Chapter 58
Mumbai
Ruchika and Ishaan goes to their workplace where everybody is busy working
Ishaan : jaldi karo yaar, tumhari vajah se hamesha late ho jaate hai
Roo : ha toh kisne kaha hai mera wait karo, ek kam karo kal se na 4 baje aake beth jana
Ishaan : chup raho tum
Roo : mujhse ladne ka alava aur kaam hi kya hai tumhe
Ishaan sees the new boss in front of them and signals Roo
Roo : yeh ishare kya kar rahe ho, main yaha baat kar rahi hu na, idhar dekho meri taraf (makes him look at her)
Ishaan : hum baad mein baath karte hai na
Roo : nai abhi karte hai
Everybody looks on nervously to them. Angad crosses his arms looking at her
Roo : aap sabki bolti kyu bandh hai main toh isse daat rahi hu na (turns around to see new boss standing) acha isliye sab ke chehre ka raang ud gaya hai
Angad : shut up (shouts out loud) everybody in meeting room right now
Roo : ha toh pyar se boliye na, hume ache se sunai deta hai
Ishaan : kyu pange le rahi ho chup ho jao meri maa
Roo : biwi ma nahi
All goes to meeting room, Angad sits on chair noticing each of them
Angad : jaise ki aap sab jante hai main mujhe naye chairman ki post par rakha gaya lekin uske saath ek badi zimmedari bhi di hai, sab kuch sambhal neki mujhe iss company mein bilkul discipline chaiye
All nods
Angal : sabse pehla rule, i hate people who are irresponsible aur late aane walo se bilkul nafrat ha (looks at Roo) yeh profession koi mazak nahi hai bahut saare logo ki security ka sawal hai, aaj tak iss company mein jo bhi hota aaya hai hasna khelna, sab bandh
Roo : toh sir karna kya hai
Kavya : aree chup ho ja na
Angad (walks to her) : kaam, mujhe aise log bilkul nahi pasand jo apne kaam ko mazak samajte hai aur ha jab mein baat karu beech mein on interfering am I clear
She nods
Angad : good (goes back to his seat) so as you all know about Malaysia clients have made deal with us about that new software from our company
Ishaan : but Sir we already signed with another Indian company aur yeh Malaysia wale clients hamare design ko apna naam dena chahte hai
Angad : Mr Ishaan, iss company ka boss mein hu, yaha kya hoga woh main decide karunga (Tells him sternly) aap nahi
Roo : Excuse me aap hamse iss tarah baat nahi kar sakte, hum yaha employee hai servants nahi, aaj tak iss company mein koi problem nahi hui, aur agar hui bhi na toh humne ek saath milkar usse solve ki
Ishaan and others try to calm her down
Angad : agar tumhe itni problem hai na, you can resign, waise bhi mujhe tumhare jaise badtamez log ki koi jarurat nahi
Roo : agar mujhe pehle pata hota ki iss company ke CEO hai, mein kabki resign kar chuki hoti, mera time bachane ke liye thank you
Angad : get you
Roo : jaa rahi hu mein, lekin bahut jald jarurat padegi aapko iss badtameez ki
Angad : I said get out from there
Ruchika leaves angrily from there. Staff goes back to their desks
Kamya : Ishaan ab kya hoga, samjao apni biwi ko aise gusse mein naukri nahi chodte
Roo : acha, meri kya galti woh akdu apne aap ko samaj ta kya hai
Ishaan : shut up Ruchika, kitni baar tumse kaha hai koi bhi kaam patience ke saath kiya karo lekin nahi madam ka gussa satve aasman par hota hai, kho di na naukri
Roo : excuse mein koi downmarket ladki nahi hu, I am Ruchika aise hazar naukri mil jaegi mujhe lekin iss ghamandi insan ko mein sabak sikha kar rahungi (turns around to see Angad)
Ishaan : lo sikha diya sabak
Angad (puts resignation in her hands) : yeh lo tumhara inaam, Ms Ruchika bahut gurur hai na tumhare andar, let me remind you this is one of the top multinational company, rote hue bhi aaogi na tabhi yaha ke darwaze nahi khulenge tumhare liye
