Part 28

Mumbai

Preeta : shrishti jaldi kar kya kar rahi hai

Shrishti ; kar toh rahi hu na, areey kritika aana beth hamare saath

Kritika comes home tearfully and falls on bed holding her knees

Preeta : areey kya hua isko, kritika ruk ja meri baat toh sun dekh toh shrishti

Shrishi : ha di (goes to room)

Both girls go to console Kritika who is crying miserably and loudly

Preeta : Kritika kya hua tu itna ro kyu rahi hai, kisi ne kuch kiya kuch kaha ha

Kritika hugs her tearfully

Shrishti : di kya hua yeh itna kyu ro rahi hai

Preeta : kritika kya hua ha mujhe bata (wipes her tears) shrishti ja pani lekar aa

Shrishti gives her water

Kritika : preeta (keeps crying with closed eyes)

Preeta : agar tu mujhe nai batayegi na toh main jakar Rishab ji aur karan ko bata dungi phir unhe batana hi padega isse acha mujhe bol main teri koi help karu

Kritika : woh akh...akshat usne

Shrishti : kya kiya usne, kuch ulta sidha kiya abhi jakar khabar leti hu

Kritika reveals everything to them

Preeta : what? bet how could he do this lekin usne aisa kyu kiya kya zarurat thi aisa karne ki

Kritika ; apne faide ke liye, preeta main uske liye sirf ek khilonu uss akshay ki tarah jo yaha se vaha ghuma sakta hai, mein usse kabhi maaf nai karungi kabhi nai

Shrishti : kritika tujhe bura kisliye lag raha hai uske bet se ya uske haarne ke dar se

Kritika : kya bol rahi hai shrishti

Preeta : kritika, tu usse pyar karti hai, sach bata isliye tujhe itni takleef hui na

Kritika : tum dono kya bakwaas kar rahe ho, uss insaan ne mujhe khilone ki tarah use karna chaha aur ismein pyar kaha se aaya

Shrishti ; natural si baat hai na, tujhe pata hai agar akshat haar jata toh woh akshay tera peecha nai chodh ta aur akshat tujhe kabhi dekh nai pata kabhi

Kritika ; shrishti woh sirf mera dost hai (Sternly) aur kuch nai usne yeh karke meri dosti ki insult ki hai, agar pyar hota bhi toh shayad khatam ho jata yeh dekh kar toh (recalls his words) usne meri izzat sab kuch dav par laga diya bina soche samjhe ki main kya chahti hu

Preeta : hume bata tu kya chahti hai

Kritika : main yeh naukri chodh rahi hu, ab uske shakal nai dekhni mujhe bahut hurt kiya akshat ne mujhe uska chehra dekh kar nafrat ho rahi hai mujhe

Preeta : yeh tu nai teri insecurity bol rahi hai, job chodh degi kyu tune kuch galat kiya hai jo itni achi job chodhegi aur sabko kya kahegi ha, tere bhai puchenge sabse pehle woh karan hazar sawal karega tujhse janti hai usse kuch nai chupa payegi

Kritika : toh kya hua mein bhai ko sach bata dungi

Preeta : wah sahi hai, bata de sach aur hone de hungama kyu abhi chal aur bata de (tries to take her) pehle se hi pareshan hai thoda aur ho jayega kya farak padta hai

Shrishti ; di kya bol rahe ho aap bouncer ja raha hai

Preeta : chup, aur kritika job chodna iska solution nai hai galti usse hui ha tune toh kuch kiya hi nai phir kyu itna dar rahi hai

Shrishti ; kritika dekh baat sirf naukri nai hai hume bhi pata hai tujhe shayad kahi aur mil jaye lekin agar tune job chodh di toh sab yehi sochenge na ki galti teri hai, I think you should give him one chance, galti sabse hoti hai

Kritika : yehi baat tujhe bhi keh sakti hu shrishti ki mere bhai se bhi galti hui hai maaf karde unhe kar degi

Shrishti ; toh jawab bhi sun le (angrily) sameer ne matlab ke liye sab kiya hai agar usse meri parvah hoti na ya tum logo ki toh kabhi aise nai karta, lekin akshat ne yeh kiya kyu taki zindagi bhar tu uss ghatiya aadmi ka muh na dekh sake jaan uski bhi ja sakti thi but he didn't care yehi fark hai usmein aur tere bhai mein (leaves)

