GHAZAL-1

Behtay hoay darya main sahara bhi nahi tha
Dekha jo aas pass kinara bhi nahi tha..........

Apny husan pa naaz tha us mah e jabeen ko bhi
Aur ham ko ye gharoor gawara bhi nahi tha.........

Ji bhar kay usay dekha ho jeewan ma kabhi bhi
Ankhon ma koi aisa nazara bhi nahi tha..........

Jab mujh say wo bichra tha buhat ranj tha mujh ko
Zulfon ko kabhi us nay sanwara bhi nahi tha..........

Hasil usay karny ko buhat jatan kiay thay
Qismat ma apni aisa sitara bhi nahi tha..........

Jis tarah sitam main nay sahay thay is safar main
Halat nay us ko kabhi mara bhi nahi tha..........

Main bhola na usko magar wo bhol hi gaya
Aur is kay siwa ab koi chara bhi nahi tha..........

Ye fasly dilon kay buhat taweel ho gaey
Wo waqt keh ik lamha guzara bhi nahi tha..........

Halaat key samjhoton say wo jeet to gaya
Lekin usay kehna keh main hara bhi nahi tha..........

Kehtay hain kay dunya ye umeed pa ha qaim
Qismat main koi aisa ishara bhi nahi tha..........

Is aag kay darya ma so ma doob hi gaya
Pani bhi nahi tha ye sharara bhi nahi tha..........

Apna bhi hath tha mera barbad e dil ma
Usnay hi faqat mujh ko ujara bhi nahi tha..........

Ham apni aap-beti kisi ko sunaen kia
Yadasht ma koi aisa shumara bhi nahi tha..........

Jo teray meray beech main ik ajab payar tha
Tera bhi nahi tha wo hamara bhi nahi tha.........

SAADI sans tu tota tha nazar toti nahi thi
Zalim nay lakin ham ko pukara bhi nahi tha..........


Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top