Chapter 56
Now Preeta and Radhika are almost 7 1/2 months pregnant
Mumbai
Karan : bhai, kyu na mein tu aur Preeta kahi bahara chalte hai
Radhika ; excuse me, ek aur add kare le list mein teri bhabhi
"Kaha hai" Karan looks around her
Radhika (throws pillow on him) : ab dikhayi di ya aankhen check karva de
Kritika : aur hum?
Karan :meri pyari behna, woh kya hain na yeh surprise dono hone wali mummyji ke liye hai jo tu hai nai iss waqt, theek hai meri pyari behna?
Kritika jerks his hands funnily
Rishab : chal na yaar, tu bhi kya hamesha ladta rehta hai
Karan ; aree (goes out with him)
Sameer : sambhal ke jana guys
Karan ; gadi mein chalaunga
Rishab ; chup chap passenger seat mein beth, gadi mein chalaunga
Karan : waise toh hamesha bolta rehta hai, mere hote hue tujhe gadi chalani padti hai, aur aaj kya hogaya
Rishab : gadi ki chaabi la
Karan : nahi tu aaram kar, mein hu na, chala lunga
Rishab : theek hai dhyan se chalana theek hai na
Karan starts driving from there unaware of the car leaking
Radhika : waise surprise kya hai
Karan ; meri pyari bhabhi ji, kisi ne aapko suprise ka matlab nahi bataya, iska matlab hai secret wala surprise okay
Radhika : bewakoof
Preeta : tum dono ko aur koi kaam nahi hai kya, aur tum chup chaap gadi chalao
At home
Sameer : aree ishaan sun (sees the leak outside in parking)
Ishaan : ha bhaiyaa kya hua
Sameer : yeh kya hai, kuch leak hua tha kya
Ishaan : pata nahi, ek minute (ignites the lighter and suddenly makes spark)
Sameer : aareey yeh toh aag lag gayi, yaha par toh Karan bhai ki gadi thi na aur sab abhi issi mein gaye bahar
Ishaan : kahi car break toh fail nahi hui na, aise kaise ho sakta hai pichle hafte hi toh maine servicing karai thi na
Roo : Ishaan main kabse ahhh (shouts out)
Sameer pours water on it
Roo : yeh kya hai
Ishaan : bhai ke gadi ki breaks fail hai
Sameer : jaldi rishab bhai ko call kar, main Karan bhai to karta hu
On way Karan and gang have funny moments
Rishab : Sameer ka phone (is about to pick up but suddenly sees truck approaching) Karan watch out
Karan turns the steering wheel hardly. Radhika is thrown out of car in the accident getting hit by stone in her head.
"Radhika" all shouts her name
The car crashes on tree where Preeta too gets injured and thrown out from window into bushes. Girls shout in pain holding their
Home
Kabir : kya bol rahe ho tum log
Sameer : kabse phone try kar rahe hai lekin kisi ka phone nahi lag raha hai
Suhani : mujhe na bahut buri feelings aa rahi hai, kahi koi anhoni na hogayi ho
Kabir : suhani please yaar, apni supersitions apne paas rakho, Sameer, Ishaan lets go hum chalkar dhundhte hai
Akshay : guys buri khabar hai
Kritika : kya hua
Akshay : ji jagah, bhaiyaa ne surprise book kiya hai woh log waha pahuche hi nahi, 1 ghante se jyada ho gaya hai aur
Shrishti : aur?bolo na please
Akshay : kisika phone aaya tha, raaste mein inn logo ka accident ho gaya
All gets extremely shocked and starts to panic
Shrishti : nahi yeh nahi ho sakta (Starts losing herself)
Sameer : Shrishti please sambhalo khud ko iss waqt inn logo ko hamari jarurat ha kaha hai sab
Akshay : City hospital mein, lets go
Siblings rushes to hospital quickly
Akshay asks about Karan, Rishab and girls. Nurse shows them way
Kritika ; doctor hamare bhai kaise aur dono bhabhi thi unke saath please bataye na
Doctor : apke dono bhai theek hai, jyada chot nahi aayi, par unki wives pregnant hai na
Shrishti : ha ha, kya hua dono theek toh hai na aur baby
Doctor : hum abhi check up kar rahe hai, shayad pre mature delivery karni hogi issliye operation karna hoga we are trying our best
Roo : kitne khush the bhai aur bhabhi apne baby ke liye, pata nahi kiski nazar lag gayi
"Bappa, aap aisa nahi kar sakte hamare saath, humare ghar walo ko cheen liya ab yeh khushi aap hamse nahi cheen sakte please sab theek rakhna" Shrishti goes to pray in temple inside hospital
Other join them too.
