Duty

Chawl

Christine beats Jenny in house again

Jenny : please meri mummy ko chodh do aap jo kahogi woh karungi

Christine: yeh leh inn papers par sign kar

Jenny : kya hai yeh

Christine: woh zameen jo tere naam par ki thi tere uss nana ne chal kar sign jaldi

Jenny signs the papers. Christine brings Gomez back to chawl

Jenny : mom (in tears)

Christine : tum dono maa beti apna saman bandho aur niklo yaha se ab kuch nahi bacha tum logo ke paas aur ha Kolkata gav toh sochna bhi Mat kyuki woh sab ab hamara hai

Gomez : nahi waha mere Anthony ki yaadein judi hui hai koi uss ghar ko haath nahi lageya

Christine is about to slap her when she gets stopped by Tanya who jerks her hands

Christine : tum phir aa gayi

Tanya : kaha tha na ki kanoon ke haath bahut Lambe hote hai kahi se bhi tum jaiso ko pakad leti hai

Christine: tune bulayi na police

Tanya : tumhe zevar ka bahut shauk hai na ab (constable puts handcuff) isse behtar aur kya ho sakta hai

Police arrives to arrest them. It is revealed Christine and her husband killed Jenny's father for money. Their neighbor gives testimony against them as witness

Gomez : bhai tumne yeh sab Lekin kyu

John: maafi ke layak toh nahi hu Lekin ho sake toh maaf kardena

Gomez : mere jeene ki vajah cheen li meri Jenny ke sar se uske papa ka saaya uth gaya sirf Chan paiso ke liye

Rajiv consoles Jenny who is in deep shock

John also reveals how he stole Gomez another child when Jenny's father found their truth. He left child in a temple

Rehaan looks on confusingly. Christine and John are taken into prison
Gomez thanks them for help

Pakistan

Zara's father gets heart attack after people mocking them after seeing Zara and Dev together

Ahmed (Raza's father) : bhabhi jan aap chinta na kare allah ki meher se yeh baat media ko pata nahi chali yaha sab apne hi log the

Mariyam : kaise samjhau iss ladki ko main, kitna mana kiya lekin apni zidd ke aage isse kuch dikhayi nahi deta

Ahmed : bhabhi ek baar yeh nikha ho jaye phir sab ke muh aise hi bandh ho jayenge

Mariyam : itna sab hone ke baad aap aur Raza yeh nikah karna chahte hai

Ahmed ; yeh nikah koi mamuli nahi hai bhabhi jan, balki bahut logo ki takqdere judi hui hai iske peeche aur aapke shauhar ke baad mere Raza ka mustakbil likha jayega

Mariyam : aap baarat ki taiyaari kijiye Ahmed bhai yeh nikah zarur hoga (sees Zara with her father in room)

She goes to meet Dev at Sakina's relative house

Sakina : kaha ja rahe ho

Dev : zara se milne

Sakina : yeh aap kya keh rahe hai, iss waqt waha jana munasif nahi hoga, zara ke aabu ki halat bahut nazuk hai iss waqt

Dev : isliye toh ja raha hu, zara ko meri zarurat hai waha (gets shocked)

Mariyam sees both of them with mixed reaction and sighs Sakina.

Dev : woh main

Mariyam : hamara naam Mariyam khan hai, zara ki aammi lekin shayad aaj usse apni beti kehne ka haq kho chuki hu, kyuki woh aapki ho chuki hai

He looks up

Mariyam : aaj hum aapse apni beti mangne aaye hai, zara hume lauta dijiye warna hamara parivar bikhar jayega uske aabu nahi bachenge (sobs)

Dev gets too much heartbroken with the thought of leaving only girl he loved

Mariyam ; zara ne mujhe aapke baare mein zyada kuch bataya toh nahi lekin jitna bhi kaha usse toh yehi laga ki aap ke liye rishto ki bahut ehmiyat hai zindagi mein, aap har farz bahut ache se nibhate hai aaj ek ma aapse vinti karti hai

Dev (sits on his knees holding her hands) : ma hamesha hukum karti hai request nahi, aapko shayad pata nahi hoga main yaha zara ko lene aaya tha lekin aapki marzi se, aapki marzi ke bina toh iss ghar se bahar nahi lekar ja sakta

