GHAZAL-8
Ishq ab aisay hai neelam hua
Jesay dosra payar bhi nakam hua
Jin say thi mujhko subh e haan ki umeed
Un ka inkar sar e sham hua
Waqt is mour pa bhi laey ga
Jo na socha tha wohi kaam hua
Dunya ki rasman itni sakht hain keh
Payar karna ab haram hua
Thokrain, sadmay, ahain aur aanso
Chalo apna tu kuch inam hua
Ma kabhi khas shaks tha logo
Matti ki trah sar e aam hua
Aik arsay say tha awar e dil
Jany kab tera dil e muqam hua
Jab bhi dekha tujhy tasawur main
Jan e jaan mera salam hua
Pocha jab bhi kisi nay mera haal
Meray honto'n pa tera naam hua
Raat jab teri yaad ai mujhy
Khud hi ma khud say ham kalaam hua
Zindagi par sakoot tha tari
Isi trah marg e aihtram hua
Tum say nazrain hi na milan tu phir
Kesi maey aur kesa jaam hua
Chorna chaha jo mujhy tunay
Koi shikwa na lab e baam hua
Ma tu karta hun sacha payar tumhain
Kio ye phir mujh pa ilzam hua
Ban gaey meray saray kaam magar
Ik gharana na mujh say raam hua
Lamho main saray sapnay toot gaey
Meray dil ma macha kehram hua
Kisi ka kuch nahi gaya dilbar
Muft ma payar hi badnaam hua
Hansty thay pehly ab tu rotay hain
Kia aghaz, kia anjam hua
Samjha tha pehly payar ki hai eid
Par janay ka meray intezar hua
Dunya ma payar nahi mil skta
Hasil kesa ye ik pegham hua
Cha gaya roshni pa andhera
SAADI ka kaam youn tamam hua.....!
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top