Doctor ; Rishab aur Karan ko hosh aa gaya, aap log unse mil sakte hai, dono general ward mein hai iss waqt
"Bhaiyaa" both sisters goes to hug them tearfully
Rishab : Karan tu theek hai na (hugs him)
Karan : bhai i am sorry (cries hugging him) yeh sab meri wajah se hua
Sameer : nahi bhai aap logo ki koi galti nahi hai, woh aapki car ki break fail thi
Rishab : what? tujhe kaise pata
Ishaan : aap logo ke jaane ke baad, humne leak dekhi ghar ke bahar, iss liye humne call bhi kiya lekin aapne uthaya nahi
Karan : Radhika aur Preeta kaha hai, kaisi hai woh
Roo : bhai woh, unka operation chal raha hai, shayad premature delivery hogi unki
Everybody paces outside the OT with lot of anxiety
Karan : bhai agar kuch galat hua to mein kabhi maaf nahi kar paunga khud ko I am sorry (cries sobbing loud)
Rishab : areey abhi toh kaha na, kuch nahi hua teri vajah se
Roo : Ishaan sun no na
Ishaan ; kaan khulle hai bolo kya hua
Roo : mujhe na bahut badi gadbad lag rahi hai, koi toh jhol hai yaha aise kaise gadi ke breaks fail ho gaye, hum itne time se vahi par to servicing karate hai na
Ishaan : ha theek hai, abhi in saab ka time nahi hai, ghar chalke baat karte hai, abhi sab kitne tension mein hai
Roo : isse toh baat hi karna problem hai, ek kaam karti hu kabir sir ko bolti hu (takes Kabir on side)
Kabir : kya hua Roo?
Roo : Sir mera sixth sense dimaag kehta hai yeh accident planned tha, na koi itefaq
Kabir :matlab
Roo ; areey, break fail ho na, hum itne time se servicing karate usi jagah par, aaj tak koi problem nahi hui hai aur achanak yeh sab, very strange
Kabir : tum tension mat lo mein investigate karunga, ek baar yeh mamla thoda thanda ho jaye phir mein iski private investigation on rakhunga
Roo : thank you sir
After few hours in evening
"Hey bhagwan yeh kaisi pariksha hai" Suhani gets to know something from doctor and gets very much shocked
Suhani : guys tum log kaafi thak gaye ho na, thodi der rest karlo mein hu na yaha
Shrishti : nahi, mein apni di aur radhika ko chodkar nahi jaungi
Rishab : Suhani sahi keh rahi hai, ghar pe baache akele hai, aur Kabir bhi toh hai na
Sameer : theek hai bhai, lekin please hume call karna agar koi problem ho toh
Rishab : okay
"Bye bhaiyaa" all leaves
Rishab sits outside waiting for doctor . Suhani takes Karan inside Preeta's room where baby is kept in incubator
"Mubarak ho, dusri ladki hui hai aapko janab" Suhani hands him baby
Karan (kiss her head with tears) : bilkul meri Preeta jaisi hai, woh hi aankhen, naak sab kuch
Preeta starts to get unconscious. Baby starts crying
"Baby doll dekho, humari princess, bilkul tumhare jaisi" Karan puts baby on her hands and she stops crying
Preeta gets very overwhelmed while holding the baby
Karan : Suhani, tumne yeh toh nahi kaha Radhika ka kya hua?
Preeta : uska baby theek toh hai na aur woh
Kabir comes inside too
Karan : tum chup kyu ho please bolo na, mujhe dar lag raha hai, waha bhai itna pareshaan hai uski bechani badh rahi hai
Kabir puts hands on her shoulder. Karan and Preeta starts to realize
Suhani : tum sahi soch rahe ho, doctor radhika ke baby ko nahi bacha paye aur uska miscarriage ho gaya accident mein
Preeta and karan gets extremely astonished. They start to worry for Radhika and Rishab
Karan : yeh tum kya bol rahi ho? aisa nahi ho sakta, hum kya kahenge unse
Suhani ; shayad kismat ko yahi manzoor tha, accident mein kafi internal bleeding hui thi radhika ko aur tumhe to pata hi hai uski complication thodi jyada thi itne mahino se
Kabir : I know yeh phase bahut mushkil hai hum sab ke liye but we have to help them
Preeta : ek raasta hai (looks down)
Karan : kya?