He wipes her tears

Dev : meri mom kehti hai ki dev, pyar agar takleef deta hai toh uss dard ki dava bhi pyar hi hota hai, aaj agar maine zara ko chodh bhi diya mujhe bahut takleef hogi lekin uski yaadein meri dawai banegi, ab aap chinta mat kariye, zara ka nikah wahi hoga jaha aap log chahte hai, main usse baat karunga

Mariyam : aaj tumhe dekh kar ek baat samaj aa gayi ki batwara do mulk ka hua hai insaan ke zasbaato ka nahi aaj bhi woh insaniyat zinda hai sabke andar kaash hamar dil bhi tumhari tarah bada hota

Dev : mera dil utna bhi bada nahi hai bas apne papa ke dikhaye hue raste par chal raha hu unhi hi di hui himmat ke saath

Mariyam : mera khudha iski manzoori toh nahi deta lekin allah se ek dua hai ki agle janam mein tumhare jaisa beta hume mile (kiss his forehead) yeh ek ma kar ashirwaad hai tumhe duniya ki har kamyabi har khushi mile

He nods with smile

Next day Dev asks Zara to marry Raza

Zara : dev tum pagal ho gaye ho, tumne soch bhi kaise liya ki nahi hum yeh nikah nahi karenge

Dev : zara listen to me (she jerks his hands)

"Dev please (cups his face) tum mujhe jaha rakhoge jis hal mein rakhoge mein reh lungi lekin kyu mujhe jiteji maar rahe ho, yeh nikah karva ke, tum toh mujhe yaha lene aaye tha ab achanak kya ho gaya" Zara joins their head tearfully

Dev : ha aaya tha lekin ek faisla karke aaya tha ki tumhare ammi abbu se cheen kar nahi unse tumhe mangkar le jaunga

Zara : allah kyu aisa kar raha hai hamare saath, humne toh kabhi kisi ka bura nahi chaha phir kyu hamari mohabbat ka intehan le raha hai

Dev : shayad yehi hamare mohabbat ka asli intehaan hai, hum bhaag kar bhi kaha jayenge apno se dur, yeh log hi hamari duniya hai

Zara : mujhe majboor mat karo dev, apna faisla vapas le lo

Dev ; faisla toh hamari kismat ne kiya hai (holds her hands) zara aaj tumhe sahi maino mein ek beti hone ka farz pura karna hoga, mujhse ek promise karo ki zindagi mein phir kabhi kamzoor nahi padogi

She nods tearfully not willing to leave his hands

Dev : yeh nikhal bhale hi hamari mohobbat ka anth hai lekin tum jaisi ho waisi hi rehna (wipes her tears) zindagi mein agar main tumhe kabhi milu toh yeh kamzoor wali zara mat dikhana, balki woh zara dekhna chahta hu jiske andar himmat hai har galat ke khilaf khade rehne ki promise me

"Main vaada karti hu kabhi apni self respect ko kabhi jhukne nahi dungi chahe phir woh koi bhi ho, apne iss vaade ki izzat rakhungi" Zara promises him

Do, pal ruka, khwaabon ka kaarvaan
Aur phir, chal diye, tum kahaan, ham kahaan
Do pal ki thi, ye dilon ki daastaan

Dev starts walking from there but stops in midway. She runs to hug him tightly one last time

Aur phir, chal diye, tum kahaan, ham kahaan
Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan

Both shares very tearful and emotional hug holding each other tightly. Dev kiss her forehead

Tum the ke thi koyi ujli kiran
Tum the ya koyi kali muskaayi thi
Tum the ya tha sapnon ka tha saawan
Tum the ke khushiyon ki ghata chhaayi thi

Zara : apna khyal rakhna aur yeh lo (gives him amulet) tumhari ifazat karega aur meri dua hai ismein ki tumhe har kamyabi mile

Dev : I will miss you

Tum the ke tha koyi phool khila
Tum the ya mila tha mujhe naya jahaan
Do pal ruka khwaabon ka kaarvaan

