Part 70
Mumbai
Vicky and Pari goes nearby beach area for walk hiding from their families
"Madam ji bolo na achanak raat ki yatra kaise yaad aa gayi" Vicky yawns
Pari : sshhh thodi der chup raho na please, maine aaj read kiya tha shooting star hai
Vicky : tum yeh sab believe karti ho seriously, kya yaar chalo
Pari : I believe in honesty (holds his hands)
He turns around sensing her serious tone.
Vicky : kya hua, uske baare mein soch rahi ho jisne kabhi tumse pyar nahi kiya
Pari (nods in no) : sochungi toh tab na jab pyar hota, woh toh sirf chota sa lamha tha mere liye, janna nahi chahoge kaun tha woh
Vicky : janne ki zarurat mehsoos nahi hoti, yash hai na woh
She nods emotionally
Vicky (wipes her tears) : you know maine kaha tha, mujhse kuch nahi chupa paogi kabhi bhi (cups her face) dekha tha usse din mall mein
Pari (smiles) : kaise jante ho mujhe itna (touches his hands)
Vicky : kya karu yeh jo dil hai usse samaj jata hai jo uske bahut kareeb hota hai (puts her hand on his heart)
She moves back but he pulls her more closer to him
Pari : tumhe sorry kehna tha
Vicky : kis baat ke liye
Pari : rude behave karne ke liye uss din mall mein, bura nai lagta tumhe
Vicky : agar mujhe kisi cheez se nafrat hai woh sirf dhoka, Pari agar dil tut jaye na utni chot nahi lagti lekin jab bharosa tut jata hai na bahut takleef hoti hai
Pari : bharosa toh mujhe par bhi karte ho dar nahi lagta kisi din maine anjane tumhare dil tod diya toh kya karoge
Vicky does not let her finish and pulls into very passionate kiss. She hesitates initially but gives in to his gesture
Vicky : uss din main tut jaunga
Pari : mere itne kareeb maat aao ki tumhe dard ke alava kuch na mile (clutches his collar very tightly with closed eyes)
Vicky : Maine apna Rasta chun liya (cups her face) koi nai rok payega mujhe tumse pyar karne se
Pari steps back hearing him
"Aaj tak kabhi kisi ke liye itna dil na dhadka jitna tumhare liye hai, bahut pyar karta hu tumse aur karta rahunga koi mujhe nahi rok payega" Vicky sits on his knees
Pari ; please stop, aag kuch mat bolna (with tears) mujhe dar lagta hai pyar se mere paas mat aana
Vicky : kyu bhag rahi ho mujhse dur, koi galti ho gayi mujhse
Pari : tum galat ho hi nahi sakte lekin mujhse aisi koi cheez mat mangna jo main tumhe nahi de paungi, bahut mushkil se maine itne saal se apni behen se yeh raaz chupaya lekin phir bhi ek dar hai dil mein ki agar unhe pata chal gaya toh woh sab kuch chodh degi mere liye aur tum, maine tumhare dard ka karaan nahi banna chahti (keeps moving back with tears)
Vicky : tum toh mere har zakham ki dawai ho jo mujhe itne saal baad mili, Pari tum mujhe toh kya kisi ko bhi hurt nahi kar sakti
Pari : nahi (shouts out loud) dard hamesha usse hi milta hai jisse hum sabse jyada pyar karte hai, please mujhse aisi baatein mat karo
"Please Pari tum aise nai ja sakti mere sawal ka jawab diye bina" Vicky keeps holding her touching their head
Pari : mujhse zabardasti mat karo Vicky (cups his face) kuch nai milega mujhse pyar karke tumhe sivay dard ke
Vicky : sukoon jo aaj tak kabhi nai mila iss dil ko (gets in heavy tears)
Pari runs away from there. She gets back to her home and falls on her bed tearfully
"I am sorry Vicky Lekin main tumhare layak nahi hu I love you a lot" pari holds her knees together
Both have sleepless night
Manali
Khushi brings Yash near window of her room
Yash : areey kya hua yaar yaha kyu lekar aayi hai mujhe
Khushi : woh dekh tuta hua tara suna hai ki jo bhi wish mango woh puri ho jati hai
Yash (wraps arm around her) : ab aur kya chaiye aapko mere alava
