Part 49

PS : Guys I have added hindi version just to try. Let me know if you like it so i can do future parts in hindi

School

Sumer : here is what you have to do, from each team one member would start from race, decide yourself and make sure you can cannot win it without yourself

Team 1

Aditya : guys, we have to win this okay

Rajiv : ek kaam kar mike pe announce kare de hum jeet gaye (you do one thing go announce in mike we won

Isha : chup karo Rajiv

Aditya : tum jao pehle

"Me" she asks

Aditya ; ha pari ji aap jayengi, hum athletes to hai nahi na aap ki tarah, dar gai abhi se

Pari : mujhe dar nahi lagta kisi se bhi

Aditya yeh attitude na game mein dikhana mujhe nahi

Team 2 Vicky's

Krissh : Jenny, Sona tum dono me se koi ek jao

Sona ; nahi mein nahi jaungi yaar

Vicky : aalsi khor, krissh yeh to hame pehle hi ball mein out karvadegi

Sona stamps on his feet

Jenny : jhagdo mat mein jaungi

Team 3 Ayaan's

Maya ; guys hame yeh jeetna hai

Ayaan ; agar tumhari akal beech mein na aayi toh jarur jeetenge

Maya : aane marna band karo

Whistle noise

Sumer : chalo ready, varna apna bharatmilap baadmein kar lena bahut time hai uske liye

Pari, Jenny, Maya, Reshma and Amy stand at the mark point.

"One two three" Sumer fires in air

All five starts running.

Khushi : come on

Dev : behen tu kiski side hai

Khushi : kya, dev apni memory par zor dalo, sab hamare hi hai, ab yeh to hai nahi jo jeeta wohi sikanda..

Zara : hindi to ache sein bolna seekh le yaar, Sikandar

Khushi : jo bhi hai, aaram se game dekho na

Pari comes first and reaches computer followed by Maya, Amy, Jenny and Reshma. Participants have to answer three questions and take bucket

"So participants you have to answer three questions, for correct one, it will fill bucket and for wrong water will go out from hole, be careful" Host announces

Sona takes the bucket with her and gives to her team mates. Kritika cheers for her. Rest of them gives bucket to their team

Tanya : Kamaal kare rahe hai na sab

Preeta : ab kya ho raha hai, kuch dikha rahe hai tab mein

Kritika : kuch nahi, simple memory game hai, baccho ko pattern par chal na hai, yaad karke

"yaad rakha agar aap gire toh jo to hoga hi toh phir suru se chalenge" Sumer shouts

Sona, Isha, Ayaan, Nikki and Abid walks on pattern shown. Nikki and Isha trips in between

Vicky : Isha aaja

Zara :vaise mujhe lagta hai round yaha khatam nahi hoga, khar par bhi chalega zoro se

Dev : yaar panauti kyu laga rahi ho vaise bhi tumne kam nahi lagai this us Fresher wale round mein, kuch yaad aaya

Zara : nahi but mein yaad dila du tumhe mere karate wale skills

Khushi keeps calling Yash but he does not pick her calls. He plays guitar intensely with floods of memory in his mind

Khushi : zarurr busy hoga kisi jangli billiyo ko kuch sikhane me stupid

Dev : phone pe gussa nikal rahi hai la mujhe de cha

Khushi : nahi

Dev ; aree dena, kya tera kya mera

Khushi : ek baar bola na nahi

Zara takes away Khushi's phone to stop their fight

"lekin mera phone" she pouts like kid

Zara ; tumhare bf ka phone aayega tab de doongi varna tum dono pure event ka satyanaash kar doge

Sumer : next step, as I said you won't be able to win this round alone without your team, another member will bring bucket of water on cycle, and if you stop again you have to start from point

Vicky, Rajiv, Navya, Meenu and Jonthy take their positions on bicycle

Sherlyn : come on Vicky (shouts for him)

ShrishtI : Rajiv come on come you can do it

Vicky : meri mummaji kitni sweet hai yaar

Rajiv : oh bhai abhi bicycle pe concentrate kar varna, bura maan jayegi phir dono chali jayegi mummaji or yeh round

Participants have hard time balancing the bucket on bicycle

Meenu ; yaar vicky tum toh bilkul Aamir khan lag rahe ho, the one in jo jeeta wohi sikandar wala

Vicky :oh behenji, mein toh aamir khan lag raha hu, par aap kisi angle se pooja bedi nahi lag rahe, chup chap chalao, concentration ki patti maat bujao

Meenu : areey vicky tum girne vale ho peeche

Vicky :oye aunty, meri fikar mat karo, peeche dekho woh hitler khada hai

Meenu loses balance and gets down mistakenly. Vicky laughs at her and goes ahead

Isha : come on bhai

Adi : hello tumhara bhai humare team mein nahi hai okay

Isha ; ha toh mera bhai hai woh

Aditya ; dekho hum already second last hai thoda chance hai woh mat bigado

Vicky is about to lose balance

Sherlyn : vicky sambhal ke

He is able to balance as well as Rajiv

"shukriya baba ji aapne bacha liya" Rajiv shouts

All of them hands over bucket to their team members. Last stage of group game is filling water by hanging upside down.

