Chapter 74
Dehradun
Radhika comes to meet Mahi at her boarding school
"Momzie" mahi hugs her with tears
Radhika (kiss her head): kaisa hai mera baccha, I am so sorry momzie aap se milne nahi aayi na
Mahi : mujhe yaha nahi rehna I want to go home please
Radhika : listen to me mahi, aapke Mom Dad bahut acha hai aapke ache ke liye unhone yaha bheja naye logo se miloge, naye dost banoge hai na
She nods
Mahi : yeh Kya hai
Radhika : aap guess karo , jaldi se
Mahi : wow meri favorite Matar paneer (opens the tiffin box) yummy
Radhika : ab jaldi se batao kaisa hai aapki mumma ki tarah toh nahi aata (pouts)
Mahi : bahut tasty hai Lekin aap bhi mujhse milne nai aaoge mumma ki tarah
Radhika: aisa kabhi ho sakta hai, momzie ko aapke bina chen kaha main every two weeks aaungi aap se milne
Mahi : promise
"pinky promise " Radhika kiss her forehead and gifts a drawing book
Mahi : sketch book
Radhika : ha aap ko jab bhi meri ya mumma papa ki yaad aaye na tab isme pyari si drawing bana lena theek hai
Mahi : okay momzie love you
Luthra house
Radhika comes back much to Malini's displeasure
Malini ; badi begarat ho tum yaar itna sab hone ke baad bhi
"Ha kyuki Radhika apna kuch bhi nahi baat ti na pyar aur na apni cheez, ya toh sharafat se chali ja ya phir taiyaar ho ja hazar maut marne ke liye iss ghar mein mere haatho" Radhika twists her hands throwing on floor
Malini : tumne mujhe dhakka diya
Radhika : kya kar logi, marogi, lo tumhare samne khadi hu kuch bhi toh nahi kar payi ho aaj tak you know what Malini main tum jeso se darti nahi hu ek baar galti ki thi tumhari jaisi ek ko chodh kar lekin phir bhi usse upar pahucha diya tumhara kya haal karungi soch bhi nahi sakti
Malini : kuch nahi bigad paogi mera aur agar tumne koshish bhi ki na, keemat chukao gi uski
Radhika : you know main yaha vapas kyu aayi hu, tumhe hamari zindagi se bahar nikalne ke liye hamesha ke liye
Malini clutches her neck
"Rishab sirf mera hai aur koi mujhe usse nahi cheen sakta tu bhi nahi" Malini says obsessively
Radhika kicks her on table angrily and leaves. She is again broken seeing rishab condition more than death
Karan : radhs (hugs her) I am so happy to see you back
Preeta : iss ghar ki roshni vapas aa gayi woh bhi dashere se pehle
Radhika : hamesha ki tarah iss baar bhi jeet sach ki hogi , aane wale dasherra se pehle yeh burai khatam ho jayegi
Preeta : phir toh aur bhi maaza aayega iss baar kyuki ravan ka anth toh hum karenge na
They put their hands together. Later Angad calls Malini to meet at dock yard. Roo follows her same place
Malini : kyu bulaya mujhe
Angad : toh tum mujhe pehchanti bhi ho aur kyu nahi meri parchayi jo hai tumhare andar
Malini : bandh karo apni bakwaas aur chale jao yaha se jab mujhe tumhari zarurat thi you didn't support me
Angad : mujhse jhut bol rahi ho ya khudh se har kadam par tumhara saath diya apne dil par patthar rakh kar jaan se jyada pyar kiya
Malini : really Isliye palak jhapak te hi uss Ruchika ko dil de bethe please don't even lie to me okay
Roo remains shocked
Angad : tumne kuch chodha hai jo mein kisi aur se pyar karu, jisse tum pyar ka naam de rahi ho na woh mere liye sirf ek attraction hai tumhari tarah kisi aur ki amanat par haq nahi jama sakta
Roo feels guilty for holding him responsible for everything
Malini : jo soch na hai soch lo Lekin main rishab ko apna bana ke rahungi, I don't care waise tumne mujhe diya hi kya hai aaj tak
"Yeh hai Kya cheez pata nahi kaunsi manhoos khadi mein sir ne isse pyar kiya" Roo says
Angad : mera pyar tumhare liye itna kam padh gaya I cant believe this, main toh tumhara intezzar kar raha tha
Malini : tumhari baatein mujhe kamzor nahi bana sakti Angad you are nothing just a loser, kaha rishab aur kaha tum, dubara mujhe call mat karna (leaves him devastated)
Angad at his house keeps punching bag frustrated with Malini's words . He injures his hands again but does not feel pain
Roo comes to Angad's house after all drama she heard
Roo : sir please stop it aapka hath injured hai I beg of you (comes in between)
He is about to hit her but stops himself
Angad : just get out of here nikal jao yaha se tum bhi varna tum bhi wohi karegi
Roo : I am sorry sir
Angad : don't be I am sorry just leave yaar (breaks furniture angrily)
She hugs him slowly to calm him down
Roo : please khudh ko sambhaliye sir, kyu kisi dhokebaaz ke liye hurt kar rahe hai (cups his face)
Angad : tumne suna na usne kya kaha, she is right I am loser , itna kuch kiya uske liye par shayad mere pyar mein kami reh gayi thi
Roo keeps consoling him when ishaan spots them hugging. He claps sarcastically
Ishaan : wow toh yeh chal raha tha
Roo : ishaan listen to me
Ishaan : don't touch me (jerks her hands in anger) yeh tha tumhara tareeka mujhe mana ne ka
Roo (tears) : please meri baat toh suno ek baar
Ishaan ; tumne bhi wohi kiya jo tumhare rishab bhai ne kiya, tod di na hamari shaadi dikha di tumne mujhe bhi apni aukat
Angad tries to clear misunderstanding
Ishaan : sorry sir but I am not your employee aur waise bhi aapki kaha koi galti hai, thank you for everything ruchika, maar diya na hamare rishte ko
She nods no tearfully
Ishaan : aaj se tum aazad ho iss bandhan se (tries to remove her mangalsutra)
She jerks his hands angrily and leaves from there.
Precap
Malini accuses ishaan of harassing her
Karan gets shot while saving preeta from Malini's gun fire
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top