Chapter 86

Mumbai

Suhani sees Kabir working on something in his laptop and looks at locket with keen eyes

"Kabir" she calls him sweetly

He looks around

Suhani ; main yaha khadi hu waha kya dekh rahe ho

Kabir : tum mujhe bula rahi ho na, woh kya hai na mujhe laga ki mere kaan baj rahe hai, my ear drums are playing drums (laughs)

He stops seeing her glare

Kabir ; sorry bolo aapne mujhe kaise yaad kiya aaj (rubs his ears)

Suhani ; apni aankhen bandh karo na please

Kabir ; kyu?

Suhani : please karo na

He closes eyes. She puts locket around his neck

Kabir ; ab yeh kya naya invention hai, tum scientist toh lagti nahi hai

Suhani ; kya kabir, aaj meri friend aayi thi usne yeh diya hai aur kaha ki iske bahut saare benefits hai, aaj ke liye pehen lo please

Kabir : nahi tumhe toh pata hai na yeh sab mujhe pasand nahi hai toh aap pehen lo thank you

Suhani loses her temper but controls herself

Kabir ; kya hua, koi aur surprise hai mere liye

Suhani ; main itne pyar se tumhare liye kuch layi hu aur tum isse thukra rahe ho, yehi hai tumhara pyar

Kabir : acting achi kar leti ho lekin aaj maine nirnay liya hai ki Kabir Gharewal isse nahi pehnega yeh uska aadesh hai

"Aadesh ke pujari kaise nahi pehnoge (throws things at him) kabse itne pyar se mana rahi hu lekin itne nakre tumhare" Suhani loses her temper

Kabir : police wale ki biwi ho kar uss par hamla kya kahenge log yaar, suhani stop it

Suhani (pins him on bed) : dekho chup chap yeh pehen lo varna aaj biwi nahi Maa durga ka roop dekhoge bolo dekhna hai

He nods no fearly and wears locket

Kabir ; lo pehen liye

She burst into laugh and run away

Kabir ; iski hasi kisi danger sign se kam nahi hai yaar aise kya karne wali hai, hey bhagwan apne bhaqt ko apne paas jaldi mat bula lena

Kritika's room

Akshay does meditation in his room while she sees him with smile.

"Ho gaya chalo aab aaram farmate hai, devi ji aap hum iss tarah se kyu dekh rahi hai" he sees Kritika staring at him

Kritika : who is devi ji? aaha correction I am patni ji, meri ek duvidha hai

Akshay ; ha toh bataiye patni ji kya duvidha hai aapko

Kritika (fakes little tears) ; pata hai hai mom kehti thi ki pati hamesha devta hota hai, hamesha usse bhagwan ke barabar manna chaiye aur uski har khushi ka dhyan rakhna chaiye

Akshay : avashya balike mera matlab patne, aage boliye

Kritika : aur issi baat ko sabit karne ke liye yeh layi hu aapke liye (shows him locket)

Akshay : yeh kaunsa naya yantra hai aur iska janam kab hua

Kritika : aaj hi hua (chuckles) I mean hamari saheli ki dost ne diya hai bahut hi chamatkarik yantra na na isse ratna kehte hai aur isse pati ki raksha hoti hai

Akshay : acha kaunse mahan gyani ne kaha yeh, hume bhi toh milao uss uch vichar vale vyakti se kabhi (irritates her more)

Kritika (controls her tears) : mere swami, yeh sawal aap kal unki sabha mein puch lena jo woh rakhne wali hai

Akshay : kaunsi sabha waise

Kritika : inn ratno ke chamatkar ka pati dev, bahut saare faide hai iss mein lekin woh kal aapko ratnawali batayegi

Akshay ; acha toh aap humse kya mang rahi hai

Kritika : ki aap isse apne gale mein daalein aur apni patni ka tofa swikar kijiye

Akshay : shama kijiye biwi ji lekin hum bina jankari ke koi bhi yantra stamal nahi karte kripa karke isse lauta de, dhanyavad sabha barghast hui namaste

