GHAZAL -11
Roz jeena hai, roz marna hai
Zindagi ko basar tu karna ha
Bay sabab jaltay nahi parwany
Par mujhy bay wajah hi jalna hai
Logo ki khushion ka tuloo khursheed
Par meray soraj ko sirf dhalna hai
Thamny walon ki nahi khuwahish
Jab bhi girna hai, khud sambhalna hai
Jo mujhy sath lay kay jae ga
Jigar ma aisa ghao palna hai
Dawa kitni hi achi kayo na ho
Meray zakhmon ko nahi bharna hai
Kisi say kuch nahi mujhy khadsha
Mujhy apny khuda say darna hai
Baki zindagi ko main sanwar sakon
SAADI ab kaam aisa karna hai
Ab jo jaon ga phir na aon ga
Peechay walon ko hath malna hai
Kuch bhi ho jaey ay jahan walo
Mujhy bas La Ilah hi parna hai.....!
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top