Roo : ha toh, woh kahavat nahi suni ek darwaza khulta hai na, dusre hazar khul jaate hai
Angad : yeh dialogue jab nayi job dhundhne jaogi na tab unhe samjana (leaves)
Roo : iski toh
Ishaan : Ruchika chalo mere saath (takes her out)
Roo : chodo mujhe Ishaan, iski itni himmat Ruchika ko attitude dega
Ishaan : usne bilkul sahi kaha, jab dusri naukri dhundne jaogi na tab woh tumhari so called kahavat suna na aur yeh bhi batana tumhe kyu nikal diya job se
Roo : yaar yeh to socha hi na tha, kya kahungi mein, yeh sab iski vajah se hua hai
Ishaan : kya jarurat thi tumhe, usne mujhe sunaya tumhe kisne bola beech mein kudne ke liye
Roo : areey ek toh maine tumhari side li upar se tum mujhe suna rahe ho, how mean, mein ghar ja rahi hu bye (leaves with huff)
Ishaan : iss ladki ko sambhalna impossible hai, jis din kisi badi problem mein phasegi tab mujhe yaar karegi
Later in evening everybody gets ready for a Suhani and Kabir's anniversary party
Rishab : Ishaan bilkul sahi keh raha hai Roo, kya jarurat thi tujhe ulaj ne ki, hazar baar kaha hai na gusse par control karna sikh
Karan : theek na bhai, bacchi hai ho gayi galti dusri job mil jaegi
Rishab : yeh koi sports profession nahi hai, ek badla toh dusra mil jaye, ek toh isse terminate kiya hai agar job chodi hoti baat aur hai, dusri company hire karne se pehle hazar baar sochegi
Ishaan : rehne do Rishab bhaiya, isse kehkar koi faida nahi hai jis din kisi problem mein phasegi apne gusse ke chakar mein tab samaj aayega isse aur yaad karegi mujhe
Akshay : guys rehne do na iss baat ko, woh bacchi thodi na hai aaj nahi to kal mil jayegi dusri job
Roo : thank you jiju koi toh hai meri baat samajne ke liye
Kritika : filhaal toh ready ho jate hai party ke liye, varna late ho jayenge aur teri class toh vapis aake mein lungi
"Didi" she pouts
Kritika : chup
Everybody goes to Kabir and Suhani's anniversary party hosted in a hotel
Rishab ; congratulations yaar
Kabir : thank you for coming guys, waise toh hamari ek saal aur budhe ho gaye
Suhani : acha ji humne toh socha abhi tak tum jawan ho
Kabir : meri pyari patni ji words ke meaning ko samjho
Preeta : abhi tak tum dono ki tu tu mein mein chal rahi hai
Mahi : woh toh hogi na mumma, tom and jerry abhi tak live chal raha hai
Rohit ; lekin tumhe dekh kar dusri actresses jarur bhaag jayegi TV se
Radhika brings Meera inside holding in hands
"Yaar kitni pyari lag rahi hai, mujhe dona na" Suhani holds the baby aur waise bhi sabse pehle toh mere hi haatho mein aayi thi na
Radhika :matlab tumne plan mana liye use apne jaisa banane ka
Kabir : bhagwan raksha kare bechari ki
Akshay : aree chalo na cake cute karte hai isse pehle guest bechare bhooke chale jaye
Kabir and Suhani cuts the cake happily. Everybody takes picture with them
Preeta : Radhika kya mein usse hold kar sakti hu
Radhika : sure yeh lo, mein abhi aayi (goes to attend her call)
Preeta and Karan plays with their baby and goes in a room nearby
Suhani : acha laga tumhe dono ko itna khush dekh kar, waise Radhika ya kisi ko shaq toh nahi hua na
Karan : abhi tak toh nahi hua, Suhani thank you for everything,
Suhani : hello doctors apne patients ka aur dost apne dost ka thank you nahi lete, tum logo ne bahut bada risk liya, apna baccha kisi aur ko iss tarah dena choti si baat nahi hai
Preeta : yeh toh hamne sirf Rishab ji aur Radhika ke liye kiya hai (kiss her baby's head) hamari beti ko hum bada kare ya woh kya farak padta hai
Unaware to them Radhika hears everything feeling completely devastated. She sees Preeta playing with Meera happily
"Iska matlab, miscarriage Preeta ka nahi mera hua hai, yeh Karan aur Preeta ki beti " she starts to lose herself recalling everything from her pregnancy days till accident
