Second Couple meet

Mumbai

Dev and Zara breaks their hug

"Zara tum aa gayi, I still can't believe ki tum mere samne khadi ho" Dev cups her face

Zara (pinches him) : ab hua na yakeen ki hum aapke samne hai

Dev : ha toh bina chimti kaatein bhi bata sakti thi na, ek toh pehle se hi waha chot lagi hai

Zara : kya hua

Dev : lekin tum yaha Mumbai mein kaise (Recalls Yash's words of meeting his love) Yash

Both see Yash standing near the car smiling

Zara : bhai jan dekha kaha tha maine kaise shock ho jayega mujhe dekh kar

Yash and Zara teases him

Dev : jyada hasne ki zarurat nahi hai samjhe na dono bhai behen pehle jhatke dete ho upar se haste ho

Yash : zara mera kaam ho gaya (puts their hands together) apna promise pura kar diya maine aur kuch

She nods no and hugs him.

Yash : bye dude, maine apni behen tujhe de di aur teri bari hai beta taiyaari kar le

Dev : zarurat hi nahi hai uske liye meri behen ki kafi hai, ja lekar aa jaldi usse pagal ko

Yash leaves in his car. Dev stares at Zara who is waving Yash

Zara : mujhe iss tarah kyu dekh rahe ho

Dev : sangat ka asar dikh raha hai mujhe, yeh batao tum yaha kya kar rahi ho

Zara : tumse milne aayi hu

Dev : main mazak ka mood mein nahi hu iss waqt chalo mere saath (Takes her in his car)

Zara : areey aaram se karo yaar, mera haath nikal jayega

Dev takes her to their farm house instead. Zara reveals her previous years to him sadly

Flashback

Scene continues from Zara's marriage day when she said Qubool hai and is married with Raza

"Uss din mujhe iss baat ka bilkul bhi andaza nahi tha mere saath kya hone wala hai, tumse kiye hue promise ke liye yeh nikah toh kar diya lekin woh zindagi bhar ki ek saza thi" Zara narrates to him sadly

On marriage night Raza shows his true color to Zara

Zara : raza hamara haath chodiye

Raza (holds her face tightly) : tumhe kya laga ki mere saath dhoka karogi aur main chup chap bethunga, bahut hi beizati hui hai pure kom ke samne

Zara tries to free herself from his grip

Raza : yeh nikah toh tumhare liye kisi saza se kam nahi hoga Zara (twists her hands tightly) uss hindustani ki yaad apne dil aur dimaag se nikal dena kyuki ab iss jail se toh tumhe koi nahi nikal payega woh toh chala gaya

Zara (pushes him) : aap abhi tak nahi samjhe yeh nikah bhi humne uss ke kehne par kiya hai, lekin hamare dil aur romm mein sirf ek hi naam hai woh hai Dev (with fire in her eyes) hum aapse yeh nikah nibhaye ya nahi lekin dev ko kabhi nahi bhulenge

Raza leaves the room angrily

"Kareeb kuch mahine tak Raza ne humse batsaluki ki lekin maine kabhi apni self respect ko jhukne nahi diya shayad issi vajah se uska gussa aur jyada badh gaya" Zara says

One fine day Raza gets furious on Zara for getting job of social worker and asks her to not work

Zara : aap hume nahi rok sakte, yeh hamara haq hai

Zara's husband is about to hit her when strong hands stop him

Raza : kaun ho tum

Yash : doesn't matter Lekin tumne puch liya hai toh bata du ki Main Zara ka bhai hu khoon se nai dil se (jerks his hands)

Raza : Lekin main uska shahur hu aur Main jo bhi karu meri marzi hai

Yash : Aur mujhe ek bhai hone ka farz nibhane se koi nai rok sakta samjha mere hote hue meri behen par koi aanch nahi aayegi yeh kabhi nai hoga

Zara gets in tears

Raza : tumhe andaza bhi nahi hai tum kaha khade ho Raza Sharazi ke ghar mein isliye abhi tak zinda ho kyuki hume apne haath gande karna pasand nahi hai