"This is last chance, quantity of water you dropped on way you have chance to fill it up" Sumer tells them

Shrishti : yeh kya ulta latka diya baccho

Preeta ; bechare hamare bacche, unhe toh aadat hi nahi hai itne workout it

Tanya ; sahi dekho kaise dar gaye sab

Pari, Sona, Maya, Meenu and Amy takes chance to hang upside down to fill water

Aditya (holds Paris hands tightly) : dheere dheere, tum kar sakti ho

Vicky (hold Sona) : oye dhyan se yaar, kahi main na gir jau tere saath abhi meri shaadi nahi hui

Sona : meri kaunsi dus shaadiya hui hai (fool do I look married to you)

"Ha bhai hosiyarchand (Vicky) tere sense of humor ko dekh kar to yahi lag raha hai iss janam mein teri shaadi hogi bhi nahi" Sumer makes fun of him"

Sir ji nahi aisa mat bolo yaar, mujhe kuvara nahi marna" Vicky shouts

"Chup, varna abhi disqualify kar du tane" Sumer shouts at him

Ayaan : Maya, sambhal ke, apni words ki nahi body ki energy use karna yaha par

Maya : tumhe toh to main baad mein dekh lungi

"Ha baad mein aaram se dekh lena, abhi filhaal pani ko dekh lo" Ayaan tells her

Girls start to fill the water in bucket getting exhausted

"Participants badi zoro shoro se balti mein paani bhar rahe hai, par yeh kya Pari aur Sona lagta hai thak gai hai, kya yeh dono agle round tak jaa payegi" Host talks about

Pari and Sona gets really exhausted while filling water

"Pari get up, chalo jaldi thoda time hi hai hamare pass come on" Aditya motivates her (we only have little time left please come on)

"Oye Sona jaldi uth yaar, ghar jaake aaram se sona, come on yaar, jaldi yaar varna sirji hame ghar bhej denga abhi se" Vicky tells her

Ayaan : Maya, kya hua physical energy kam pad gayi kya, ya sirf baaton mein energy waste karti ho

"Kaise team member ho yaar, ab toh main dikhati hu tumhe, ki maya kya cheez hai" Maya starts to fill water quickly as much as she can

Ayaan ; Kisi ne sahi kaha hai, ego se badhkar kuch nahi hai, insaan to kis had tak le jati hai

"Shayari band kar ho haath theek se pakad" Maya shouts at him

"Count down shuru ho gaya hai, 5, 4, 3, 2, 1" Sumer fires in air

All goes to take break

Khushi : haye meri pyari behna thak toh nahi gayi na

Pari : nahi nahi, meri shakal dekh kar toh lag raha hai na mein so ke uthi hu (says with huff)

Tanya : are mera baccha pani pee le, ye le

Preeta : baapre aur kitna baaki hai yaar

Sona : mami abhi toh interval hua hai, film baaki hai

Vicky : yeh dialogue sharukh ke mu se acha lagta hai, tere mu se aisa lagta hai kisi bhootni ko torture kar raha hai

Sherlyn : vicky chup karo, jab dekho tab majak

Shrishti : guys mujhe urgent kaam ke liye jaana hai, Rajiv all the best sorry beta

Rajiv : koi baat nahi, aap aaram se jao

Shrishti : tum log ho na yaha par

Dev : ha masi hum yahi hai , vaise bhi college classes nahi hai aaj ke liye

Preeta : ruk mein bhi chalti hu yaar, woh hospital se phone aaya tha, emergency hai

Shrishti : ha chalo (leaves with her)

"Bye mere baccha party, best of luck shaam ko good news suna na mujhe" Preeta tells them

