Part 13
Arora house
Sarla, Dadi and Janki are packing bags
Preeta : ma, dadi yeh sab samaan kaha ja raha he aap log
Sarla ; beta itna sab kuch ho gaya hai dono parivar ke beech mein main soch rahi hu Amritsar gurudwara matha tekne jaungi
Shrishti ; aap vapas kab aaoge
Dadi ; kuch din mein beta, tab tak tum log inn logo ke saath rehna ache se aur koi shaitani nahi
Preeta : aap sab aaram se jana
Karan : aunty apna khyal rakhna, aaiye na hum aapko station tak chodh dete hai
Sarla : areey nahi hum rickshaw se chale jayenge aur kuch bhi chaiye toh Preeta ko bata dena (kiss his forehead)
Trio ladies leave for station. Sameer goes to drop them
Maya is coming back from school with her younger sister Tina
Maya : Kya halat bana rakhi hai tune button khule upar se holi khel kar aa gai
Tina : yeh aaj kal ka fashion hai di tum bhi thoda sikh lo, ayee baraf ka gola
Maya : Tina no bilkul nahi
In the chaos both ends up spilling gola on rishabs white shirt. She widens her mouth
Maya : I am so sorry (tries to wipe it)
Rishab : kya kar rahi hai aap aur Kharab ho raha hai it's okay
Maya : areey aise Kaise aapki white shirt hai iske daag asani se nahi jate
Rishab : laundry mein kaam karti ho(she nods no) paani mein kaam karti ho (nods no) toh phir
Maya : Tina sorry bol chal sab teri vajah se hua hai
Tina : Lekin aapne bol diya na kaafi hai ek bole toh chalta hai
Rishab : excuse me aapke sorry se yeh saaf toh hoga nahi rehne dijiye
Maya : Lekin jab tak aap mujhe maaf nahi karenge mujhe Chen nahi milega
Rishab starts walking to his chawl
"Areey suniye toh" she goes behind him
Rishab runs away from there hurriedly . She finds his house
Preeta : kya hua maya
Maya : sab iski vajah se bechare ki shirt Kharab ho gayi mein dekh ti hu (leaves)
Tina : behen aapne bhi woh dekha jo maine dekha Kaise bhag rahi hai
Preeta follows her to Karan's place
Karan : bhai kaha se holi khel kar aaya hai tu teri favorite shirt thi na
Rishab : yaar woh
"Favorite, hey Bhagwan " maya shouts scaring them
Rishab : tum phir aa gayi yaha areey mujhe baksh do (folds his hands)
Maya : ek Mauka toh dijiye apni galti sudharne ka kab tak woh daag nahi jayega na mujhe shanti nahi milegi
Rishab : hey Bhagwan kaha phas gaya
Preeta : rishab ji (whispers) yeh na OCD ki bimari hai Mann jaiye
Karan : bhai kitni cute hai kitne pyar se keh rahi , ache se teri shirt saaf kardegi chal de de (tries to remove)
Rishab : kya kar raha hai
Sameer : areey devio zara bahar jao ya aakhne band karo bhai vastra badal rahe hai
Rishab : marunga tum dono ko(goes inside room to change)
Karan : kitna lucky hai tu bechari samne se aayi hai iske baju mein jo khadi na kareli ki ambassador mujh par juice giraya dhona toh dur ek sorry bolne mein iski akkad beech mein aati
Preeta : arrey o chalte phir te self obsession ke kide Main koi OCD nahi hu (sees Maya pout) mera matlab nai main bahut hi sidhi aur shareef hu
Karan (laughs): actually yeh comparison list se ek dum dur hai khudh ke andar itni saari Akkad bhari Pari hai
Rishab : yeh lo (gives his shirt) motarma ab toh mera peecha chodh do
Maya : woh toh jab main aapki shirt clean karke hi milegi, thank you
Karan : kitna lucky hai bhai kisi ladki ne aake tujhse maafi mangi bechari teri shirt tak saaf karne ko ready hai aur inko dekho
Preeta : areey o tumhari shirt saaf karna toh dur agar haat aaya toh usse phad dungi
Maya ; nahiii (shouts out) dekh mere samne aisi baatein mat kar Preeta
Preeta : yaar maya yeh kaam tha tu bhi aa gayi uss pagalo ki gang mein
Karan ; meri dost ko kuch mat bolna samjhi
"Warna kya karloge " Preeta jerks his finger
Karan (smirks) : babydoll lagta hai tum bhul gayi yaad hai maine sophia se kaise peecha chudaya tha tumhari help se
Preeta recalls how karan used her to get rid of Sophia earlier. She runs away hurriedly while he laughs loudly
On road
Prithvi sees Sameer standing near bus station and smirks
"Kya dina aa gaye hai, jo kabhi shaandar gadiyo mein ghumta tha aaj taxi ke liye wait kar raha hai" Prithvi mocks at him
Sameer ; areey dekho kya zamana hai ek kahavat sahi hai, kutte ki dum kabhi sidhi nahi ho sakti itni insult ke baad bhi mere samne khada hai
Prithvi controls his anger and thinks to instigate him
Sameer : nikal yaha se chal
Prithvi : tum mujhe apna dushman mat mano sameer, areey main tumhara sahi dost hu, woh luthra bhai tumhe koi apna bhai nahi mante
"Teri toh (is about to punch him) ek aur galat baat nikali na muh se toh kutte se bhi battar halat kardunga teri samjha" Sameer gets angry on him
Prithvi ; sach keh raha hu mein areey sage sage hote hai, woh rishab usne hamesha tumhe apne pairo ke neeche rakha tum usse apna bhai mante ho aur lekin woh sirf tujhe ek naukar samjhta hai aur phir woh Kareena luthra
Sameer fists in anger recalling how Rishab and Kareena were insulting him
Prithvi : kal ko agar shrishti bhi aisa kare toh, woh uss karan ke peeche pagal hai aur tum uske bhai isliye tere peeche bhagti hai
Sameer punches him with red eyes
Prithvi : meri baat mano sameer, chodh do yeh sab main tumhe kaha se kaha pahuchaunga (leaves from there with smirk)
Sameer keeps standing there
Other side Ruchika is coming from somewhere where she collides with Sherlyn
Sherlyn : kya halat bana rakhi apni very bad
Roo : tu kahe toh teri bhi halat sahi kardu, yeh jo chehra hai uska pura naksha badal deti hu
Sherlyn : ruchika kya kar rahi ho apni zindagi ke saath
Roo ; oo chudail main na ache kaam ke liye ja rahi hu isliye apni manhoos shakal lekar ja yaha se varna kuch bura hoga
Sherlyn : isse jyada toh kya bura hoga tumhare saath, socho Ruchika luthra jo itne bade ghar mein pali badi, aaj 24/7 ki jobs dhudh rahi hai
Ruchika is little affected by Sherlyn's words and how her friends insulted her recently
Sherlyn : dekha maine kaise tumhari apni dost ne tumhe apne group se nikal diya kyuki ab toh tum ek chawl mein rehne wali ho naki woh jo queen bee hua karti thi
Ruchika slaps on her face and leaves from there while sherlyn smirks
Precap
Argument, disappointment, love
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top