GHAZAL-2
Gham khanay kay liya Anso peenay kay liya
Zinda hon marnay kay liya, Marta hon jeenay kay liya.....
Har taraf tera hi chehra mujhy nazar ata ha
Dharkanain teray liya, dard hai seenay key liya......
Payar manga hai tera sath nibhanay kay liya
Ye na samjho kay sirf chand mahinay kay liya......
Meri manzil hi nahi main hon musafir aisa
Nao hai teeh kay liya bhnwar safinay kay liya......
Tha muqadar main you hi tujh say bicharna shaid
Aik ye hi tu marham tha zakham seenay kay liya......
Maikade jata hon main is liya peenay kay liya
Hasil kar lon teray mathay ko naginay kay liya......
Kisi ko kuch nahi kehna ha magar sun SAADI
Mukhlasi dost kay liya Hasad kaminy kay liya......
Ye nahi sochta keh kitni unchae ho gi
Pagla dorta ha mehal kay zeenay kay liya.......
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top