Khushi : hamare liye chaiye, yash aaj tak ek baat mere mann mein chub ti rahi kahi kisi din maine tumhe anjane mein hurt kiya toh I won't be to forgive myself
Yash : kisne kaha tum mujhe hurt karogi (holds her hands) I trust you more than myself aur yeh bharosa tum kabhi nai todo gi I know
Khushi : Agar tut gaya toh
Yash (moves closer to her) : phir mera hausla bhi tut jayega khushi jo aaj tak sirf teri vajah se bana hua hai, iss duniya mein sabse jyada pyar tujhse kiya hai, sabse jyada bharosa tum par hai (caresses her hair)
Khushi puts head on his shoulder emotionally
"Uss din mujhe iss baat ka bilkul andaza tha nahi Pari ko ke hum kahi na kahi anjane mein apne hi pyar ko dard denge aur zimedaar bhi hum dono hi the. Pari ke mann ka daar shayad meri vajah se tha ki jis tarah main hurt hogi ussi tarah woh Vicky ko bhi ussi tarah hurt karegi. Mere mann mein bhi wohi khyal aaya jab mujhe Pari ki feelings pata chali yash ke liye jo kisi hawa ke ek chote se jokhe se kam nahi thi"
Yash : oye meri pehlwan kya hua aaj itni emotional baatein kis liye, tujhe suit nahi karta (caresses her hair)
Khushi : acha toh kya suit karta hai mujhe batao toh zara
Yash unties her hair with smirk and pins to wall putting hands on one side
Khushi : kya kar rahe ho Mr, aadhi raat mein ladki ka faida uthaoge tum
Yash : faida? (runs his finger on her face) woh toh tu ache se janti hai saare ladko wale kaam main toh sirf romance janta hu
Khushi : thoda sa future ke liye bacha ke rakho my star singer
Yash : ek baat bata, aaj tak mujhe samaj nahi aaya ki tu kya banegi zindagi mein, mere saath join ho waise bhi music mein meri tough competitor toh hai hi
Khushi : nai yaar I want to do something else, kuch aisa jo aaj tak kisi ne na kiya ho, jisse na sirf mere mom dad ko but you will be proud of me too
Yash kiss her forehead. He leans to her..she runs away from his grip. Her leg slips on carpet falling on him
Yash : jab dekho apna bhaari bharkam mujh par girati rehti ho
Khushi : oye tameez se baat kar
Yash rolls over her putting hand under head.
Khushi : kya dekh rahe ho
Yash : uss khubsurati ko jisse dekh kar chand bhi sharma jaye (caresses her face)
Khushi : itni bhi tareef mat kar meri aadat nahi hai mujhe, bahut pyar karte ho mujhse
Yash : ab kya dil cheer kar dikha du tujhe (gets up from her recalling something)
Khushi : yash kya hua tum ro rahe ho
Yash : nai yaar bas Dad ki yaad aa gayi, I could never forget this day tujhe toh kaise pata hoga mere London aane se pehle, woh military mein the aur aise hi kisi mission mein desh ke liye kurbaani dekar chale gaye
Khushi (makes him face her): woh kahi nai gaye hamare saath hai aur unki kami bhi toh puri karne wala koi hai na tumhare Dad
Yash (kiss her hands) : you know Khushi jab bhi unhe dekhta hu na Dad ki yaad aa jati hai bilkul aise hi the, they were best friends unke saath bhi toh galat hua jab mom ki tarah koi apna kho diya
Khushi : yash mujhe bhi mil vao na apne Dad se please
Yash : badi jaldi ho rahi hai tujhe unse milne ki, aksar ladkiya bechari sharmati hai lekjn inko dekho kaise utavli ho rahi hai apne sasural walo se milne ke liye
Khushi : oye mere sant mahatma Khushi luthra unn ladkiyo mein se nahi hai samjhe na
Yash : ha ha pata hai batane ki zarurat nai hai. ab aagya ho toh main jau waise bhi aadhi raat ko ladke ke kamre aana mana hai goodnight
She keeps holding his hand. Both shares very soft kiss after long time soothing their pain. Somebody clicks their pictures
Yash : mujhe jana hoga , good night (leaves)
Mumbai
