Allah kay siwa sahara koi nahi , US WAHDAHO k bad hamara koi nahi
Allah kay siwa kon sahara, koi nahi
US WAHDAHO k bad hamara koi nahi
Nazron nay jin ki dekha, HARAM or MADINA
Aankhon ma unki Jachta nazara koi nahi
Allah kay pyary AHMAD(s.a.w) ur AHMAD(s.a.w) kay aihl e bait
Bina panjtan kay apna guzara koi nahi
Bethay thay Ismail o Ibrahim bhi magar
Nana ko par HUSSAIN(r.a) say payara koi nahi
Maryam(r.a) o Aasiya(r.a), Khadija(r.a) o Ayehsa(r.a)
Bint e Rasool e Fatima Zehra koi nahi
Farmaan e Muhammad(s.a.w) ha sitary han SAHABA(r.a)
Ashab say buland sitara koi nahi
Kab Aa kay tum mitao gay batil ko dehar say
Ab a bhi jao MEHDI ky chara koi nahi
Dunya ko jis nay chor kar Allah ko thama
Wo jeet hi gya samjah hara koi nahi
Parhtay han jo Darood subh o sham Nabi(s.a.w) par
In ki lehad ma ik bhi kanta koi nahi
Ham buhat gunah gar han ay RAHEEM reham kar
Rehmat hai tri behad kinara koi nahi
Hafiz aur ilm walay hain buhat is jahan main
Sir neezay pa Quran suna e ra koi nahi
Nabz e Ali ha dil ma tu jannat ko bhol ja
Qismat ma teri aisa ishara koi nahi
In hastiyon kai jin kay dilo ma tha ehtraam
Inhen gardesh e hallat nay mara koi nahi
Mushkil kabi jo aey YA ALLAH MADAD bol
Is kay ilawa dosto nara koi nahi
Allah kay mehbob ka sara jahan mashkor
Matloob tha jo SAADI ko chara koi nahi..........!
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top