"Dhanyavad ke bacche (shouts at him) itni hindi phad sakte ho lekin biwi ka diya hua ek locket nahi pehen sakte kis tarah ke pati ho tum ha" Kritika burst into tears while shouting

Akshay : areey aap toh bura mann gayi

Kritika (jerks his hands) : baat mat karo mujhse (cries loudly) koi pyar nahi karta mujhse, jakar mere bhaiyo aur Ishaan ko dekho kitna pyar karte hai apni biwi se bina sawal kiye sabne locket pehen liye, kabir ne bhi

Akshay : sab ne pehen liye?

Kritika : ha aur tumhe dekho dena toh dur jo de rahi ho woh bhi thukra rahe ho, I hate you

Akshay : mujhe kya pata tha ki tum itni emotional ho jaogi, lo pehen liya maine (wears locket)

Kritika : theek hai (says sadly) kal agar pasand aaye toh kehna

Akshay ; ab main sone jau please (she nods)

"Yess finally sabne yeh locket pehen hi liya, ab dekhna mere history ki paidaish dekhe toh kitna purana hai tumhara pyar" Kritika sees him with smirk

Next day

Ladies get excited to see the color of their ratnas changing to see their husband's love

Suhani : girls kisi ke pati ko koi shaq toh nahi hua na

Roo : di, isko dekh kar toh shaq bhi bechara bhag jaye itne sawal

Kritika ; sahi mein yaar isse ache toh hamare bhai hai becharo ne kuch kaha nahi aur pehen liya

Preeta : areey o bhai ki behen itna gane ki zarurat nahi hai apne bhaiyo ki samjhi, tera woh flirt bhai mano jaise locket nahi koi kanta pehna rahe ho gale mein sawal pe sawal

Radhika : yeh sab baatein chodho, suhani woh apni friend se pucho na kaha tak pahunchi

Suhani : ha woh raaste mein hai lekin ladies make sure kisi bhi pati ko shaq na ho jab tak ratnawali nahi aa jati, aur thodi der mein hamare ghar aa jao

"Ha ha chalo bye" girls hang out

Karan : yaar bhai mujhe na kisi cheez ki smell aa rahi hai

Rishab : kis ki mujhe toh nahi aa rahi, ek kaam kar perfume laga le thoda sa

Karan : areey mera matlab hai ki daal mein kuch kala hai, yeh biwi ya hamari kuch toh chupa rahi hai humse

Ishaan : sahi keh rahe ho aap bhai, jiss tarah se locket kal pehnaya hai na itna toh shayad shaadi ke liye bhi utsukta nahi honge inke andar

Akshay : lekin iska secret ho ga kya

Sameer : areey unhone kaha na ki woh ratnawali aayegi aur iske faida batayegi

Kabir : mere bhole panchi, tu nahi samjhega biwi ko handle karna koi aasan kaam hai kya, koi na koi khichdi pak rahi hai andar

Akshay ; ha yaar aur hume khichdi khane nahi bulaya galat baat hai yeh

Karan : chup kar, yaha jaan nikal rahi hai aur tujhe khane ki padi hai

Rishab ; aisa hai toh direct confront kar lete hai na abhi bula lo dudh ka dudh ho jayega

Karan ; ha yeh sahi hai, preeta

"Roo, kritika, Suhani, Radhika, Shrishti" all calls out

Shrishti ; yeh log chilla kyu rahe hai

Preeta ; hello shant shant, sirf hume awaz deni hai na aaju baju wale padosi ko nahi

Karan : lekin yaha iss society mein toh koi hai hi nahi sirf hum log hai

Preeta : kyu woh samne colony nahi dikh rahi tumhe aankhen check karao pani

Karan ; woh baadmein check karaunga pehle apna dimaag chalao aur batao ki yeh ratna ka secret hai kya

Preeta : what secret?