Ishaan : di aap yaha kya kar rahi ho chalo Rishab bhaiyaa apko kabse bula rahe hai
Radhika : tum jao mein aati hu (goes outside and calls somebody)
She hurriedly rushes to hospital nearby and goes into Suhani's cabin to find something. Her world crashes down finding her original reports during accident and goes back to party
DJ starts the music and dance. Couples send Kabir and Suhani on dance floor. Radhika goes to bar and starts drinking heavily
Sameer : Rishab bhaiyaa, woh dekho
Rishab : radhika toh kabhi drink nahi karti phir aaj kya hogaya isse
Sameer : jakar roko unhe varna problem ho jayegi
Rishab (goes to her) : Radhika stop it, kya kar rahi ho, kitni peeli tumne (takes away glass from her) pagal ho gayi ho
Radhika starts to lose balance
Rishab : kam se kam iss baat ka toh khyal rakho tumhari beti bhi hai
"Kya kaha beti, bet...ti" Radhika breaks the glass in anger
Everybody gets shocked to see her new avtar which they never saw before. She takes another bottle of wine and starts drinking
Karan : bhai kya hua isse
Radhika : attention everybody (says in drunken voice) I want to congratulate Kabir and Suhani, this two have always stood with us in all problem, thank you guys
Rishab : Radhika lets go , chalo yaha se
Radhika pushes him away
"Aaj mein bhi bahut khush hu, mere Rishab ne mujhse kuch kaha, ki Radhika tum ek beti ki maa ho sambhalo khud ko (tries to stammer) lekin kiski beti, meri aur Rishab na na, Karan aur Preeta ki beti " Radhika breaks the bottle angrily
Everybody gets another shocked except Preeta Karan, Kabir Suhani and Shrishti who was almost convinced with truth
Akshay : Radhika, yeh tum kya bol rahi ho, tum nashe mein ho
"Nashe mein? ha yaha toh sab samajdar log hai na toh unhi se puch lo kyu Preeta tum hi sabko bata do, sabki adarsh, behen, ma, biwi batao na sach kya hai" Radhika laughs saracastically
Rishab : yeh kya bakwas kar rahi ho tum
Radhika : ek minute (goes to Preeta and karan) tum dono chup kyu ho batao na, jo tum log abhi thodi der pehle Suhani se baat kar rahe the
Preeta remains quiet. Radhika is about to slap her but Karan intervenes in between stopping her
Rishab : Karan, kya hai yeh sab
Both looks down in tears
Ishaan : matlab di sach keh rahi hai, Meera aap dono ki beti hai, inn logo ki nahi
"Chup kyu khade ho jawab do mujhe, kyu kiya yeh sab (her tone changes from anger to vunerable) Preeta tumne toh mujhse kaha tha ki Radhika, mere liye tum aur Shrishti dono same to same ho, toh batao kaunsi behen aisa karti hai apni dusri behen ke saath" Radhika shakes her shoulder hardly
Preeta : I am sorry Radhika, mein sirf tumhari khushi chahti thi (tries to hug her but gets pushed away harshly)
"Mil gayi, mujhe khushi? woh tum dono hi the na jab pehli baar mere pregnancy ki khabar sunkar sabse jyada khushi hue the, shayad mere aur Rishab se bhi jyada, Karan tumne kaha tha ki hum bhabhi devar nahi best friends hai, bahut acha rishta tumne nibhaya, ek baar bhi tum dono ki roo nahi kapi aisa karte hue" Radhika moves away from them
Shrishti : meri di ne apne dil par patthar rakh kar kiya yeh sab sirf tumhare liye, Radhika apni saari mamta koh maar diya
Radhika (claps) : sahi kaha aur jo itna bada fareb kiya woh hi pyar ke naam par kiya na Shrishti bolo khair tum kya bologi, Suhani tum, mujhse kehti thi ki radhika hamesha khush raha karo, lekin yeh toh bataya hi nahi ki jiss bacche ke liye mujhe khush rehne ke liye bol rahi ho, usse mujhe ek baar bhi dekhne tak nahi diya, mein apne bacche ko gale se tak nahi laga payi
Rishab : Karan kyu kiya yeh sab, kya mila tum dono ko yeh sab karke