Kritika ; preeta yeh baat please karan bhai aur rishab bhai ko mat batana, mein yeh job continue rakhungi kuch time ke liye

Preeta ; jo bhi karo woh soch samaj kar karna aur agar mujhse pucho toh yehi kahungi ki everybody deserves a second chance, akshat ko ek mauka dena uski aankhon mein tere liye pyar dikhta hai

Kritika : koi pyar nai hai preeta sab dikhawa hai

Preeta (smiles) ; sach mein tum sab na pure karan par ho kaash rishab ji ki tarah thodi si samajdari hoti ki apne ego ko do minute ke liye side mein rakh kar samne wale ki baat ko samjho pagal

Kritika ; acha baba preeta devi (folds her hands) aaj ke liye bahut gyan ho gaya ab thodi pat puja ho jaye bahut bhuk lagi hai

Preeta : pagal ja fresh ho ja mein khana ready karti hu

She nods smilingly

"Preeta, kaha ho tum, kaha ho tum, yaar mein tere kaha ho tum" Maya comes singing inside

Preeta : lo aa gayi ek aur dramebaaz

Kritika ; yeh bhi ek alag piece hai tum kaise jhelti hu iski handi ka hathoda yaar mera toh do minute mein sar chakra jata hai

Preeta: aadat ho gayi hai meri, itne saare hai ek aur sahi aur mujhe toh uss par taras aa raha hai jisse iski shaadi hogi

Kritika ;sahi mein ha bechare par zindagi bhar hindi ka hathoda padega, meri roo bhi aisi hi hai (sadly) lekin pata nai kyu aise chali gayi

Preeta : sab theek ho jayega dimaag thoda thanda rakh aur aaja saath mein khate hai tab tak mein iss udti chidiya ko dekh ti hu

Maya ; areey mere preete my cheeteh kaha ho tum

Kritika ; isse pehle yeh apne radio se pura ghar tod de ja main abhi aayi

Preeta : kya kyu phate hue radio ki tarah chilla rahi hai aur ek minute kaha thi tu subah se ha

She bits her tongue

Preeta : tina ko pucha usne kuch nai kaha (twist her ears) sach bata kaha thi pura din mere phone ka message nai diya

Maya ; woh woh

Preeta : kya woh

Shrishti comes eating fruit

Maya ; ha mein shrishti ke saath bahar gayi thi na isliye

Shrishti spits out shockingly

Preeta : oye adhyapak, jhut bolna na tere khoon mein ha aur na tere dimaag mein isliye try bhi mat karna ab bol

Maya : woh mein rishab ko pareshan karne ke liye jaldi nikal gayi thi

Preeta : tune (widens her mouth) bechare rishab ji ke peeche kyu padi hai tu, kitne seedhe hai woh unki zindagi mein kam dramebaaz nai hai jo tu ek aur aa gayi

Maya : aha (mimics) seedhe hai sirf dikhte hai andar se toh masti kut kut kar bhari hai

Shrishti : di lagta hai kisi ne iske sar par zor se hathoda mara hai tabhi aisi behki baatein kar rahi hai kabse

Maya : kya bol rahe ho, woh coach saab mujh par maya par paani dalne wale the lekin maine unka plan fail kar diya (proudly) waise bhi usse sorry bulvana tha mujhe

Preeta : kis baat ke liye

Maya ; kuch nai kal unke liye khana lekar gayi thi khamakha chilla diya mujh par aur maya ko bina drama kiye sorry bulvana nai aata

Preeta ; sudhregi nai tu kabhi, acha sab suno dhyan se mein sunday ko summer camp ja rahi hu thode din ke liye toh yaha sab dhyan rakhna .