Vicky ; woh toh hum suna denge aunty tension na lo ji

Sherlyn : woh shaadi ki baat nahi kar rahi pagal

Vicky : woh bhi karengi baad mein

"Bye" Preeta leaves pulling his cheeks

Zara : waise yeh sab humara college mein hona chaiye, bada maaza aa jayega

Dev :tumhe dekh kar to yahi lag raha hai, tum pehle round mein hi out ho jaogi

All laughs

Zara : acha, khair chodo

Isha : pata nahi kya hoga aage

Vicky : line achi hai, lyrics jarur bana dena

Rajiv (Sees jenny in corner) :main jara fresh hoke aata hu

Jenny is trying to put medicine on her elbow as she got little injured on her elbow during run

Rajiv ; lao mujhe do

Jenny ; no thanks mein kar lungi, its okay

Rajiv takes cotton from her hands and puts medicine in her wound

Jenny : thank you

Rajiv ;kuch jyada hi thak gayi ho tum

Jenny : woh aadat nahi hai na itne work out ki, zara khud ko dekho kya haalat ho gayi, london se jo aaye ho ek minute (use her handkerchief to wipe his face)

Rajiv holds her hands in midway and wipes on her face too. Both share eye lock

Vicky (snaps his finger) : hello ji kya ho raha hai

Jenny : kya lagta hai

Vicky : lagta toh mujhe bahut kuch hai ji, koi nahi chalo Sir ji ki awaz aaye andolan ke liye chalte hai

"Kya yaar" Rajiv yamns

Jenny : chalo chalo

Ruchika comes there and joins Tanya Kritika with other kids

Maya : mom, itni der

Ruchika ; kyu mom ke bina aap thodi peeche reh gayi

Tanya : areey chup yaar

Whistle noise

Sumer : haa bhai aa gayi saans mein saans, toh shuru kare,aakhri round dega aap ko student of the year ke agle round ki chaabi, do do ki jodiya hogi issme, aankho par patti badhkar

"Pakdam pakdai khelni hai sirji" Vicky asks

Sumer : aye chore, badi jawani chad rahi hai tujhe, phir se bhej tu tane 10 chakaar lagane pure ground ke

Isha tells him to be quiet

Sumer : ha bhai sun lo sab kaan khol ke, do do ki jodiya hogi, apne partner ko dikhaoge raasta

Rajiv : par sir kaha jaana hai woh toh bataya hi nahi, kahi telne jaana hai

Sumer ; bhool bhulaiyaa mein jaana hai

Rajiv : bhool bhulaui.... (could not pronounce name) sir bachpan se hindi mein haath kaach hai, london mein sikhate nahi na

Sumer : ha to tareko mein london courier karva du phir se, sab kuch sikh kar vapas aaja na

Rajiv : thank you sir ji itna soche ke liye

Sumer (ignores him) : dusre level tak jaane se pehle apne aap to dekhlo kaha khade ho

Vicky : waise toh hum zameen par khade hai sir ji

Tanya : sach mein aaj toh na jiju ke bura lag raha hai

Sherlyn : acha woh kyu

Tanya ; ek batao sherlyn, tumne kya khaake isko paida kiya, rare piece hai tumhara beta

Sherlyn ; bura toh rishab ji ke liye bhi lag raha hai mujhe

Tanya : aisa kaunsa dukh aapke rishab jiju ko please explain

Sherlyn : tum ek dramebaaz kam thi unki life mein, teri beti bhi to tere jaise hai, aur yeh vicky toh aaj tak mujhe nahi pata chala kaha se ud kara aaya hai

Sumer : top mein hai, 1st position Jennifer, Pari, Aditya, Vicky, Isha, Maya, Sona, Ayaan, Abid, Amy, Johnty, Reshma, nikki, Rajiv, ha bhai to sab line me aakar apni chit le jao

Jenny comes first

Jenny ; Meenu

Pari : Vicky

Sherlyn ; yeh lo dono ek hi team mein

Tanya ; tum khush ho rahi ho ya dukhi

Sherlyn ; bahut jald pata chal jayega behen

Sona : Aditya

Rajiv : Jenny

Maya : Ayaan

Krissh : Amy

Sumer : first contestant ha bhai aaja

Jenny ties cloth on Meenu's eyes and puts headphone on her ears

Sumer : ready?

Jenny : yes sir

Sumer : siti baja ready hai

Jenny guides Meenu to walk inside the bhool bhulaiyaa. It comes Jenny's turn. On ankita's saying Meeny takes out wire of her headphone and puts on Jenny.

Vicky : oye Krissh, dekh uska wire nikal gaya hai, jakar fix karde

Krissh : aree yeh hitler mujhe fix kardega

Vicky : chup, woh disqualify ho jayegi

Rajiv runs inside the field to fix her headphone quickly without getting noticed by Meenu.