Karan ; tumhe kya english bhi samaj nahi aati, shudh hindi mein samjhau

Roo ; lekin woh mujhe samaj nahi aayegi bhai english is better, national language hai hamari

Ishaan : oh modern zamane ki angrez, rashtra bhasha hindi hai english nahi

Kabir : areey yeh log priya bhasha ka debate baadmein kar lena

Suhani : kaun priya? kaun priya (shouts) tumne mujhe kabhi bataya nahi

Kabir : yaar, priya meri dusri biwi aur tumhari sautan hai bas happy

Suhani ; kya bole (lifts her sleeve)

"Yeh toh hamesha karate chops aazma leti hai mujh par" Kabir cries like kid hiding with Karan

Rishab ; yeh sab bakwaas chodho aur hume batao ki yeh locket ka secret kya hai jo kal aap sabne hume itne pyar se pehnaya

Preeta : rishab ji gift toh pyar se hi dete hai na aap sab ko pasand nahi aaya

Karan : yaha dekh kar baat karo pehle aur mujhse baat karo, bhai ko uski setting mera matlab uski radhika puch legi

Noise of horn beep

Suhani : areey ratna come

Ratnavali ; hello everyone

Suhani ; yeh hamare husband hai (gives her introduction)

Ratnavali ; umm maine vaha se dekha kuch serious discussion chal raha tha any problem

Suhani :chaliye andar chal kar baat karte hai

Karan ; ha toh Ms beauty (sees preeta's glare) I mean Ratna ji hume iss ratna ka secret janna hai jiska code aapke paas hai

Ratnavali ; oo la la itni besabri, waise yeh ek love test ki tarah hai jo mann ke bhav se body ki energy badalte hai

Ishaan ; madam ji hume itni hindi nahi aati simple bhasha mein samjhaiye

Ratnavali : matlab yeh jo ratna aapke gale mein hai woh koi mamuli nahi hai balki yeh mann ke bhav batate hai, jisse yeh pata chalta hai ki aap apni patni se kitna pyar karte hai aur agar kisi ke bhi ratna ka rang kala ho gaya toh

Karan ; kya matlab kala hua toh

Ratna : iska matlab aap kisi aur se pyar karte hai apni biwi se nahi, aur isliye aapki biwiyo ne aapko sach nahi bataya kyuki maine hi unhe mana kiya tha

Rishab : what? I don't believe this radhika yeh sab kya hai

Karan ; lekin aapke paas kya proof hai ki yeh sach kehte hai

Ishaan ; ha can you prove scientifically ki yeh sach hai

Roo : iska toh science se alag hi rishta hai

Ratna : dekhiye insaan jhut bol sakte hai lekin mere ratna kabhi nahi aur main inhe hazar logo kar aazma chuki hu

Radhika ; dekhiye hume galat mat samaj na humne toh sirf issi baat se yeh locket pehnaya tha jab yeh ratna hamare pyar ki gavahi de

Karan : kyu inn ratno mein kya judge ka auda hai jo patthar ki lakeer hoga

Preeta : karan please mann jao na, isse test nahi sirf ek game hi samaj lo

Husbands hesitates initially but agrees. Ratna calls Suhani and Kabir first

Ratna : laiye dijiye apna ratna (holds his locket) darling ratna jo chupa hai usse dikha de aur jo inke mann mein hai woh dikha de

Ratna turns red

Suhani ; thank god

Ratna : congrats suhani, iske laal hone ka matlab kabir aapse bahut pyar karte hai, aisa pyar jo kisi bhi daire ko nahi manta

Kabir : thank you ek aap hi hai jisne sahi parkha hai mere pyar ko

Suhani hugs him with smile

Next is Rishab Radhika

Ratna : please come (holds his locket) darling ratna jo chupa hai usse dikha de aur jo inke mann mein hai woh dikha de