Maya : avasya jao balike (yawns) meri toh raid lag gayi hai aaj ke liye itni thak gayi hu

Shrishti : teri toh sirf raid padi hai mein toh retire ho gayi hu aisa lagta hai

Preeta : oh mahila andolan, kal se dono jaldi uth kar surya namaskar karo sab kuch bhag jayega

Karan : hey girls (comes energetically) whats up kya ho raha hai yaha par, teacher sahiba suna hai aaj bhai ki achi class li tumne

Kritika : bhai aapki coaching kaisi chal rahi hai

Karan : fantastic dekhna iss baar kaise nai jetenge bacche unki mehnat rang layegi, doctor madam aapne batya nai ki aap kab prasthan kar rahi hai summer camp

Preeta throws napkin at him annoyingly

Karan ; lagta hai tapman garam hai problem kya hai

Shrishti ; ha lagta hai aapke time spend karne ke liye mare ja rahi hai aur hum haddiya beech mein tang adayenge

Preeta (shouts) : Shrishti

Shrishti ; ha di

Preeta ; lagta hai tamatar khatam ho gaye ja lekar aa jaldi se

Shrishti : kal jau toh chalega

Preeta : main tujhe aaj maru toh chalega

All giggles while Preeta glares at her

Shrishti ; ha jati hu, kritika chal mere saath waise bhi di ko bahut time chaiye

Preeta : tu jati hai ya nai

Shrishti and other girls leave from there. Karan gives her naughty smile

Preeta : ab yeh smile kis liye, main toh tumse naraz bhi nahi hu

Karan ; kyu, zaruri hai ki sirf naraz ho toh aisi smile dunga yeh mera charm hai jis par ladkiya marti hai hayee aur tum bhi uss list mein aa gayi

Preeta (comes to him holding dough) : dekho khabar dar agar mujhe unn jangli billiyo ke saath compare kiya toh, tumhari puri list jala dungi samjhe

He nods fearly

Preeta : ab chup chap betho aur mujhe kaam karne do

Karan : mein help kar deta hu na (innocently) please

Preeta : oh aapko help karni hai sure koi baat nai ruko (gives him vegetables to cut) yeh lo mere liye pyaz aur aloo kat do please jab tak shrishti aati hai

Karan : main katu?

Preeta : tumhara hi naam karan hai na (he nods) tumse hi kahungi meri help karni thi na toh yeh lo aur ha take your time aaram se koi jaldi nai hai

He makes cry face holding onion while she sees him hiding from wall giggling

Preeta : pagal bajarbattu

While working in kitchen Preeta sees him cutting onions in different sizes and tears in his eyes

Preeta : karan rehne do mein kar lungi

Karan : nai mujhe yeh finish karna hai (rubs his eyes with tears)

She cups his face with smile

Karan : kya baat hai preeta arora, bada pyar aa raha hai lekin meri aankhen (pouts) bahut jal rahi hai yeh pyaz hai ki aag

Preeta (huskily) : yeh aag ko bujane ka bahut acha tareeka hai mere paas

He gives victory smile seeing her leaning to him. She kiss his eyes and tears and moves to lips but runs away teasingly

Karan ; yeh toh nainsaafi hai baby doll

Preeta : pyar mein sab jais hai luthra sab

Outside

Maya ; areey shrishti tujhe yaad hai na kuch time mein navratri aane wali hai, i am so excited iss baar meri baari hai

Kritika ; kya matlab

Shrishti : kuch nai hamare chawl ka riwaz hai logo ne banaya ki har saal koi ek member har family mein se navratri ka saara arrangement karega puja se lekar DJ tak

Kritika : woh tab toh bahut maaza aayega, chawl ki navratri toh kitni exciting hogi, aur maya please naak mat katvana acha intezam karna

Maya is talking with them when suddenly an auto rickshaw does reverse on passenger's call. The tyre hurts Maya's leg badly

Maya : oouch (she shouts painfully)

Kritika ; maya kya hua tum theek ho

Karan Preeta moment is interrupted by the noises from nearby

Preeta : yeh awaaz kaisi, chalo chal kar dekhte hai

Everybody scolds auto driver for driving recklessely

Preeta : areey bapre maya kitni chot lagi hai tujhe, khoon nikal raha hai main first aid lati hu

Rishab panics seeing her injured feet and shouts at her for being careless

Maya (pouts) : hey bhagwan yeh kaisa utla zamana hai, log iss auto wale ko daat rahe hai aur tum mujhe suna rahe ho

Rishab ; ha kyuki yaha ke log aapko jante nai na, tumhe toh dekh kar chalna chaiye tha na, pata nai kab jayega tumhara bachpana

