GHAZAL-5

Koi saathi koi hamsar nahi ha
Ghareeb aisa hon jis ka ghar nahi ha

Ma takta hon tumhay pakeezgi say
Haya ankho ma hai aur shar nahi ha

Teri izzat mujhy jaan say ha payari
Koi bhi shay is say bhar kar nahi ha

Main chahta hon tumhy bayloos jana
Keh Hawas e husn o zar nahi ha

Jo tunay chora tu dil na lagaya
Meri nazron ma koi darr nahi ha

Yeh kaisay ho keh tujhko karb punchy aur
Koi bolay meri aankh tarr nahi ha

Tumhara husn ho ji bar kay jo dekha
Meri aankhon ma wo manzar nahi ha

Tu lagti ha mujhy hoor e bahashti
Sang e marmar ka tu pekar nahi ha

Bas chup ho aey dil e nadan chup ho
Tera koi bhi tu dilbar nahi ha

Waqt kay hathon hon majbor SAADI
Khuda kay baad kisi ka dar nahi ha...!

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top