Dev ; tumhari ek murad puri ho gayi, bhai ko uska pyar mil gaya

Zara : kya? tum sach keh rahe ho

He nods

Zara : chalo ek prem kahani ki toh jeet hui

Dev gives her gift Yash Khushi sent for her with few letters

Aur phir chal diye tum kahaan ham kahaan

Do pal ki thi, ye dilon ki daastaan

Both goes to bus stand with Sakina and Mariyam to drop Dev

Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan
Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan

Mariyam : allah aapko har buri nazar se bachaye

Dev : chalta hu (touches her feet)

Duo shares last glance at each other. He goes inside the bus

Sakina : zara chal

Zara hugs her mother shattered of losing her love. She sees the letter from Yash

"Meri pyari behen, mujhe nahi pata ki main tujhe kabhi dekh paunga ya nai lekin ek baat ki tasarli rakhna agar zindagi mein kabhi iss bhaijaan ki zarurat pade toh bas ek baar dil se yaad karlena main aa jaunga, apna farz pura karne, aur ha tere liye good news bhi hai tere iss bhai ko uski pagal premi (she chuckles) mil gayi, ab bas ghar wale ek baar mann jaye phir koi alag nahi kar payega mujhe khushi se, zara ek baat ka ehsaas ho gaya hai mujhe ki chahe kuch bhi ho apna sabar mat khona kabhi varna bahut kuch bikhar jayega, tumhara bhai Yash" Zara holds his letter closely to her

Mumbai

Dev reaches Mumbai next day putting stone on his heart

Preeta ; dev (runs to hug him) pata hai tumhare bina mera jee kitna khabra raha tha, tum sahi salamat vapas aa gaye

Karan realizes his silence reason

Preeta : woh nahi aayi na

Dev : mom ab usse kismat ya mera pyar lekar aayega vapas, aur main sirf uss pal ka intezaar karunga (reveals everything to them)

Karan feels very proud of his son for keeping alive their upbringing and values

Dev : maine sahi kiya na papa

Karan ; tum karan luthra ke bete ho, galat kaise ho sakte ho I am very proud of you son, agar tumhara pyar saccha hai na toh dekhna woh usse zara ko vapas zarur layega

Dev : tab tak aapka sapna kyu na pura karu (shows him football) dad you always say ki apne andar ki aag ko jagao I will do same aur dekhna aap hi ki tarah mera naam hoga meri apni identity I want to make you both proud

Preeta : tum toh hamari shaan ho you will achieve this (kiss his forehead)

Zara's nikah day comes in few days

Sakina gets her ready for marriage while she sits lifelessly in front of mirror

Yeh Sitam Ka Riwaj Kyun Hai
Jaisa Hai Ye Samaaj Kyun Hai
Yeh Duniya Ki Hai Rasmein
Main Hoon Ab Inke Bas Mein

Dev sees her picture and puts on table

Girls bring Zara down

Yeh Jo Duniyaa Ki Hai Rasmein
Main Hoon Ab Inke Hi Bas Mein
Na Poochho Kyaa Gila Hai
Mujhe Gham Kyun Milaa Hai

Her parents remains helpless for not able to help their daughter.

Tumhein Main Kyaa Bataaoon
Mohabbat Jurm Hai Kyun
Koi Rotaa Hai Kyun
Aisaa Hotaa Hai Kyun

Quazi starts reading marriage rituals

Kyun Dil Se Hai Har Ek Anjana
Aayaa Kis Mod Pe Afsaanaa ...(2)
Yeh Kis Maahol Mein Ham Hain

"Raza Sharazi kya aapko Zara Khan se yeh nikah qubool hai"

"Qubool hai" he says

Khushi Ke Bhes Mein Gham Hain
Kise Apna Kahe Kise Beghana
Aayaa Kis Mod Pe Afsana...(2)

"Zara khan kya aapko Raza Sharazi ke saath yeh nikha qubool hai" Qazi asks her

Screen freezes on her face

This twist will be revealed after leap till then keep guessing guys.

