Shot 2
At house Preeta is doing some work when Karan comes to meet her
Preeta : hi (softly) tum yaha
Karan : woh tumse choti si help chaiye
She smiles little nodding
Karan : tum toh janti ho mere yaha jyada kapde readymade hote hai, waise toh mein bana leta hu lekin itni practice nai hai
Preeta ; okay
Karan : mere kuch customers ko na kapde iss baar silwane hai lekin mujhe itna saara kaam hai, mera dost bahar gaya hua hai, bela rani se toh umeed karna bekar hai mere liye
She raises her eyebrows
Karan : tum meri thodi si help kar dogi, saare kapdo ki size hai sirf unhe ache se fiting karni hai please
Preeta : no problem kab karna hai kaam
Karan : aaj shaam ko agar koi problem na ho toh
Preeta ; aaj shaam?
Karan : kya hua
Preeta : nai kuch nai, mein aa jaungi no problem, aur kuch (smiles)
Karan ; nai abhi ke liye itna hi, toh main chalu
She nods. He turns around to see Bela crossing arms sternly
Karan : namaste
Bela : namaste bratashri kahiye, aap yaha tashreef laye toh koi toh baat hogi
Karan ; nai nai hum aapki sakhi se milne aaye the guruji kyuki aap toh hamesha vyast rehti hai apne karya mein, shishyo mein
Bela : ha woh toh hai, hume din bhar balako ko padhana jo hai taki woh bhi hamara naam uncha kare pure bharat mein
Karan : Avashya avshya
Preeta : aap dono yeh kya baat kar rahe ho, I know apa dono ek dusre se bahut pyar karte ho lekin
"Pyar ewww" both makes yucky face
Preeta ; kya hua aise muh kyu bana rahe ho, maine kuch galat keh diya
Karan ; areey nai aap kabhi galat nai bol sakti lekin kya hai na hum dono ke baare mein hamare apne ma baap ki rai galat hoti hai
Bela : ha kyuki yeh paidaishi pagal hai
Karan : acha (whispers) meri izzat ka kachra karna bandh kar samjhi warna tere saare secret blackboard par post kardunga
Bela : dhamki mat de mujhe samjha
Pragya : kya ho raha hai yaha par (scares them)
Karan : kuc...kuch nai hum toh aise hi baat kar rahe the ek dusre se, preeta ji se milne aaye the
Pragya : mil liya na waise kya kaam hai mujhe bata sakte ho
Karan : nai nai ho gaya mein chalta hu bye (leaves hurriedly) bye
Bela : main bhi chalti hu (leaves)
Pragya : yeh dono kabhi nai sudhrenge
Preeta : chodho na di aap aa gaye, kaisa raha trip sab theek tha na
Pragya : ha sab kaam ho gaya, baapre itna lamba schedule kyu
Preeta : di tumhe pata hai ki agle hafte puja shuru hone wali hai isliye lage pade hai
Pragya : stree se bachne ke chakkar mein sab stree bane ghum rahe hai
Preeta : kitni ajeeb baat hai na di hamare ek laute sheher mein yeh ajeebo gareeb ghatna hoti hai
Pragya : sahi mein ha, acha mein nahakar aati hu phir khana khate hai
Later in evening Mahir is sitting on roof smoking secretly when somebody is coming to him.
"Booo" Bela laughs scaring him
Mahir : ha ha very funny, daath kyu fadh rahi ho kabse mein toh dar gaya
Bela : darna hi chaiye (takes cigarette) kyuki yeh ek hanikarak cheez hai samjhe
Mahir ; bela please yaar apna lecture mere par mat jhadna, teacher ji (folds his hands) okay
Bela : kyu peete ho itni, apna nai toh dusro ka toh khyal karo
Mahir (chuckles) : acha, kiska khyal, na ma hai na baap na parivar, ha tum dosto ke liye meri jaan hazil hai hamesha
Bela (cups his face) : lekin meri jaan toh tumhari hai na aur tum usse meri marzi ke bina nai le sakte
"Toh kisne kaha (holds her waist) ki hume apne jaan pyari nai hai, lekin teacher sahiba ko fursat kaha hamare pyar azmane ki, romantic toh hum bahut hai" Mahir caresses her hair tresses
Bela : itni asani se haath nai aayegi yeh teacher tumhare haath yaad rakhna
Mahir : hum bhi toh dekhe aap humse kab tak dur rehti hai ek din bhaag kar aaogi mere paas
Both shares hugs happily. Later in evening Preeta makes excuse to go at Karan's house to help him
Preeta : hi (softly)
Karan : please come, betho na
Preeta : its okay thank you, woh kya hai na mujhe jaldi wapas jana bhi hai toh kaam shuru kar sakti hu
Karan : ha lekin betho toh sahi, yeh lo sab size hai (gives her paper)
Preeta : baapre itne saare
Karan ; kya kare puja shuru hone wali hai agle hafte pura sheher stree banke ghumega (laughs)
Preeta : karan, tumhe kuch ajeeb nai lagta har saal kitne log gayab hote hai iss puja mein koi toh raasta hoga sab ko bachane ka
Karan : pata nai, yeh toh koi aisa hi bata sakta hai jo aisi bakwaas baaton mein expert ho
Preeta : woh sab chodho, abhi ke liye yeh kaam karte hai phir mujhe ghar vapas jana hai
While she is working Karan makes juice for her in kitchen and helps later
Preeta ; yeh aapne banaya hai
Karan ; ha kyu acha bana? kuch kam hai
Preeta : areey shant ho jao bahut acha hai lekin mujhe pata nai tha ki aap itne ache cook bhi hai
Karan : ha woh kya hai na meri behen, meri sautan toh kitchen mein pair rakhti nai toh aur kaun banayega ma ki tabeet theek nai rehti
Preeta : waise aunty ji hai kaha
Karan ; mandir gayi hai
Preeta : yeh lo aapka kaam ho gaya toh main chalu
Karan : ruko mein tumhe drop kar deta hu bike par akele mat jao
Preeta ; areey nai main chali jaungi, pareshan mat ho aap
Karan : raat hone aayi hai, chalo
She sits behind him on bike hesitantly puts hand on his shoulder. On way Abhi and Mahir comes in front of them suddenly
Karan : areey yaar, tum dono ko marne ke liye meri hi bike mili thi
Abhi : ha yaar, mahir tune kabhi suna ki khoon ke inzaam mein bike bhi andar hota hai ya nai
Mahir ; chup re, waise yeh sawal na teacher sahiba ko puchte hai inki pyari si behen
Karan : ha toh uska sar khao na mera nai
Mahir : namaste bhabhi ji
Preeta : bhabhi? karan tumne bataya nai ki tumhari koi girlfriend bhi hai
Mahir : nai nai hum toh aapko bol rahe the namaste bhabhi ji
Karan : oye aaram se yeh koi bhabhi nai hai
Abhi ; acha toh aise pyar se bike par, aadhi raat ko kaha ghuma raha hai bechari bholi ladki ko ha
Karan : mei iss bholi ladki ko abhi tak drop kar deta agar beech mein do kabootar nai aate
Mahir (whispers) : yaar karan tujhe pata hai ki aaj iska mama ke yaha party hai aur fir bhi tu aise ghum raha hai
Karan : ha tum log jao mein preeta ko ghar drop karke aata hu okay bye (leaves hurriedly)
He drops Preeta safely at home and heads to farm house
Precap
Abhi witness a mysterious girl on his way back from party
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top