Yash ; aur kisi ladki par uthana, yehi hai aapka Islaam I don't think so

"Teri itni himmat tu mujhe Islaam sikhayega" Raza holds his collars angrily

Zara tries to stop them

Raza ; pehle isse dekhta hu (Zara) phir tujhe

Yash (pushes him away on floor) : sochna bhi mat varna bahut bura hoga, ab meri behen tumhari iss jail mein rahegi (holds zara's hands) main apni behen ko lekar ja raha hu

Raza (laughs off) : acha, lekin kaise lekar jayega aur samaj biradri, kaun karega isse nikah aur isse talak toh main dene se raha

Zara leaves his hands

Yash ; zara tujhe darne ki zarurat nahi hai, yeh tera koi nuksaan nahi kar sakta

Raza : usse bhi pata hai nuksan kar sakta nahi kar chuka hai, agar usne iss ghar ke bahar kadam rakha toh uske abbu aur ghar sab kuch chala jayega

Yash ; what?

Zara (nods) : bhaijaan, mere abbu ki saari properties raza ke naam hai, nikah ke baad yehi teir hua tha ki dono mere abbu aur raza ke naam equal share hoga lekin raza ne sab apne naam par kar diya taki main iss nikah mein bandhi ho jau

Yash : acha, yeh baat hai (sees bruises in her hands) lekin kanoon mein ek rule aur hai domestic violence jo har gunah se pare hai

Police comes there to arrest Raza

Raza : acha hua aap gaye, giraftar kijiye iss ladke ko mere ghar mein bina izzazat ke dakhil hone ka aur hamare mamle mein dakhal dene ka

Zara : nahi inspector mere bhai ne kuch nahi kiya

Inspector ; Mr Raza, yeh arrest warrant aapke naam ka hai

Raza ; what?yeh kya bakwaas hai

Inspector : Mr yash ne sahi kaha kisi bhi aurat par haath uthana kisi gunah se kam nahi hai, aur aapne dhoke se Zara ke abbu ke share apne naam karva liye, herat hai aap jaise bade aadmi aisi nihayti khatiya harkat kar sakte hai, arrest him

Mariyam and Gafur lashes on Raza for spoiling their daughter's life

Yash : maaf karna aunty lekin aapki beti ki zindagi bach gayi (wipes zara's tears)

Mariyam : hamari beti ke liye itna kuch kiya aapne yeh ehsaasn hum kabhi nahi bhulenge

Yash ; maine wohi kiya jo ek bhai ko karna chaiye, lekin shayad ab aapko apni beti ki khusiya vapas deni hogi

Gafur : sahi kaha tumne beta, hamari pasand se apni beti jaan ki hasi kho di lekin ab nahi usse apne hisse ka pyar zarur milega

Yash starts to leave

Zara : thank you bhai jaan (hugs him) aaj sirf aapki vajah se meri zindagi mein phir ek roshni ki kiran aa gayi, lekin aap yaha kaise

Yash ; woh bas teri yaad aa gayi thi toh socha ek baar mil lu phir toh teen saal tak kisi se mil nahi paunga (reveals everything to her)

Zara : agar allah ne chaha toh aapki mohabbat bhi mukamal zarur hogi dekhna

Yash leaves for Bangkok.

"Bhaijaan ke jane ke baad hum tumse milna chahte the lekin hamare mamujan ne kaha ki sabse pehle hum apne pairo par khade ho jaye, unki meherbani se humne apna kaam shuru kiya, NGO ka iss promise ke saath ki uski branch hum Mumbai mein sambhalenge" Zara reveals to him

Flashback ends

Dev ; itna kuch ho gaya aur tumne mujhe bataya tak nahi kyu

Zara : maine tumse kaha tha na dev, ki main apne promise kabhi nahi tod ti (cups his face) ab main aa gayi hu hamesha ke liye tumhare paas

Dev : bahut akela ho gaya tha itne waqt se, kisse apni dil ki baat share karta sab kuch pehle jaise nahi raha

Zara ; kya matlab

Dev reveals everything to her

Zara ; ya allah (closes her eyes) zindagi bhi kitni ajeeb hoti hai na, jab bhi intehaan leta hai hamesha ek saath leta hai, mujhe khushi se milna hai