Luthra house

Family invites Yash and his parents for dinner at night

Sophia : preeta ab tum kaisi ho treatment ke baad toh dikhayi nahi di tum

Preeta : bahut achi, aapko thanks toh bolna chahti hu lekin doctor ko thanks bahut kam lagta hai kabhi kabhi

Sophia : yeh baat kisi aur ne kahi hoti toh react nahi karti lekin khudh ek doctor hokar yeh bol rahi ho very bad

Dhruv : areey dr sophia yeh toh bachpan se pagal hai aise hi doctor bann gayi kyu

Karan : mere muh ki baat cheen li tumne yaar aaj tak gala phad kar kehta tha sabse lekin kisi ne nahi suni

Preeta : thodi toh sharam karo ki samne kaun hai sorry sophia ji

Sophia : sirf sophia kaho kaafi hai aur ha maine kuch nahi kiya kabhi kabhi dawa se jyada dua kaam aati hai preeta aur tumhara theek hona kisi chamatkar se kam nahi hai

Khushi : aapne bilkul sahi kaha mom, dekhiye na yash ne kitni dua mangi hogi tab jakar mere jaisi kohinoor usse mili

All hides their laugh

Tanya : khushi (puts hand on her mouth) kuch toh sharam kar kiske samne baat kar rahi hai

Yash : aunty ab toh aadat ho gayi hai rehne do, mom ko bhi ho jayegi lekin yeh galat hai mom mujhe laga tha ki shayad aapse yeh daregi lekin isne toh daar ko hi dara diya

Sophia : yehi toh ek aaj ladki mein hona chaiye jo daar ko hara de, it is 21st century

Yash : lekin maine toh suna tha iss century mein ladkiya sharmati bhi hai jo iski dictionary mein nahi hai

Tanya : wah ab pata chala tum isse kaise jhelte ho yash, tumhe toh salute karne ka mann karta hai hatts off

Khushi ; mother salute toh flag ko kiya jata hai na isko kyu

Rishab : khushi chup karo yaar, bethne toh do inhe

Sophia ; khushi kaun hai tumhare ghar mein aur your sister right kaha hai woh

Khushi : ha woh toh aayi hi nahi, areey ha yaad aaya uski extra class hai thodi late aayegi

Tanya : sophia aapko yeh rishta manzoor hai na, koi problem toh nahi hai

Sophia : bilkul nahi, mere yash ki pasand galat ho hi nai sakti

While elders talk siblings gather in room

Yash ; what? tu zara ko lekar nahi aaya but why

Dev : kyuki main apne pyar ko kisi ke maut ki vajah nahi banana chahta tha, na kisi ki zindagi dav par laga kar jeetna chahta tha apna pyar

Khushi ; kaise rahoge uske bina (gets emotional)

Dev : jaise tu yash ke bina rehne wali thi, aur waise bhi tu hai na mere saath aur kya chaiye mujhe

Rajiv : ha big brother we are one hum sab hamesha Aise hi rahenge

Luthras get along with Sophia and Akash very well easily

Kritika's house

Sona recalls Ankita showing Pari's real color of scaring Kartik nd Varun. Lights goes off. She gets scared seeing Pari standing at door in dark but only her face is visible with light

Sona : pari tum yaha iss waqt

Pari ; kyu nahi aa sakti? agar tum vicky ko mujhse cheen sakti ho toh main tumhare ghar bhi nahi aa sakti

Sona : tum vicky ke liye sahi nahi ho uss bechare ko kya pata ki yeh sirf mask hai asli pari toh koi aur hai, uss din tum hi ne kartik aur varun ko daraya tha na confession karne ke liye

Pari looks at her blankly

Sona ; main tumhe vicky ki life kharab nahi karne dungi, main usse sab kuch bata dungi

Her dark side rise again hearing her words

Sona ; dekho pari abhi bhi mauka hai sambhal jao warna vicky tumse bahut dur chala jayega

She takes out the knife from back angrily

Sona ; pari (she smirks running finger on the knife) tum pagal ho gayi ho kya

"Agar mere aur vicky ke beech ka sabse bada kaata reh gaya hai woh sirf tu hai (puts knife on her chest) aaj woh bhi khatam ho jayega" Pari tells threatens walking towards her

Sona ; yeh kya pagalpan hai pari (holds the knife)

Pari tries to hit her with knife with danger eyes. Sona fights back but is unable to. She runs in room and locks from inside