Maya : areey (sees others standing quiet) tum sab kya shant khade ho

Karan : bhai kyu bechari bacchi ko dara raha hai

Preeta ; hato (pushes him)

Rishab takes first aid and applies on her wound blowing every second. She clutches his shirt with closed eyes when he puts medicine on injury

Shrishti : di (whispers) lagta hai mere alava sabki naiyaa par ho jayegi bahut jald

Preeta : kya bakwaas kar rahi hai tu

Shrishti ; dekho toh kitne pyar se dekh rahi hai rishab ji ko aur unko dekho jaise duniya khatam ho gayi sirf usse itni chot lagi

Preeta : isko abhi sherlyn ke baare mein kuch pata nai hai aur rishab ji aur sherlyn ka divorce bhi nahi hua janti hai na tu aur waha woh roo, uss neev ke saath mujhe toh na daal mein kala nai puri daal kali lag rahi hai

Karan ; tum toh jagga jasoos bann gayi ho yaar, waise babydoll yeh pakka meri bhabhi banegi

Preeta ; karan tumhari bhabhi abhi bhi woh chudail sherlyn hai yaad hai ki nai aur woh itni asani se rishab ji ko divorce nai degi, sab kuch haath ane ke baad bhi

Shrishti ; di shub shub bolo yaar uss chudail ka naam lekar kyu mood kharab kar rahi ho

Rishab puts dressing on her leg and sees her nervous. Both share very intense eye lock

Maya : thank you (she smiles faintly)

He nods and starts to walk but she keeps holding his hands tightly. Her eyes says lot to him

Rishab takes his hand slowly and goes to his house leaving her confused.

Maya (in mind) : yeh kaisa ehsaas hai, unakhee si feelings jo mujhe hamesha rishab ki taraf khich leti hai bina kuch kahe

Luthra house

Roo : bhai kya hua

Sameer ; yaar Roo jis kaam ke liye aaye the woh toh abhi bhi baaki hai, property ke papers jo inn logo ke paas hai

Roo : aapko office mein kahi nai mile

Sameer : tabhi toh tune ghar mein sab jagah check kiya na

Roo ; ha bhai har kona check kiya maine lekin kuch nai mila, agar nai mile toh hamari sari mehnat waste ho jayegi

Sameer : yeh tab bhi possible hai jab prithvi ko kuch din ke bahar bhej de yeh sherlyn toh waise bhi office nai aati aur tu isko sambhal legi lekin yeh bakre ko na kisi tarah kahi bhejna hoga

Roo : ek kaam karo na kisi bhi business conference mein send kar do usko kuch din ke liye tab tak hum woh papers dhund lete hai

Sameer : ha ja tu ab so ja, good night

She leaves. Later Neev comes to Sameer's room who is leaning on bed gazing outside

Sameer : neev tum yaha

Neev ; sorry aapko disturb toh ni kiya na, aap shayad bahut gehri soch mein hai

Sameer : nai toh come, beth na kya hua

Neev : aapki thodi help chaiye mujhe

Sameer ; bhai meri behen ka boyfriend help toh ek hi cheez ke liye mang sakta hai woh hai uske liye surprise

Neev ; aapko kaise pata

Sameer : beta main pyar ka guru nai hu lekin bachelors ki hai iss field mein (Sadly) lekin fail ho gaya shayad, anyway tumhe kya kaam hai

Neev : roo ko date par lekar jana hai, woh itne time se pareshan hai apni family ko miss kar rahi hai toh uska mood divert karne ke liye, lekin yaha ke jagah ke baare mein jyada kuch pata nahi hai mujhe

Sameer : acha, toh kal main tumhe ek superb jagah dikhata hu waise bhi meri pagal behen ko na fancy cheeze pasand hai, don't worry tumhara kaam ho jayega

Neev ; thank you (hugs him and leaves)

Sameer : Roo yaar kya kar rahi hai tu, yeh bilkul apni behen jaisa nai hai bechara tere liye itna kuch kar raha hai, tere face par smile lane ke liye har koshish kar raha hai aur tu iske khushiya cheena chahti hai, kab samjhegi tu yeh baat, shayad meri tarah pyar khone ke baad tujhe ehsaas hoga uska dard

Precap

Navratri celebrations in chawl

Neev's date for Roo

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top