Dev : mujh mein itni himmat nahi hai uske samne jane ka

Zara : jis behen par apni jaan chedak toh ho usse iss ladai mein akela chodh doge tum, kitni tut gayi hogi woh, tum sab ne usse milne ki koshish tak nahi ki

Dev looks sadly to her

Las vegas

Shweta comes to her house to meet her father and brother who are highly tensed about the situation Pari threw them in

Shweta : uss ladki ki itni himmat, how dare she

Parth ; wait (stops her)

Shweta : kyu ruku main, woh iss tarah humse paise mangegi aur hum de denge ridiculous aur iss hotel par papa ka equal share hai

Parth ; uske chinta mat kar na papa jail jayenge na hum uss Pari ko paise denge

Shweta ; toh kya karenge, aur uss orphanage ka kya hua jo papa buy karna chahte the

Parth ; exactly my point, woh orphanage aur iska hotel sab ek hi dhage ki chain hai

Shweta : riddles mat bana aur clearly bol

Parth shows her picture of Khushi and Pari who are owner of hotel and orphanage

Shweta : acha yehi hai woh dono

Parth ; orphanage toh hume mil jayega, lekin iss hotel wali ko apni jaal mein phasana thoda mushkil hoga, ek kaam kar tu india ja

Shweta : main india kyu jau

Parth ; aur yash ko shadi karne ke liye mana le aur iss tarah ki woh mana na kar paye, (shows her picture of Khushi and Yash)

Shweta clutches their picture angrily and throws away

Parth : iss tarah phekne se kuch nahi hoga

Shweta : yash sirf mera hai (picks up one Yashi picture) aur koi bhi mamuli ladki usse mujhse nahi cheen sakti, jo bhi beech mein aayega main uski jaan le lungi

Parth ; jaan baad mein lena, sirf itna samaj lo ki yeh teen (Yashi Pari) ek dhage ki mala hai lekin koi aur bhi zarur hai jo abhi hume pata nahi hai

Shweta : kaun

Parth : iss Pari luthra ki koi aur kamzori bhi hogi aur woh main bahut jaldh apne kabu mein kar lunga, tum india jane ki taiyari karo aur uss khushi luthra ko orphanage khali karva kisi bhi tarah (leaves)

Shweta burns Yash and khushi's picture with fire in her eyes of ruining their relationship

"Nahi khushi, main apni cheeze kisi ke saath share nahi karti, aur yash tumne mujhe nahi bataya koi baat nai (madly) shaadi toh tumhe mujhse hi karni padegi chahe jo bhi ho, ab inn dono behno ki jaan meri mutthi mein ked hai tum bhi nahi bacha paaoge" she throws picture in trash

Mumbai

Jenny and Rajiv are excited to meet each other. Both goes into their imagination at night gazing outside window

Mmmm hmmmm

Rajiv : O re piya
Main taan tere layi
Sau raatan jagun
Jithe jaavein tu
Othaey jaave dil
Dass ki main karun

Both walks near the lake

Jo tu russ jaani ae

Dil yeh tutt jaani ae
Tere sang sang raah
Saari katt jaani ae (x2)

Main taan tere naal rehna
Maan enna mera kehna
Meri akhiyon se hona kadi door naa
Tere bin tere bin

Tere bin nai lagda dil mera dholna
Tere bin nai lagda dil mera dholna
Sab chadd jayein tu na mainu chhodna
Tere bin nai lagda dil mera dholna

Nahi lagda nahi lagda nai lagda
Ho nahi lagda nahi lagda nahi lagda

Jenny : Tere sang sang reh ke
Main rang jaaun tere rang
Teri neend se khwaab main apna jod loon
Tu saath na ho to
Chaar kadam na chal paaun
Teri raah pe raah main apni mod doon

Rajiv hugs her from back Ho jag bhull jaaye mujhe
Tum nahi bhoolna
Tere sang jeena mera
Tere sang dhalna
Sacchi chaahaton ka hota koi mol na
Tere bin Tere bin

Jenny : Tere bin nahi lagda dil mera dholna
Ke tere bin nahi lagda dil mera dholna
Sab chadd jayein tu na mainu chhodna
Ke tere bin nahi lagda dil mera dholna