Radhika keeps praying

Ratna turns yellow

Rishab ; yeh toh yellow ho gaya

Ratna ; iska matlab yeh hai ki aap dono ka pyar evergreen hai, mubarak ho

Radhika : thank you

Ratna : aab baari hai kritika aur akshay aap

Kritika : ha ha chalo

Ratna : laiye apne locket (holds his locket) darling ratna jo chupa hai usse dikha de aur jo inke mann mein hai woh dikha de

Akshay's ratna turns blue

Kritika : shukhar hai kala nahi hua

Akshay ; kya kaha

Ratna ; kritika darne ki koi baat nahi hai yeh toh acha hai, matlab yeh inka dil aasman ki tarah bada hai jisme asim pyar hai aapke liye

Kritika : thank you

Roo : haww di aap kitna blush kar rahi ho, thoda sa bacha kar rakho

Ratna : toh ab hai karan aur preeta aaiye please

Karan ; yeh lo ji, jo test karni hai karlo dekhna ismein toh koi shaq nahi hai ki yeh ratna ka color (goes into thinking)

Preeta ; please kala mat bolna

Karan ; main toh yehi bolne wala tha yaar, kyuki main tumse nahi kisi aur se jo pyar karta hu

Preeta ; kisse (asks angrily) jaldi bolo

Karan (in her ears loudly) ; mahi se

She rubs her ears and give him annoying look

Ratna ; (holds his locket) darling ratna jo chupa hai usse dikha de aur jo inke mann mein hai woh dikha de

All looks on with anxiety but suddenly ratna breaks

Preeta : yeh toh tut gaya, kya kiya tumne karan

Karan ; maine kuch nahi kiya aur kaanch ka tutna toh acha hota hai na

Preeta : beakkal ladke kaanch nahi ratna hai yeh, tumne kuch kiya hai na, jab dekho haath pair chalate rehte ho

Shrishti : nai nai di mere karan sir aise bilkul nahi hai

Preeta ; acha toh kaise hai, mujhe pata hai iska rang kala na ho isliye isne ratna hi tod diya

Karan : kaunsa galat saman aa gaya tumhare dimag ke godown mein, kuch bhi matlab agar mujhe pata hota toh kya subah gala phad kar tumse puchta kya ki preeta devi iss ratna ka secret kya hai

Preeta: mujhe kya bewakoof samjte ho

Ratna : areey cool down, please itna panic mat hoiye

Karan ; aap please jaldi bataiye na ki yeh crack kaise ho gaya

Preeta: tumhare dimaag ki tarah yeh bhi crack ho gaya, ratnawali very sorry aapka nuksaan ho gaya iski wajah se

Ratna : areey nai nai aisa kuch nahi hai, yeh ratna inke pyar ki vajah se hi tuta hai (karan sees preeta with dead shot eyes) jab bhi kisi pati ke andar itna pyar bhara ho aur inke jaisa joshila pyar ho toh uski urjhai ratna jhel nahi pata isliye crack ho gaya

All laughs

Karan ; idhar dekho ab bolo, taala kyu lag gaya muh par ha

She hugs him emotionally

Ishaan : bhai aise hi romance karte rahe toh hamara turn nahi aayega please aa jao na

Roo ; badi jaldi ho rahi hai tumhe

Ishaan ; kya hai na exam ho ya test hamesha prepared rehna chaiye

Ratna : please come aap dono

Rishab ; kya lagta hai iska ratna ke color kya hoga

Shrishti ; of course kala hoga

Kritika : ayee chup kya bol rahi hai tu shrishti shub shub bol

Radhika ; shrishti kaali zuban hai teri mera bhai aisa nahi hai

Shrishti ; kal yehi toh bol rahi thi ishaan uski saut matlab computer ko usse jyada pyar karta hai (laughs)

Sameer : chup karo shrishti

Ratna of Ishaan turns pink

Roo ; wow pink

Ratna : waise roo tumhara prediction galat nikla ha

Ishaan ; kaisa prediction

Roo ; kuch nahi kuch nahi

Ishaan ; unse puch raha hu bataiye na

Ratna : aapki wife keh rahi thi aap apne kaam ko usse jyada pyar karte hai lekin yeh baat toh wrong prove ho gayi