Preeta : Rishab ji, jab hamne dekha ki aap jis bacche ka itni besabri se intezaar kar rahe the woh iss duniya mein nahi toh shayad aap dono ko bahu takleef hogi, aur radhika yeh sadma nahi seh pati iss liye
Karan : aur jo kuch bhi hua usme galti meri bhi thi, meri vajah se tum dono ne apna pehla baccha kho diya
"Shut up, mana ki mein tumhari tarah mahan nahi hu lekin itni kamzor bhi nahi thi, Preeta mujhe ek baar toh sachai toh bata kar dekhti, itna sa bhi bharosa nahi tha mujh par, mein kabhi karan ko blame nahi karti uss hadse ke liye, mein janti hu woh baccha hamari kismat mein nahi tha lekin" Radhika falls on knees
Karan : maaf karde Radhika I am sorry
Radhika : bahut hi ghatiya mazak kiya tum logo ne mere saath, sach batao Preeta hasti hogi na tum mujh par ek toh mera hi baccha hi aur mein tumhe dilasa deti rahi
Preeta : nahi (folds her hands crying bitterly)
Radhika : kya kami reh gayi thi mere pyaar mein, tum hi thi na woh jisse meine apni sari feelings share ki, apne hone wale bacche ki har baat jitne sapne sajaye sab maine tumhe bataye thi
Karan : bhai I am (goes to hug him) sorry
Rishab consoles him
"Idhar dekh, teri koi galti nahi hai , tum dono ne jo kiya woh karne ke liye bahut bada dil chaiye" Rishab wipes his tears
Rishab : listen to me (tries to console her)
She jerks his hands and leaves angrily.
Kritika : sorry guys tum logo ka sabse special din kharab ho gaya
Everybody goes to their home. Radhika breaks everything in room angrily and vents her frustration crying bitterly
"Kyu hua aisa mere saath" she sits on her knees
Akshay ; bhaiyaa ab kya hoga
Rishab : jo sahi hai woh sahi hai, Radhika ko samaj na hoga
"Radhika meri baat suno, tumhara gussa hona jais hai lekin Karan Preeta ne hamari khushi ke liye kiya apne dil par patthar rakh kar apni beti de di" Rishab cups her face
Radhika (moves away) : iss tarah, jhut bol kar Rishab, mera baccha chala gaya (cries loudly) puri duniya ke saamne tamasha ban gaya, mein nahi manti aisi mahanta ko meri nazar mein yeh sirf ek dhokha ha
Rishab (holds her shoulder tightly) : enough, mei kabse tumhe ek hi baat samjane ki koshish kar raha hu, aur ha woh baccha sirf tumhara nahi humara tha, jitna dukh tumhe hai na utna hi mujhe hai kya chahti ho tum
Radhika : tumne toh ek baar bhi apne bhai se nai kaha woh galat hai, upar se mujhe galat suna rahe ho, how dare you
Rishab : you know what, tumhe samjana bekar hai, abhi tum gussa ho
Radhika (clutches his collar) : Rishab Luthra, ek baar tum bhi kaan khol kar sun lo, mein Karan aur Preeta ko kabhi maaf nahi karungi, ab toh bilkul nahi
They hear crying of Meera miserably. Radhika hesitates to go near her and start to hold her but Rishab takes her to Preeta and Karan
Radhika : kaha lekar ja rahe ho isse
Rishab : uske asli ma baap ke paas (takes Meera away
Preeta : rishabji, ab yeh aapki beti hai
Rishab ; nai Preetaji, yeh aap logo ki aamanat hai (hands Meera to her) Radhika ko yeh baat samaj ni hogi (leaves)
Karan ; bhai
Radhika : sach mein Rishab, aaj mujhe iss baat ka ehsaas ho gaya tumhari zindagi mein tumhara bhai ye family sabse jyada important hai, mein toh kuch nahi hu na
Rishab ; tumhare dimaag mein zeher bhar gaya, andhi ho gayi ho apne gusse me
" Ha hogayi hu mein aandi, tumne mujhse ek baar bhi nahi pucha Meera ko dene se pehle, isse mein kya samjhu Rishab, aaj ke baad samaj lena mar gayi yeh Radhika tumhare liye" Radhika pushes him and locks herself in washroom
Rishab : mujhe bhi karni tumse baat jo mere family ko nahi samaj sakti (leaves out from home)
Other couples get extremely worried for rift between them
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top