Jaaniya haaniya
Tu vi sikh kadi dukh sukh pholna
Tere bin nahi lagda dil mera dholna
Tere bin nahi lagda dil mera dholna
Sab chadd jayein tu na mainu chhodna
Tere bin nahi lagda dil mera dholna

Next day both goes to to church in the morning. Jenny arrives first

"Jesus aap sach mein bahut great ho, thank you aaj main apne rajiv se milungi woh bhi teen saal baad finally, thank you for everything, sab kuch mil gaya mujhe job, success, ab bas mera pyar mil jayega mujhe" Jenny lights up the candle

Father ; god bless you my child

Jenny ; father I am very happy today, you were right i have to wait for right time and now I waited

Father : yes my child, jesus blesses his every child, he wont' let them go sadly

Jenny waits for long when he sees few people coming there inside

"Sab aa gaye lekin jisse aana chaiye woh nahi aaya" Jenny sits with huff

Suddenly roses shower on her from up and hear music. Jenny gets confused seeing small kids holding flower in front of her

Jenny ; thank you

Kid asks her to close eyes which she does. She opens in a moment but finds Rajiv with bend knees holding ring

Rajiv ; jenny, will you marry me, bahut ache se rakhunga tumhe ab toh hamare beech koi duri nahi hai na koi rokne wala

"Tum hindi itni achi seekh gaye ab toh ha kehna hi padega (hits his head) of course stupid I do" jenny forwards her hand

Rajiv slides ring on her finger and kiss it gently. Everybody claps cheering for them. Father blesses the couple

Dehradun

Khushi slaps a man who wants her to sell her orphanage to her

Man ; yeh tumne acha nahi kiya

Khushi : aaj ke baad agar mere orphanage par nazar dali toh main tumhara woh haal karungi zindagi bhar yaad rakhoge samjhe niklo yaha se

Man ; ek baar aur sochlo, isse achi deal kahi nai milegi

Khushi ; koi bhi deal inn baccho ke ghar ka sauda nahi kar sakti, aur jakar bol do apne busdil boss ko agar himmat hai na mujhse directly baat kare apne do kaudi ke log na bheje aisi khatiya deal karne ke liye (throws papers on his face)

Man ; bahut bhari padega tumhe yeh sab yaad rakhna

Khushi : niklo yaha se (tells him sternly) get lost

Sahir (her friend and neighbor) : kya hua itna chilla kyu rahi hai tu

Khushi : kuch log aise hote hai, pata nahi kya milta hai unhe bechare masoom baccho ka ghar lena chahte hai

Sahir : lekin tumhare hote hue aisa ho sakta hai kabhi

Khushi : thanks (smiles) tum yaha kya kar rahe ho

Sahir : areey woh main office ja raha tha lekin tujhe chillate hue sun liya

Khushi : okay theek hai aur please mary aunty ko bolna aaj mujhe kuch kaam hai toh nahi aa paungi waha

Sahir : ha bol dunga ab thoda muskura (pulls her cheeks)

Khushi : gaal chodh aur ja yaha se chal

He leaves asking her to smile. Yash arrives at Dehradun with his team for his concert. He directly goes to the orphanage where Khushi lives with children

Khushi ; Sonu, goli, munna idhar aao abhi

Munna comes there while eating his food

Pakhi (hits his head) : kya kar raha hai woh gusse mein hai

Munna : kya hua didi (asks innocently)

Khushi : bol toh aise raha hai jaise muh mein shakkar khakar paida hua ho

Munna : yeh toh mummy ne kabhi bataya nahi ki kya khake paida hua tha main, na doctors ne

Pakhi (laughs) : didi yeh toh khane ki plate lekar paida hua hoga

Khushi ; chup karo sab aur maine kitni baar kaha hai ki garden me kaam chal raha ho toh yaha mat ghumna, kitne pesticides hote hai

Pinku grabs the pipe splashing on her

Khushi ; aye kya kar raha hai neeche rakh isko

Pinku : aapka dimaag shant kar raha hu didi

Kids enjoy the time with Khushi in garden. Yash sees them from outside with tearful eyes