Shrishti : sabse chote yeh dono the lekin number hamara end mein aaya aisa kya special hoga hamare saath

Ratna : ha toh shrishti aur sameer please come aab aap dono hi bache hai

Preeta ; ja na

Ratna : (holds his locket) darling ratna jo chupa hai usse dikha de aur jo inke mann mein hai woh dikha de

It takes little while confusing everybody. Much to their shock ratna turns black. All stands up shockingly

Kabir ; ka...kala ho gaya yeh toh

Sameer : nahi shrishti yeh sab jhut hai

Ratna ; sameer iss locket ke kale hone kat matlab yeh hai ki aap apni biwi se nahi kisi aur se pyar karte hai

Karan ; yeh aap kya bakwaas kar rahi hai aap, sameer hamara bhai itne saal se jante hai bechara kisi ladki ko behen ke alave koi nazar se nahi dekhta sirf woh kya hum bhi

Preeta ; abhi uski baat ho rahi hai tumhari nai

Shrishti ; mujhe pata hai sameer kisse pyar karta hai

Suhani : shrishti kya bol rahi hai tu

Shrishti ; ha suhani mujhe pata hai (sees him with smile)

Preeta : tu has rahi hai matlab kuch gadbad hai

Shrishti : matlab yeh ki sameer hamare hone wale bacche ko mujhse jyada pyar karta hai (laughs)

Preeta : kya? matlab tu

Shrishti ; ha di main maa banne wali hu aur yeh baat toh hum dono ke pichle kahi hafto se pata hai lekin aap sab ko surprise dena chahte the

Preeta : acha toh yehi din mila tha tujhe surprise dene ka kitni badi drameebaaz hai tu

Shrishti ; sorry sameer, lekin ratna vali se maine kaha tha ki iss ratna ka rang kala karde (holds her ears) mujhe ache se pata hai tum kisi aur ki taraf toh dekh hi nahi sakte

Kabir ; tune toh hum sabko dara diya yaar

Kritika ; congratulations (hugs her happily)

Later in evening Rishab lights up the candle in the room while radhika is out

Rishab : ab bachkar kaha jaogi meri possessive queen aaj ki raat toh bahut khubsurat hogi hamare liye

Radhika comes back only to find their room decorated with her favorite flowers and candles

"Wow, rishab kaha ho jaldi bahar aao" Radhika looks for him

Her eyes goes on a packet on table. She opens to find silver white sleeveless saree

"Jaldi se isse peheniye taaki hum apne chand ko ache se nihare aaj ki raat" Radhika blushes reading his letter

She comes in front of him wearing saree

Rishab : kya baat hai, aaj toh yeh chand bhi mera aur uski chandni bhi

Radhika stands at window blushing hard. Rishab gives her back hug holding tightly...she leans her head toh him

Rishab : kya dekh rahi ho

Radhika : kuch nahi sab kuch kaise shant ho gaya na jaise baarish ke baad aasman saaf ho jata hai (turns to him)

Rishab : lekin aaj ke baad hamari zindagi mein kabhi koi badal nahi aayega I promise

He leans to her..she closes her eyes. Both kiss each other passionately

Wind blows on their face. She starts to leave when he holds her saree pallu. He parts her hair from shoulder kissing near neck, ear lobes.