Sumer : ay chore, disqualify kardu tane, chal bahar nikal

"Sir one minute, wish karne aaya tha" Rajiv goes near her ears and put wire back

Jenny : kya kar rahe ho, out ho jayoge tum, niklo jaldi se

Rajiv leaves from there. All partners finishes the last game of round.

Sumer : Final constestants ke naam aa gaye hai, aaj 7 log jayenge agle round mein baaki sab ghar pe apne, iske baad hai

Vicky : kaun padai mein sabse acha hai

Sumer : hosiyarchand, mare ko lagta hai tu toh usme bhi fail ho jave go, chup kar ke khada reh

Pari : vicky kyu pange le raha hai iss hitler se

Sumer : jo aaj ghar jayenge woh hai, Isha, Ayaan Abid, Reshma, Krissh, Jhonty, Nikki, Meenu; agle round ke liye qualify honge Pari, Jenny, Rajiv, Vicky, Aditya, Sona aur Maya

Sona : sir agla round toh aapne bataya hi nahi

Sumer : badi jaldi hai tujhe chori, ther ja, ha bhai agla round hai swimming, matlab aapko paani mein kitni der tak saans rok kar sakte ho, karna yeh hai, pani ke andar hoga ek box, uski chaabi hogi aapke paas, use kholkar nikalna hai andar ki ticket, timing hogi 3 minute ke andar

Pari : but sir agar kisiko swimming nahi aati toh woh kya karega

Sumer : bada mushkil sawal puch liy aapne, toh aasan rasta hai SOTY se withdraw karna apna naam, okay ji

PS : The rounds counts as individual rankings

Kritika : chalo finally, dekho toh zara bechare bacche ki parade karva di

Isha gets upset for not able to qualify for next round

Sherlyn : isha, mumma ne kaha tha aise disappoint nahi hote, competition hai

Vicky : ek baar tere bhai to trophy jitne de phir dekh

Sherlyn : tumhari harkete dekhar toh nahi lag raha vicky, sir se panga lete rehte ho

Tanya : chalo phir chalte hai

Roo : waah maya aap toh cha gayi

Maya : thanks mom

Roo : toh ek aur good news sun lo, music event nazdik aa raha hai, practice karni hai ya nahi and terminal exams bhi aa rahi hai

Maya : mom darao mat chalo

Families leave at their respective house

Vicky : bye pari

Sherlyn : haat niche karke nahi bol sakte chalo yaha se, bye tanya bye girls

Rajiv and Dev with Zara goes at Tanya's house

Zara : ek hi din mein sab ki haalat patile se peeli ho gayi

Dev : aise bol rahi ho jaise tumhe ground ke 25 round laga kar tumhari energy nahi down hui

Khushi : aree ha yaar, music event toh socha hi nahi, woh toh Yash ke bina possible hi nahi hai (says softly)

Rajiv : dekh behen, iss SOTY se jyada na music ke baare mein soch, apne boyfriend ko bata de practice karvane ke liye (whispers in her ears)

Zara : agla round kab hai

Rajiv : sunday, swimming toh problem nahi

Pari : mujhe hai, mai kya karungi yaar, di koi toh idea nikalo

Khushi : ek kaam karti hu me tera mask pehen ke, paani mein jaungi, theek hai phir

Pari ; urggh hamesha apne stupid ideas deti rehti ho, nahi karni madad toh mat karo na

Dev : tu kya expect kar rahi hai isse

Khushi : oh hello, zara dhyan se bolo theek hai na, maine tum logo ko us Fresher wale competition mein bachaya

Tanya : Pari, itni tension mat lo na, hamare paas enough time hai, usse pehle tum paani me ter na sikh jaogi

Pari : par kese mom

Khushi : pehle naha le phir puchna kaise

Dev, Zara and Rajiv leaves too

Naintara house

Ayaan comes home after losing competition. Trio siblings see Yash hitting punching bag angrily

Aditya : kya hogaya hai, tapmaan itna garam kyu hai

Roma : pata nahi yaar, jabse aaye hai yahi kar rahe hai, isko kya hua hai muh kyu sada hua hai

Ayaan : bhai (tells yash) yeh toh galat hai na, matlab inhe kya problem hoti hai participants ki capacity se

Roma : dekh bhai yaha kisi ko na riddles pasand nahi hai

Aditya : out ho gaya competition se

Roma : isme itna kya suspense create karna, theek hai na competition mein normal hai