Yash : yeh orphanage

Detective : sir, yeh issi ladki ka hai do saal se chala rahi hai aur suna hai koi bahut bada builder iss zameen ko lene ki koshish mein hai lekin madam nahi de rahi, yeh land ki price bahut high hai market mein lekin kisi ko kharidne ki himmat nahi hui abhi tak

Yash : uss builder ki shamat aayi hai jo khushi se panga le raha hai, vaise bhi yeh inn baccho ka ghar hai yehi jagah mili thi usse

Detective ; sir hum chale shaam ko aapka concert bhi hai

Yash : ha ( in mind) mujhe pata hai khushi tum mere concert mein zarur aaogi

Later in evening Yash's concert news is spread in whole town

Khushi's orphanage kids who are also fan of him decides to go there

Sonu : didi aap bhi chalo na hamare saath

Khushi : nahi tum log jao aur yeh lo ticket ke paise aur yaad rakhna, theek se kharch karna isse

"Okay didi bye" kids leave

Khushi sees the flyer of Yash's concert happening in the town

Venue

Kids buy ticket for the concert. Pinku keeps that in his pocket but somebody steals from him

Guard : ticket

Sonu : pinku tickets dena

Pinku (searches in his pocket) : aree yaar tickets nahi mil rahi

Munna : aise kaise nahi mil rahi theek se dekh tune pocket mein hi rakhi thi na

Pinku : ha yaar lekin mil nahi rahi

Guard : bina ticket ke andar nahi ja sakte chalo jao yaha se

Sonu : uncle please, humne kharidi thi aap counter par woh uncle se puch lo please jan dijiye na

Guard : ek baar bola na nahi

Yash : kya ho raha hai yeh

Guard : dekhiye na sir aaj kal ke bacche, bina ticket ke andar ghusna chahte hai bol rahe hai ki inke paas thi lekin kisi ne chori kar li

Sonu ; ha sir sach mein kisi ne chori kar li

Guard : dekha sir aapne

Yash (shows him hands) : baccho aap sab ko show dekhna hai na (all nods) yeh lo VIP pass, andar bahut bheed hai toh aaram se jana theek hai

"Thank you sir" kids take his autograph and leaves

Yash : aaj ke baad agar kisi bhi bacche ke saath aisi badtameezi ki na toh mujhse bura koi nahi hoga, samjhe bacche hai nadan hai bechare apni limit mat bhulna

Guard : sorry sir

Concert starts in a while

Flashlight spots on Yash in middle of stage. Crowd cheers for him

Yash : [Bechainiyaan hai, saanse rukki hai,
Tanhaiyon mein teri kami hai] -
Aankhon mein aansu thamte nahi hai,
Kaise hai yeh pal katt te nahi hai,
Dard-e-tanhai mein, Dard-e-tanhai mein,
Dard-e-tanhai mein, Dard-e-tanhai mein...

Khushi arrives in the crowd to watch his show

Phoolon ki yeh shaakhein hai kaanto se sazi,

Mitne se naa mitegi dil ki yeh bebasi,
Jo hum pe guzri hai beete tum pe kabhi,
Tumko bhi yaad aaye beeti baaten sabhi,
Mushkil hai khushiyon se gum ka milna yahan,
Sholon mein lipta hai mere dil ka jahan,
Dard-e-tanhai mein, Dard-e-tanhai mein,
Dard-e-tanhai mein, Dard-e-tanhai mein...

Both recalls their moment from childhood and college. His tone of pain and love touches everybody's heart

Aise bhi hum jiyenge, kabhi socha hi nahi,
Jo sapne toot jaaye wo judte phir nahi,
Dassti hai yaadon ki parchaiyaan teri,
Aawara iss dil ki koi manzil hi nahi,
Saahil se yeh lehren kyu hoti hai juda?
Aankhon ke yeh aasun tujhe dete hei sata,

Yash sees Khushi from the big camera paneling on audience. She leaves tearfully from there

[Dard-e-tanhai mein, Dard-e-tanhai mein,
Dard-e-tanhai mein, Dard-e-tanhai mein] -

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top