Chapter 68
Mumbai
Radhika decorates the room and house to surprise Rishab.
Radhika : ab dekhti hu Rishab luthra, kaise baat nahi karoge mujhse, aakhir pyar jo karte ho mujhse itna (puts their picture on table)
Soona Soona Lamha Lamha
Meri Rahein Tanha Tanha
Aakar Mujhe Tum Tham Lo
Manzil Teri Dekhe Rasta
She makes Rishab's favorite food in kitchen but burns her finger little bit
Preeta : kya karti hai, aaram se karna
Radhika : its okay yaar choti si toh chot hai
Mud Ke Zara Ab Dekh Lo
Aisa Milan Phir Ho Na Ho
Sab Kuch Mera Tum Hi To Ho
Radhika lights up candles in whole house and their room. She puts their big picture on wall
Bepanah Pyaar Hai Aaja
Tera Intezaar Hai Aaja
O Bepanah Pyaar Hai
AajaTera Intezaar Hai Aaja
She sets up the table
Soona Soona Lamha Lamha
Meri Rahein Tanha Tanha
"Please jaldi se aa jao Rishab, I am waiting, bahut intezar karvaya hai mujhe itne saal ab aur nahi hota come soon" Radhika waits for him desperately
Suhani's house
Karan : yeh sahi hai matlab pura ghar isne toh hatya liya yaar
Preeta : akal ke tattu tum mein koi akal naam ki cheez hai ki nahi, bechari radhika ne kitne pyar se ghar sazaya aur inhe dekho
Karan : ha tumne kabhi mujhe koi gift diya hai, chindi kahi ki jab dekho kanzoos ki tarah behave karti rehti ho
Preeta ; tumne mujhe kanzoos kaha (throws pillow at him) ek toh tum kam the jo tumhari xerox copy bhi aa gayi jab dekho tab kuch na kuch mangi rehti hai
Karan : meri beti ko kuch mat bolna yaar itni sweet si hai woh
Preeta : sweet? areey o khali godam zara shabd toh theek se bola karo
Suhani : stop it yaar tum dono thak te nahi ho kya jab dekho koi na koi topic par ladh jate ho waise aisa koi issue hai jo tum dono ne choda ho debate ke liye
Shrishti : hai na, ek dusre ka, shorty tum mujhse iss tarah se kyu dekh rahe ho
Sameer : tumhari himmat dekh raha hu lambu
Shrishti : bahut hai na
Sameer : kuch jyada hi
Akshay : rishab bhai aa gaye honge na abhi tak toh
Karan : pata nahi, bhai ko phone kiya tha lekin unhone uthaya nahi aa jayega
In kitchen
Suhani : kya hua Preeta, kya soch rahi ho
Preeta : kuch nahi, suhani you know ab toh mujhe bhi lagne laga hai radhika ki baaton se ki kuch gadbad zarur hai
Suhani : matlab main samjhi nahi
Preeta ; inke jadge khatam hone ka naam hi nahi le rahe upar se Rishab ji ka changed behavior, agar iss baar kuch galat hua toh Radhika nai seh payegi
Suhani : Preeta, she is very strong girl jisne toofan se dosti ki hai, woh sambhal legi itni tension mat lo okay everything will be fine I will be back
Preeta : I hope tumhari baat sahi ho Suhani
"Areey meri Preeta devi, kaha reh gayi bhuk lagi hai mujhe yaar jaldi aao na" Karan calls her
Preeta ; coming
Hotel
Malini deliberately injures herself at her home and her servant calls Rishab to come immediately
Rishab : kya hua tum theek ho na
Malini : areey maine mana kiya phir bhi, choti si chot hai mere pair mein moch aa gayi aur floor par glass tha toh
Rishab : first aid kaha hai
Malini : its really okay
Rishab : tum bata rahi ho ya nahi (gets angry at her) kitna khoon nikal raha hai
He puts medicine on her feet while she clutches his collar with closed eyes. She sees him very obsessively every moment
Rishab : apna khyal rakha karo na
Malini : tum ho na (says sweetly)
Rishab : ek baat batao, tum itni rich, succesful ho kabhi kisi se pyar nahi kiya
Malini (chuckles sadly) : aisa koi nahi mila jo iss dil ko samjhe uski kadar kare, not everybody is lucky like your wife
Rishab ; I could say I am lucky to have her in my life, you know college ke zamane se mere peeche pagal thi lekin kabhi uske dil ki baat nahi samaj paya
Malini : pyar bahut takleef bhi deta hai Rishab, maine bhi kisi se pyar kiya tha lekin waqt aane par usne mera saath nahi diya
Rishab : you know radhika ne hamesha mera saath diya har bure waqt mein lekin bechari hamesha hamari dushmani ki kemat chukati rahi par kabhi kuch nahi kaha
Malini clenches her fist angrily hearing Radhika's name and gets in tears
Rishab : kya hua tumhari aankh mein aansu
Malini : kuch nai tumne mujhe kisi ki yaad dila di yeh sab kehkar I will just be back
Later Malini shares her story with him about her past
Malini : pyar bahut takleef deta hai rishab, usne mujhe kabhi pyar nahi kiya sirf bade vaade karke chod diya aur iss akele pan sirf mere papa ka yeh business Sahara tha
Rishab puts hand on hers
"Bahut akeli ho gayi hu na pyar na koi dost yeh sab daulat ka kya faida jab iss kamyabi ki Khushi share karne wala koi nahi hai" she says with tears
Rishab (cups her face): Tum bahut achi ho jisne bhi tumhare saath yeh kiya usse kya pata usne kya khoya
