hon
Main aik zinda laash hon.................!

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top