Ayaan : acha, khud toh Ms fresher ka title jeet kar aa gayi

Roma ; ha toh

Aditya ; dono kyu sote hue sher ko jaga rahe ho (Sees yash in anger) bhai to dekhkar la raha hai kisi ladki ne gal par de diya ho chaata

Yash hears him

Roma : ab padega tujhe chaata, best of luck

Aditya : nahi bhai kuch nahi (moves back in fear)

Yash takes water bottle and drinks

Aditya ; bach gaya

Roma ; bhai aap theek toh ho na, kya hua

Yash ; ha theek hu, hey chotu tu kyu ladki ki tarah betha hai, muh latka ke

Ayaan : mein ladki nahi hu bhai, i wanted to win bhai

Yash : life mein bahut chance milte hai jeetne ke, haar kar jitne ka maaza kuch aur hota hai

At night Khushi tries to play her cello but gets restless after staying away from Yash whole day

Khushi : aaj pehli baar, yash se baat nahi ki aisa laga din khatam hi hua, kaha hai tu yaar, itni bechani kyu ho rahi hai

Suddenly she recalls Sid's words to her during confession

"Kahi Sid ki baat sach toh nahi, meri life mein toh sirf ek hi aisa hai jo mere sabse close hai, Yash kya sach mein usse pyar toh nahi karti" Khushi recalls their kisses and moments from London

aaja main hawaon pe bithake le chalun
tu hi toh... tu hi toh meri dost hain
aaja main khalaon mein uthake le chalun
tu hi toh meri dost hain

"Yes I love Yash, mein kitni badi bewakoof hu yaar, itne time se realize tak nahi kar payi, sab hamare aass paas bolte rahe lekin mujhe pata nahi chala, I love you I love you" Khushi sees his picture in phone and hugs closely

awaaz ka dariya hoon
behta hoon main nili raaton mein
main jaagta rehta hoon
neend bhari jheel si aankhon mein
awaaz hoon main...

She opens the window feeling something new in the atmosphere she never felt before and starts playing cello

raat mein chandni kabhi, aise gungunati hain
sunn zara lagta hain tumse, awaaz milati hain

main khayalon ki mehek hoon
gungunati hain saaz par
ho sake toh milale
awaaz tu mere saaz par

aaja main hawaon pe bithake le chaloon
tu hi toh... tu hi toh meri dost hain
aaja main khalaon mein uthake le chaloon
tu hi toh meri dost hain

Next day Khushi comes to meet Yash after their class. She too decides to confess her love to him

"Kya hai? itna attitude, mere ek message ya calls ka reply nahi kiya hadh hoti hai, kitna bhaav kha raha hai tu" Khushi keeps blabbering to him and sees bandage on his hands

Yash does not answer her question

Khushi ; areey yeh choti kaise lagi, mein kuch puch rahi hu na, jawab to de

"Acha, badi fikar ho rahi hai tujhe meri, mujhe toh laga tujhe sid ke alava kuch aur dikhta hi nahi" Yash twists her hands at back burying his face in her hair

Khushi : what? Sid ? ab woh kaha se beech mein aa gaya

"Khudh hi beech mein laayi aur mujhse puch rahi hai, ab tujhe meri thodi na zarurat hai, waise bhi tere liye hamara rishta dosti se badhkar nahi hai, phir itni concern kis liye" Yash turns her to him holding her face tightly

Khushi : haat thod dard ho raha hai (tries to get free from his grip)

Yash leaves her hands and pushes away leaving mark on her wrist

Khushi : woh toh main iss liye aayi thi, music concert ki date najdik aa rahi hai, toh mujhe cello sikhna tha, par koi baat nahi mein khud kar lungi (gets upset with his behavior)

Yash ; kal mere ghar pe koi nahi hai, sab bahar jaane wale hai, aa jana

Khushi ; akeli?

Yash ; nahi nahi puri paltan ko leke aa jana (teases her) agar tum chahti ho ki main sabko cello sikahu phir le aana

Khushi : ha theek hai aa jaungi, gussa kyu ho raha hai, college ke baad aa jaungi

Yash leave angrily from room.

Khushi : iski problem kya hai? aisa kaunsa kya kar diya maine, acha ab samjhi (recalls his words for Sid) zarur isne sun liya hoga mujhe Sid ne propose kar diya, iss liye sara frustration nikal diya mujh par, bhagwanji thodi toh akal de dete isse kya jata aapka, ek toh aadhi baate sunta hai upar se bill mere naam par phad diya (leaves with huff)

Precap : Yash Khushi most intimate and passionate confession

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top