Shot 6




Chanderi

Mahir and Karan reaches Rudra's library to find about Stree

Rudra : aaiye bilkul sahi jagah aur sahi samay par aaye ho editor sahab

Karan : aur sahi insaan ke saath

Rudra (drinks little alcohol) : chadhti hi nai

Karan ; peete kyu ho itni fir

Rudra ; shama ki yaad mein

Mahir : stree ke baare mein janne aaye hai na hum, kuch pata chala

Rudra : parishram ka fal meetha hota hai mujhe bhi mila

Karan ; kya fal

Rudra ; nai kitab (finds giant book) chanderi puran

Mahir: hamare sheher ka apna puran hai areey wah kya baat hai

Rudra : bada prachin sheher hai hamara, khudai kar lo harappa mil jayega, yehi jaha bethe ho

Karan : bataiye na kya pata chala aapko stree ke baare mein (tells him)

Rudra (holds book and lamp) : kai saal pehle hamare sheher mein ek akarshit vashiya hua karti thi, sheher ka har purush uske sapne dekhta tha, aakhir usko ek

mard mila jo uske sharer se nai uski atma se pyar karta tha lekin logo se unki khushiya dekhi nai gayi aur suhagraat ke din uske pati ko maar diya

Karan and Mahir see each other

Rudra : kitne badtameez log hai do logo ki khushiya nai dekhi gayi, har aurat ko haq hai apna pyar pane ka

Mahir ; rudra bhaiya yeh debate baad mein kar le aap agae bataiye na

Rudra : ha uske pati ko maarne ke baad, sheher ke logo ne bahut hi badsaluki ki uske saath aur fir usse zinda jala diya, tabse woh iss sheher mein ghum rahi hai apne adhure pyar ko dhundne ke liye

Mahir : usse rokne ka koi toh rasta hoga na

Rudra : stree se ladne ka ek hi rasta hai panna palto (sees Karan) panna palto

Karan : ha (turns page)

Rudra : sheher mein mukhya rup se sudh ka vypaar hua karta, logo mein shiksha ka itna bhav tha, ki chand ko sach mein apna mama mante the (all gets confused) yeh shashtri ji purab se dakshin kaha chale gaye

Karan ; areey yeh 60 no se sidha 70 page, baaki panne kaha gaya ho gaye

Rudra : yeh bacche bhi na panne fad kar nav bana lete hai isliye unhe andar nai aane deta mein

Mahir : abhi ko kaise bachayenge (sees something) yeh jagah toh dekhi hai

Karan : kaha pe

Mahir : pahadi ke upar, chal vaha jakar dekhte hai

Rudra :ha ha jao

Karan : aap bhi chalo hamare saath, adhya kiye na aap

Rudra takes his bottle and goes with them.

Fifth night

Karan : mahir aur kitni dur jana hai

Mahir : bas aa gaye

Trio reaches an old fort at dark night.


Suddenly Mahir sneezes

Mahir : kya? mujhe dust se allergy hai

Rudra : tum dono jao mein yehi par hu

Karan : aapko chalna padega hamare saath

Rudra : niyam no 3 toh yaad hai na tum logo ko, kuch bhi ho jaye palat na pat

Karan : agar woh hume uthake le gayi toh

Rudra : purush nai hai woh, jo ghasit kar le jayegi woh pehle tumhe tumhare naam se pukaregi, aur tum agar mude toh gaye

Mahir holds the wood with fire going inside the fort. Trio goes in different direction in isolated rooms

Mahir : abhi? kaha hai tu

Karan hears noise of bird and gets scared suddenly. He starts chanting hanuman chalisa

Karan ; ma ki baat sunkar hanuman chalisa seekh liya toh acha hota, sorry mummy (eats chips)

Mahir goes little far inside. Noise of terror

He stops hearing sounds. She stands behind him

Mahir ; stree ji aap hai kya?

"Mahir" she whispers

As soon as he turns around she is about to pounce on him but stops in midway. He closes eyes in fear but both have eye to eye contact. She sees something different in his eyes than others

Suddenly stree gets driven away by Preeta

Mahir : tum? yaha

Karan : preeta tumne usse bhaga diya

Preeta ; ha (in different tone) itne waqt se koshish kar rahi hu usse bhagane ki lekin kuch kaam nai kar raha

Mahir : waise yeh sab aapne kab sikha, tumhe dekh kar toh lagta nai ki tum inn sab mein manti hu

Preeta : kuch baatein batayi nai jati aur waise bhi har saal bahut se log gayab hote hai iss samay par, maine har vidhya seekhi, jadu tona washi karan lekin kuch kam nai aaya

Rudra : waise hamare pustak bhandar mein kuch madad chaiye toh

She nods. All stops outside near the bike and turns around shockingly with noise of wind and grass

House

Pragya is working on something when she sees a shadow of woman outside window

"Kaun hai waha par" she goes to see but it runs away

Pragya comes out to see but finds nobody and waits for Preeta to come quickly.

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top