Chapter 80

Police station

Kritika ; finger prints Radhika ke hai (sees her shockingly)

All looks at her with million questions

Karan : yeh kya bakwaas hai yaar, radhika aisa nahi kar sakti, tu bata na tu lawyer hai

Kritika ; ek minute bhai, radhika please hume batao ki yeh sab kya hai tumhare finger prints kaha se aaye iss par

Harsh ; Wakil madam yeh interrogation karna hamar farz hai aap kyu takleef le rahi hai, aap apni detective game baad mein khel lena

Kritka (interrupts him) : main apni client se baat kar rahi hu, aur koi mujhe rok nahi sakta apna kaam karne se, radhika chal mere saath (takes her to another side)

Rishab follows them

Kritika : dekh mujhe zara sa bhi gol mat ghumana jo hai bata de varna teri help nahi kar paungi iss baar, ishaan ko toh bacha liya lekin agar tere facts mein kuch reh gaya you will be in trouble

Radhika (nervously) : main gyi thi malini ke ghar (stammers)

Rishab : lekin kyu

Kritika : bhai one second, usse bolne do na please, radhika tu bata kya hua

Radhika : court ke baad ghar par maine malini ka bag dekha tha usmein kuch tasveere thi, mujhe pata nahi usse dekh kar shaq hua isliye usse milne gayi thi lekin

Flashback

Radhika goes to meet malini at her house but finds nobody there.

"Phir main usse milne uske room mein gayi waha bhi koi nahi tha, lekin jab wapas neeche aayi tab uski laash dekhi table ke paas, bahut daar gayi thi uss waqt bata bhi toh nahi sakti thi kisi ko kya bata ti jab mujhe khudh kuch pata nahi tha" Radhika accidentally touches knife while turning Malini around

She runs away from there

Flashback ends

Rishab : yeh sab tumne hume pehle kyu nahi bataya

Radhika : kaise batati main khudh uss waqt dari hui thi aur agar batati toh shayad main khudh hi fas jati

Kritika goes out

Harsh ; ha wakil sahiba bataiye kya bolna hai, ho gayi aapki interrogation (sees her crossing arms) toh kya hum aapke client ko lekar ja sakte hai

Kritika holds his hands from leaving. He sees her surprisingly

"Radhika is still just a suspect, yeh baat abhi tak prove nahi hui hai that is real culprit, I need time to gather proof, aur jab tak yeh baat sabit nahi ho jati you can't keep her in custody" Kritika tells him sternly

Harsh : lekin evidence points towards her, aur yeh baat aap bhi janthi hai

Kritika : radhika jail nahi jayegi, agar galti se bhi usne khoon kiya hoga toh main usse khudh yaha lakar surrender karva dungi I promise

Harsh : fine 5 days, agar iss time tak aapne koi proof nahi diya I will have no choice rather than arresting her, jane se pehle kya dusre dono suspects se puch lu zara

Kritika : sure

Harsh : patil yeh dono bhai behen ko andar lekar ja investigation ke liye

Rishab and Roo goes inside giving their statement

Karan : ek baat toh bata kritika mera sixth sense yeh kyu kehta hai ki tum dono pakke dushman ho pichle janam se

Preeta ; janam se nahi self obsession ki haadh, saalo se

Karan : acha tumhe kaise pata dumbo doctor, tumhe toh patient aur hospital ke alava aur koi bhasha bhi toh nai aati

She stamps on his feets

Kritika : lambi kahani hai bhai, baad mein batungi pehle yeh kahani khatam ho jaye, radhika pata nahi kaunsi tasveero ki baat kar rahi thi woh hai kaha

Radhika : woh toh malini ke ghar par reh gayi

Ishaan : kya yaar di ek photo le jati saari kya zarurat thi le jane ki

Shrishti : tu toh rehne de beta, bechari khudh itni dari hui thi ho gayi galti usse kya pata tha

