Chapter 64

Mumbai

Karan comes to his room but this time is very uncomfortable to see Alisha

Alisha : please hume maaf kardo, yeh meri majboori thi marzi nahi I am sorry (folds hands in front of him)

Karan : mujhe nahi pata tumne yeh sab kyu kiya kaise kiya, lekin tum meri madad kar rahi ho wohi kaafi hai mere liye

Alisha : thank you, aap sab bahut khush kismat ho aisa parivar pa kar

Karan : aisi khush kismati kis kaam ki jaha sukoon hi nah ho aur woh sirf apne ghar walo se milta hai jo hamare paas nahi hai

Alisha : main samjhi nahi

Karan shares their pain to her shocking to the core about the phase everybody went through

Alisha : I am sorry

Karan : shayad tumse behtar yeh dard kaun samaj sakta hai

Alisha : sahi kaha aapne, hamare ma baap toh bachpan se hi nahi hai bas didi ka sahara tha woh bhi chali gayi sirf apni aakhri nishani chodh kar gai hamare liye

Karan : agar tumhari jagah koi aur hota toh shayad kaba woh baccha bhi apni ma ke paas hota, daat deta hu iss himmat ki waise bhi masi toh ma jaisi hoti hai na

Alisha : hamari jaan basti hai usme (shows picture of her niece) please Karan, bahut dur chale jayenge yaha se, aaj tak har acha bura kaam kiya sirf uske liye

Karan (wipes her tears) : kuch nahi hone dunga tum dono ko aur tumhari yeh bhaitji maut ko bhi hara degi

She hugs him tearfully. He is not able to reciprocate recalling Preeta

"Preeta I promise main tumhe vapas lekar aaunga, sahi salamat apne pyar ki kasam, agar meri ibadat sachi hai toh mera pyar tumhe lekar aayega" Karan says looking at sky

Alisha ; kuch socha hai kya karna hai aage

Karan : filhaal toh tum so jao abhi, waha bed par main bahar so jaunga

Alisha : nai nai hume aadat hai couch par sone ki (makes her bed)

Karan leaves room asking her to sleep

Radhika is putting Meera to sleep singing lullaby when Karan comes to her room

"Aao na" she says softly

Karan (kiss Meera's head) : arey mera baccha, aaja apne papa ke paas

She starts crying when Karan takes her from Radhika's hands

Radhika ; sorry woh neend mein hai

Karan : thank you for everything Radhika, itna sab hone ke baad bhi (folds his hands) ho sake toh hume maaf kar dena

Radhika : karan please (gets in tears) mujhse aisi koi baat mar karna jisse mein kamzor ho jau, mujhe aur guilty mat feel karvana

Karan : shayad galti hamari kismat ki hai jo baar baar aise do rahe par lake khada kar deta hai, meri preeta ki ger hazri mein tumne ma ki kami puri kar di, waise bhai kaha hai abhi tak nahi aaya woh

Radhika (gets hesitant) ; woh aaj kal late aate hai pata nahi

Karan : yeh sab kab tak chalta rahega (Sees her tensed) I am sorry tum so jao good night

She nods and closes door

Roo comes back home after the heavy storm moves away from city next day

Kritika ; Roo kaha thi tu, kabse phone kar rahi hu tujhe

Roo : sorry didi, woh toofan mein phas gayi thi aur phone switched off ho gaya tha

Kritika : thank god pata hai kitna pareshan ho gaye the hum tu raat bhar ghar nahi aayi toh

Roo ; sorry, di ishaan ghar pe hai na

Kritika ; nai

Roo : kaha gaya woh

Akshay : madam ab tere alava bechara kaha jayega (sees Kritika's death glare) I mean office chala gaya bechara subah

Roo : itni jaldi, meri neendh toh abhi puri bhi nahi hui aur woh khadus ne kaha hai 10 baje tak aa jana office mein

Kritika : tu pagal hai kya, apni halat dekh thoda aaram karle phir jana tabeet kharab ho jayegi teri ja naha dho le jaldi

Akshay : hayee (holds his heart) maar diya itna pyar

Roo : jijs (shouts with him) main lut gayi barbaad ho gayi, ab kaun dekhe ga meri taraf

Akshay : mera toh bahut kuch lut gaya izzat ke saath

"Chup dramebaaz company maar dungi tum dono ko niklo yaha se" Kritika kicks both of them out of room

Shrishti and Sameer arrives outside a hotel when big truck collides to their car as soon as they come out of car

Shrishti : sameer (hugs him fearfully)

"Its okay" he rubs her back

Sameer goes to bring water from store when suddenly Shrishti gets message from stalker

"Kaisa laga mera surprise baby, yeh toh sirf trailer tha aur ha agar kisi ko bhi batane ki koshish ki toh iss baar toh tum dono nahi the lekin kya pata tumhara sameer ho iske andar" message