Preeta : pehle tum mujhe promise karo ki tum mera saath doge, iss faisle mein
Karan : dekho preeta yeh pehliyo ka waqt nahi hai please batao baat kya hai
"Karan hum apni bacchi Rishab ji aur Radhika ko de denge, yeh keh kar ki yeh unki baby hai" Preeta holds his hands tightly
Karan (leaves her hands) : Tum pagal ho gayi Preeta, are you in your senses, itna bada jhut baat dene mein nahi hai, jhut bolne mein hai
Suhani : Karan sahi keh raha hai, Preeta yeh koi choti si baat nahi hai, kabhi toh unhe pata chal jayega kya karogi
"Aap log kyu nahi samaj rahe, Radhika yeh sadma nahi seh paayegi, mein usse ache se jaanti hu, woh kitni khush thi, kitne sapne jude the iss bache ke saath, mujhse kehti thi Preeta yeh baby mere aur Rishab ke pyar ki sabse khubsurat nishani hai" Preeta starts crying loudly
Suhani : Preeta (holds her shoulder) yeh emotional hone ka waqt nahi hai, kya lagta hai tumhe Radhika yeh sun kar bahut khush hogi tumne apna baccha usse de diya jhut bolkar, mein bhi aurat hu samaj sakti hu apne bache ko khone ka dard
Preeta hugs her tearfully. Karan goes out and sees his brother looking at couple who also got blessed with a girl
Karan : bhai kya dekh raha hai
Rishab : woh dekh, kitne khush hai woh log, yeh dekh kar ek naya mehman aaya unke ghar mein, I can't wait jab mein apne bacchi ko haath mein lunga yaar (Radhika had girl), woh meri ungli pakad kar chalna sikhe gi, aur ek ungli radhika ki, alag hi khushi hoti hai na parents banne ki (hugs him from side)
Karan could not control his tears and goes back to Preeta's room. He sits on corner leaning on wall and holds his knees together
Karan : tum sahi keh rahi ho Preeta, humare paas toh Mahi hai, lekin bhai aur Radhika ke saare armaan tut jayenge, tumhe pata hai woh kitna khush hai, intezaar karke baitha hai bahar ki kab uski baby to haath mein lega
"Karan yeh kyu hua unke saath, kya bigada unhe kisi ka" Preeta lays her head on his lap
"Preeta, shayad hamari baby bhai ki kismat mein hoga" Karan careses her hair
Preeta (cups his face) : aur phir yashoda ne bhi toh Krishna bhagwan ko bada kiya tha, apne bete ki tarah bada kiya, pyar diya
Both hugs each other
Suhani : tum log ek baar phir sochlo
Karan ; humne soch liya, humari princess ko bhai ka naam milega (kiss his baby's head)
Preeta and Karan puts their baby near Radhika who is still unconscious. Baby keeps holding her finger and cries
"Nahi beta, aaj se yeh tumhari mumma hai jo tumhe bahut sara pyar degi, shayad mujhse bhi jyada" Preeta leaves shattered from the room
Karan follows her
Suhani: Rishab ji
Rishab : ha, kya hua, Radhika ko hosh aa gaya?
She takes him inside room where Karan's baby is kept near Radhika.
"Ladki hui hai" Suhani hands him baby
Rishab ; kitni pyari hai (gets in tears holding her) pata hai papa ne kitna wait kiya aapka
Suhani : Radhika ko kuch time mein hosh aa jayega
Rishab : aur Preeta ji? woh kaisi hai, unki bhi toh same pregnancy month tha
Suhani is not able to answer him
Rishab : please bolo na
Suhani : woh
Radhika regains consciousness with blurry vision. She hears baby crying
Rishab : lo aapki beti bilkul aap par gayi hai (gives her baby)
"Kitni pyari hai hamari baby, bilkul angel jaisi" Radhika holds her in hands
Suhani (in mind) : Yeh kya kiya tum logo ne, Preeta, bahut bada risk uthaya hai
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top