Sameer ; ha toh ishaan ko bhi thodi na sapna aaya tha ki yeh malini kaunsa jhal bicha rahi hai, soch samaj kar bola karo

Preeta : chup ho jao sab yaar, pehle toh yeh socho ki hum uss insaan tak kaise pahuche jo malini ke saath uss tasveer mein hai, he must be our big clue

Karan : pehle yaha se nikle toh na, ghar jakar sochte hai lekin ek baat samaj nahi aai bhai aur roo waha kya karne gaye the

Preeta : bahar aayenge toh pata chal hi jayega na waise bhi unke sirf footprints match hote hai they are not at risk

Harsh : matlab aapne doctor ke saath wakalat ke maine bhi sikh liye good, kyu wakil sahiba lekin aapko bata du ki police station mein yeh detective wali baatein nahi karte

Kritika stands in front of him again. Rishab and Roo comes out

Harsh : jaiye wakil madam, aapka time shuru hota hai ab , 5 days or else game is over

Kritika : i love adventure, yeh game mein bahut maza aayega officer, see you soon

Everybody leaves. Harsh sees the picture suspiciously radhika dropped at malini's house

Luthra house

Kritika : Roo tu kyu gayi thi waha batayegi mujhe

Roo : uss chudail ko apna hissa dene mera matlab hai sabak sikhane, bahut din se haath saaf nahi kiye the na

All looks at her unbelievably

Kabir : agar khujli aa rahi thi toh dho leti na, gandgi se kyu saaf karne gayi thi

Suhani : kya bakwaas kar rahe ho yaar, thoda toh soch samaj kar bola karo, Roo aisa kaunsa karnama karne gayi thi tu

Roo : kuch nahi didi maine socha ki saza toh usse milni hai usko apni taraf se thoda prasad de du narak mein jo jane wali hai

Flashback

Roo comes at Malini's house in morning angrily

Malini : ab kya chaiye tumhe kyu aayi ho yaha

Roo : kya hai mere haath mein na badi khujli ho rahi thi, bahut time se saaf nahi kiye socha aaj kardu ek dum sahi jaga hai

Malini ; dekho abhi ke abhi niklo yaha se, varna security ko bulakar nikalva dungi

Roo ; chup chudail, raasi jal gayi baal nahi gaya na tera abhi tak (grabs her hair and throws on floor) mere ishaan ko bahut rulaya hai tune chodungi nai

Both girls have cat fight. Roo slaps her twice leaving marks

Flashback ends

Ishaan : prasad mandir mein diya jata hai kuch akal wakal hai ki nahi

Roo : tumse jyada akal hai mujhme samjhe na

Rishab ; shut up guys, hamare paas puri life hai bakwaas ke liye for now hume radhika ki innocence kaise sabit karni hai

Radhika runs to room quickly and starts looking around

Karan ; isko kya hua, dimaag ke page tight ho gaye kya

Preeta : uske ache tumhare dheele hai woh bhi bachpan se hai na bajarbattu kahi ke huh

Radhika finds the picture and shows to everybody

Ishaan : ab yeh kaunsa naya cartoon hai yaar

Shrishti shivers little seeing the picture and sees Preeta who consoles her

Radhika : isko kahi toh dekha hai lekin kaha yaad nahi aa raha

Karan : dimaag par thoda zor lagao bhabhi ji yaad aa jayega

Radhika : yaad aaya, yeh toh woh hi hai (takes picture from his hand) jisne alisha ko bheja tha shrishti par nazar rakhne ke liye

Preeta : kya? isne bheja tha alisha ko yaha meri jagah

Radhika : ha mujhe yaad hai jab alisha usse milne gayi thi mere kehne par tab maine isse dekha tha shrishti ke baare mein baat karte hue, lekin itna chalak tha alisha ko kuch nahi bataya isne

Rishab : shrishti tumhe toh pata hoga na

Shrishti sees them with fear

Precap

Thailand

Biggest jhatka

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top