Thunderstorm noise. Pari walks around the house. Sona finds the phone in study room and calls her father but is not able to reach him. Left with no choice she calls Khushi

"Hello sona teri awaz nahi aa rahi hai" Khushi could not hear her voice

Sona ; hello didi, pari mujhe marna chahti hai please usse rok lo woh pagal ho gayi hai please help me

Khushi drops the phone

Yash ; khushi kya hua tu itni disturb kyu ho gayi kya hua bol na

Khushi : Pari nahi (runs to Sona's house)

Family follows her as well hurriedly

Pari clutches neck of Sona on wall but Khushi comes in between pushing her away

Khushi : pari knife phek neeche kya kar rahi hai pagal ho gayi hai kya

Pari ; di chodho mujhe

Khushi : pagal ho gayi hai behen hai woh hamari chodh usse

Pari again tries to stab Sona but Vicky holds sharp side to stop her. Family is horrified to see her side of this

Tanya : pari please throw knife dammit

Pari : nahi mom isne mujhse mera pyar cheene ki koshish ki hai

Khushi pulls her away putting tight slap on pari's cheeks. Yash holds Pari who becomes unconscious on floor

Tanya : pari kya hua rishab

Sona holds Kritika tightly shivering in fear

Preeta : karan yeh sab kya ho raha hai

Karan : pata nahi lekin kuch toh bahut badi baat hai

Rishab and Tanya takes Pari to their home.

Khushi : yash Maine kabhi nahi Socha tha ki pari kabhi aisa karegi

Yash : khush Lekin uss par gussa karne se koi faida nahi hoga usse hamari zarurat hai iss waqt

Khushi : tum samaj nahi rahe ho , aaj pari ne jo bhi kiya uske baad har koi meri mom ko blame karega na ki Iss harkat ke liye

Yash: aisa kuch nahi hoga aur aunty sensible hai woh sabko ache se samjha degi for right now just be with pari

She nods unwillingly

Yash : Main chalta hu good night aur jyada stress mat lena okay (kiss her head)

Khushi ; good night

Sherlyn's house

Vicky : Mummaji ek baar meri baat toh sunlo please

Sherlyn : Maine tumse pehle bhi kaha tha ki tumhara pyar kisi bhi rishte ko Kharab nahi karna chaiye

Vicky : I am sorry

Sherlyn : sona ki jaan ja sakti thi, kisi ko itna pyar bhi nahi karna chaiye, tumhare issi pyar ne pari ko yeh sab karne par majboor kar diya

Rehaan : apne bags pack karo Vicky tum yeh term finish hote hi New York ja rahe ho bua ji ke paas

Vicky : Main pari ko iss halat main akela chodh kar nai ja sakta

Sherlyn : agar tumhe usse theek hi karna hai na vicky toh dur chale jao usse yehi uske liye acha hoga woh yeh sab sirf tumhare liye kar rahi hai, tumhare pyar ke chakkar mein agar uski thodi si bhi parvah hai toh chale jao usse dur

Rehaan : pyar ki ek hadh hoti hai vicky jo shayad pari ne paar kar li hai agar tum usse phir se uss daire mein vapas lana chahte ho toh chodh do usse hamesha ke liye varna woh maar jayegi

Vicky unwillingly agrees to leave

House

Khushi caresses Pari who is sleeping after whole incidence

Tanya : Khushi tum thodi der so jao beta

Khushi : no mom I am fine (smiles)

Tanya : Kya soch rahi ho

Khushi : aaj jo bhi hua woh acha nahi tha could imagine Pari kabhi aisa kar sakti haj

Tanya : janti hu Lekin usse hamari zarurat hai iss waqt sabse jyada

Khushi : itni mushkil se sab theek hua tha sab aapse phir se ache se behave karne lage the ab pari ki iss harkat ke baad phir se aapko sab blame karenge aur agar kisi ne kuch galat kaha na toh Main

Tanya : Khushi relax , Main itni bhi kamzoor nahi hu apne rishte ache se sambhal sakti hu important yeh hai ki pari ko iss situation mein weak nahi hone dena hai okay ab so jao raat bahut ho gayi hai

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top