Radhika : aaj main bahut khush hu Rishab, mujhe apna bana lo hamesha ke liye takhi phir koi hamare beech na aaye

Rishab : bahut hurt kiya na maine tumhe, I am sorry for everything

Radhika : rishab aaj ke baad kabhi mera bharosa mat todna phir se (puts his hand on her head) varna iss baar main nahi seh paungi

Rishab kiss her forehead and her tears. Both have very intense eye lock

Baahon ke darmiyaan do pyaar mil rahe hain
Baahon ke darmiyaan do pyaar mil rahe hainJaane kya bole mann dole sunke badan


She feed him lovingly. Both dances putting music on

Dhadkan bani zubaanBaahon ke darmiyaan do pyaar mil rahe hainJaane kya bole mann dole sunke badan


He decorates night life stars in room to fulfill her wish of touching stars and sky

Dhadkan bani zubaan
Baahon ke darmiyaan
Khulte badn hote labhon ki ye ankahi
Khulte badn hote labhon ki ye ankahi


Their hands crosses very tightly sharing kiss

Mujhse keh rahi hai ki badhne de bekhudi
Mil yoon ki daud jaayein nas nas mein bijliyaan
Baahon ke darmiyaan do pyaar mil rahe hain
Jaane kya bole mann dole sunke badan
Dhadkan bani zubaan
Baahon ke darmiyaan


Both consummates their marriage again after facing long turmoil

Other side Ishaan too plans small candle light dinner for Roo when she is at work

Ishaan ; ho gaya (sees his laptop) hmm sorry laptop lekin aaj ke liye tumhe jana hoga kahi aur kyuki meri Roo hai mujhse naraz manna toh padega (puts in closet)

Roo comes back from tiring day and keeps yawning

"Itni neend aa rahi hai aur yeh room dekh kar toh aur bhi jyada kya decoration hai jisne bhi ki hai kitna creative hoga" Roo sees her picture with ishaan

He smirks seeing her from back

Roo ; areey yeh toh mera room hai sach mein wow, aaj aisa lagta hai ki main jannat mein hu lekin mere ishaan ke bina toh maaza nahi aayega

Ishaan (holds her from back) : toh apne ishaan ko bhi lekar jao apne saath bahut maaza aayega

Roo : kya baat hai, itna pyar lagta hai finally mujhe meri sautan se chutkara mil hi gaya

Ishaan ; nahi maine usse kuch ghanto ke liye chutti di hai

Roo ; kya (pushes him away)

Ishaan : sorry yaar mazak kar raha hu just chill, aaj no kaam sirf romance happy (kiss her head)

Roo : very happy, mujhe bahut bhuk lagi hai subah se kuch nahi khaya maine

Ishaan ; maine bhi kuch nahi khaya (mimics her) go and get changed phir saath mein khate hai

Roo ; abhi aati hu

After dinner both sits at window gazing outside holding hands

Roo : ishaan pata hai aaj kitne dino baad sukoon sa mil raha hai, tum nahi jante uss din tumse jane ka khyal mujhe andar se maar raha tha

Ishaan : I am really sorry, bahut hurt kiya tumhe uss din lekin tumhare alava toh koi aur hai bhi nahi tum sab hi meri duniya ho

Roo (cups his face) : kabhi mat kehna ki tum akele ho, yeh ruchika sirf tumhari hai koi nahi lekar ja sakta tumhe mujhse dur

Ishaan : I love you (hugs her tightly) ek tum hi toh ho jo iss defective software ko chala sakti ho

Roo ; nahi itne bhi bure nahi ho

Ishaan : woh toh nahi hu kyuki tum toh full crack ho

"chodungi nahi tumhe ishaan" Roo starts hitting him

Both shares eye lock. He caresses her tresses and push behind her ears

Aasmaan ko bhi ye haseen raaz hai pasand
Aasmaan ko bhi ye haseen raaz hai pasand
Uljhi uljhi saanson ki aawaaz hai pasand

He leans to her...she closed her eyes. Both kissed each other passionately

Moti luta rahi hai saawan ki badliyaan
Baahon ke darmiyaan do pyaar mil rahe hain

They break kiss out of breath. Roo starts to move but he lifts her in arms

Baahon ke darmiyaan do pyaar mil rahe hain
Jaane kya bole mann dole sunke badan
Dhadkan bani zubaan
Baahon ke darmiyaan

Roo : aaj phir iss ruchika ko apna bana lo hamesha ke liye

He smiles and kiss her forehead. Both makes their night very blissful

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top