Shrishti shakes in fear reading the message but is not able to reveal anything to sameer

Sameer : ha chalo ghar chalte hai

Rishab does not find Radhika and goes to find her in garden

Radhika : yeh lo (gives her bag) baaki ke paise isse tumhara kaam ho jayega

Alisha : thank you (hugs her) zindagi bhar aapka ehsaan rahega hum par

Radhika ; tum plan theek se samaj gayi na sab khatam hote hi yaha se chali jana yeh sheher chodh kar itni dur aur isme itne paise hai ki tumhe koi problem nahi hogi

Rishab gets extremely shocked hearing their conversation

Radhika : aur apna khyal rakhna

Alisha : aap bhi jane se pehle apna kaam zarur pura karke jayenge hum

Radhika : hamar maksat bhi ek hai aur tumhari tarah maine bhi koi apna khoya hai anyway tum jao yaha se isse pehle kisko shaq ho jaye

"Yeh asli Preeta nahi hai aur isse radhika yaha lekar aayi hai, radhika aisa kaise kar sakti hai" Rishab gets shattered

At home

Shrishti : sameer hum ghar par kisi ko nahi batayenge

Sameer : lekin kyu, itni badi baat ho gayi hai aur tum ho ki

Radhika collides them on door when they hear noise of clap

Rishab : wah Radhika, manna padega tumhe itna kuch karke bhi chehre par ek shikan tak nahi tumhare sach mein

Kritika : bhai hua kya hai aise kyu bol rahe ho

All gathers in hall including Kabir and Suhani

Rishab : radhika batao na sabko waise toh tumhe bahut shaq hai na sabke samne apna dard batne ka

Radhika : kya kehna chahte ho tum

Rishab (holds her shoulder) : wohi jo tum chupa rahi ho, how could you do this

Radhika ; aisa kya kiya hai maine

"Apni asliyat dikhayi tumne, tum toh aisi nahi thi aaj tak mujhe laga tha tum apne gusse, apni nafrat ko control kar sakti lekin nahi tum to uske gurur mein andhi ho gayi ki itna khatiya kaam kiya tumne" Rishab shouts angrily

Kabir : rishab whats wrong? iss tarah kyu chilla rahe ho

Radhika : ek minute koi nai bolega beech mein

Rishab ; bolne ke liye tumne choda kaha hai radhika, tum iss had tak ja sakti ho mujhe sapne mein bhi andaza nahi tha

Shrishti : radhika yeh sab kya ho raha hai

Rishab : batao na sabko, ki jo ladki iss ghar mein aaj tak reh rahi thi woh Preeta nahi koi aur thi

All remain speechlees

Karan stands upstairs hearing him

Suhani ; yeh kya keh rahe ho, what do you mean Preeta nahi thi

Rishab : radhika usse Preeta bana kar laayi thi iss ghar mein sahi kaha na maine, preeta se badla lene ke liye

Radhika looks at him hurtfully

Shrishti : nahi yeh sab jhut hai (gets angry) bakwaas hai yeh sab

Kritika : bhai agar woh nakli thi woh Preeta hai kaha hum toh saath hi aaye the Rishikesh se

Rishab : nahi woh toh isne usse pakhandi ko tum dono ke peeche bheja tha aur waha se preeta ko kidnap karva diya

Shrishti slaps Radhika tearfully

"Kaha hai meri Preeta di, kyu kiya yeh sab kuch tumne" Shrishti shakes her angrily

Radhika sighs Karan to not interrupt

Rishab : kyu kiya tumne yeh sab Radhika, jis ladki ne tumhare liye itna kuch kiya aaj uske saath tumne itna ghatiya pan kiya

Radhika (loses her patience) : ha kiya maine yeh sab cuz I hate Preeta, nafrat karti hu main usse bahut zyada, kyuki iss ghar mein hamesha sabko sirf wohi dikhyai deti hai, usne sabke samne mera tamasha bana diya

Suhani : radhika tum jhut bol rahi ho, main janti hu tum aisa nahi kar sakti

Roo : ha bhabhi main aapko itne saalo se janti hu, agar aisa hota toh aap preeta bhabhi ki bacchi ko apne seene se nahi laga ti

Kritika ; roo tu pagal ho gayi hai, woh khudh ke rahi hai ki usne kiya yeh sab kuch sirf Preeta se badla lene ke liye warna puch isse kaha hai woh, dikhayi kyu nahi de rahi

Rishab : kaha hai Preeta

Radhika jerks his hands angrily

"Aakhri baar puch raha hu Radhika, bata do kaha hai Preeta, varna koi aur rishta jude na jude lekin hamari shaadi zarur tut jayegi" Rishab tells her

Radhika : yeh rishta tut chuka hai Rishab luthra

Precap

Preeran meet

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top