Malini : Maine kabhi usse apne paas nahi aane diya shayad isliye usne mujhe chodh diya
Other side Angad is punching bag recalling past things angrily. He sweats badly and sees his picture with his fiancé on table
"aaj sirf tumhari vajah se mera pyar par se bharosa uth gaya Maine uss feelings ko andar maar diya I really hate you for this, kabhi meri zindagi mein vapas mat aana" Angad breaks the photo frame
Rishab and Malini unknowingly gets very intimate. He stops in midway recalling Radhika and leaves from there
Malini : jitna bhagna hai bhag lo mujhse rishab Lekin aana tumhe mere paas hoga Radhika ke jeete je ya uske marne ke baad (holds knife in her hands)
House
Karan and Preeta rest in room
Preeta : karan ice cream khani hai mujhe please chalo na
Karan : karan chalo na ice cream Khaate hai (mimics her) mausam dekho
Preeta gives him unbelievable look
Karan : tum mujhse iss tarah kyu dekh rahi ho jaise meri izzat lutne wali ho
"Sahi kaha mere pati dev (pins to wall) Lekin Tumhari izzat toh maine lut li hai aur Kya lutungi (caresses his face sensually" Preeta starts kissing on his neck
Karan : Dekho tum akele ladke ka faida nahi utha sakti I am the Karan luthra (shivers)
She kiss his both cheeks very sensually.
"Bilkul le sakti hu kyuki yeh mera haq hai Karan luthra biwi hu tumhari" preeta seals their lips very passionately
Karan (pulls her closer) : kya baat hai aaj bada pyar aa raha hai apne pati par
Preeta : karan kitne din ho Gaye hum kahi bahar nai gayi please kahi chalte hai
Karan : kaha jana hai ab tumhe
Preeta : kahi bhi just for an outing yeh mahul se dur sabke liye acha rahega
Karan : acha baba jayenge aaj ek baar bhai aur radhs ke beech sab theek ho jaye toh double maaza aayega
Preeta : Lekin theek ho jayega na
Karan : aree yaar woh Radhika hai ache se mana legi mere bhai ko
At night Rishab comes back home feeling guilty and sees Radhika sleeping on sofa downstairs
"I am sorry Radhika" he kiss her hands with tears
She wakes up with the movement and sees him
Radhika : Rishab kya hua
Rishab : mujhe maaf kardo, aaj tak jhut bola hai tumse maine
Radhika starts to get worried but gets major shocked when he reveals something she could never imagine
Radhika slaps hardly Rishab in front of everybody with tears
Karan : bhai (gets stopped by preeta)
Radhika (clutch his collar) : how dare you Rishab? itna bada dhoka diya mujhe, why, kya kami thi mere pyar mein
He looks down
"Kyu kiya aisa mere saath, mere pyar ka tamasha bana diya sabke samne" she breaks down with all shattered dreams
Rishab : mujhe jo saaza den chahti ho de do
Radhika (chuckles) : saaza toh mujhe mili hai tumse pyar karne ki kyu kiya yeh sab
Rishab : apni galti ki koi safai nai dunga tumhe sirf itna ki mere bas mein tha aur sab hota chala gaya
Radhika ; you know what galti tumhari nai meri hai that I trusted you just get out from my sight rishab
Rishab ; Radhika
Radhika : just get out (shouts out loud) varna main yaha se chali jaungi
Preeta : Radhika please calm down chalo mere saath (takes her to room)
Ishaan sees him angrily and goes inside. All leaves except Karan and Kritika
Karan : bhai yeh Kya kiya tune how could you do this yaar
He is not able to answer and goes outside
Kritika : Humne kya socha tha aur kya ho gaya bhai kuch karo
Karan : humse jitna ho sakta tha humne kiya ab aage jo hai Radhika karegi pata nai kya (leaves)
Kritika goes in her room.
"Tum jo bhi ho (Malini) hamare ghar ko barbad karne ki saza tumhe zarur dungi mein yeh Ruchika ka vaada hai tumse" Roo stands on stairs and decides to find Malini
Radhika sobs loudly in room breaking everything angrily. Preeta hugs her to console
Preeta : please calm down (rubs her back)
"Kyu Preeta aisa hamesha mere saath kyu hota hai Maine kabhi kisi ka bura nahi kiya phir kyu sab kuch mujhse dur ho jata hai, rishab ne mujhe itna bada dhokha kyu diya " Radhika does not stop crying
Preeta : main janti hu yeh tumhare liye aasan nahi hai please khudh ko sambhalo
Radhika : tum janti ho na main kitna pyar karti hu rishab se phir bhi unse mujhe thukra diya
Karan comes to meet her in room
"Main apne bhai ki koi justification nai dunga because I know usne galat kiya tumhare saath
please Radhika just one chance, bhai ko ek aur mauka de do , I can surely say he loves you a lot one last time"
Radhika decides to meet Rishab once more and goes to his office
Precap
Malini pregnant
Radhika leaves house
Preeta karan becomes spy to find about Malini
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top