Preeta is standing near window thinking something
Karan (hugs her from back): kya hua meri baby doll ko aise kyu khadi ho
Preeta : kuch nai waqt kitni jaldi guzar jata hai na Karan (leans her head on him) kalki hi toh baat thi jab hum mile the
Karan : tum sahi thi preeta apna ghar apna hota hai waise hi apna desh bhi apna lagta hai shayad London mein rehna hamari kismat mein nahi tha
Preeta : khair jo hota hai ache ke liye hota hai, Pragya di ka call aaya tha
Karan : ab kya hua
Preeta : woh sid ki dadi ne pucha hai ki agar sid aur Khushi ko yeh rishta manzoor hai toh baat thodi aage le jaye
Karan : what? Yaar mom bhi na kya jaldi hai unhe bacchi toh hai na Khushi Abhi, bhai se baat karni padegi
Preeta : waise dekha jaye toh theek hi hai na hum kaunsi unki shaadi karvane wale hai ek baar puch lo na Khushi se
Karan : baby doll it's time for her career khudh toh chauthi fail hokar doctor ban gayi dusro ko bhi mauka diya karo kuch karne ka
Preeta : urgghh tumse baat karna bekar hai hato mujhe neend aa rahi hai
Karan : ruko baby doll main bhi chalta hu tumhare saath (goes behind her)
Manali
Next day Sumer starts the round with blindfold game where one partner put cloth on eyes and other would guide them through camera
Sumer : ha bhai ho gai sabki good morning
Roma : sir morning toh 8 baje hoti hai na
Sumer : aye chori yeh Sumer Singh ke rounds na itne hi jaldi hote hai
Zara : ha sir hum samaj gaye aap kya bolne wale ho
Sumer : toh bhai chun lo apne partners aur ho jao khade line mein, yeh round hai ek personality wala jaha aapko dikhana hai andhe ko raasta
Khushi : Lekin sir yaha andha kaun hai
Sumer : yeh toh bahut jald pata chal jayega Tare ko dekh kar toh yehi lage tu tujh mein akal ki shortage hai
All laughs. Yash asks her to be quiet. Everybody picks their partner
Sarika: yash mera koi partner nahi hai tum banoge na
Khushi : round shuru hua nai aakhon par patti lagi nai aur Abhi se andhi ho gayi tum
Sarika ; and you just shut up main tumse baat nahi kar rahi
Khushi : areey o tumhari information ke liye bata du yash reserved hai mere liye
Sarika : tum mann hi mann mein kahaniya banati ho na, so tacky
Khushi : tumhari tarah akal Ki andhi nahi hu aage se yash ke aas paas bhi nazar aayi na toh haadiya tod dungi teri
Sarika : tu meri haadiya todegi dikhati hu tujhe
Both girls have big fight hitting on each other.
Dev : Khushi kya kar rahi hai chodh isse
Yash : Khushi stop it yaar (pulls her away)
Khushi : chodho mujhe iski itni himmat mujhe tacky bolegi
Sumer : shut up kya ho raha hai yaha par
Khushi : sir yeh ladki mujhe Gali de rahi hai
Sarika : nahi sir yeh aayi thi mujhse jhagad ne maine toh sirf itna kaha tha ki yash aur mein partner bane Isliye bhadak gayi
Khushi : ek aur baar yash ka naam nikala na apne muh se tere chèhre ki geography change kar dungi mein
Zara : Khushi jane de na kyu ladh rahi hai
Kartik : sir yeh ladki na shuru se aisa karti hai Hum toh kuch karte bhi nai hai, sirf publicity stunt ke liye karti hai yeh sab natak
Yash gets into fight with kartik
Sumer : hatt (stops their fight) chup ho jao varna sabko competition se nai balki college se rusticate karva du
Roma : bhai you are okay
Sumer : Chori tu (Khushi) pehle din se main janu ki Tari zubaan ke saath haath pair bhi chale Lekin yeh jungle hai aur yaha Sumer Singh ka raaj chale
Khushi : meri koi galti nai hai
Sumer : yeh explanation apne paas rakh aakhri warning hai tare ko ab agar kuch kiya toh tu sidhe bahar iss competition se
She nods and sees Sarika with angry eyes
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top