Prem!
Prem ki paribhasha kya hai?
Kya hota hai premi?
Aao bataaun tumhe aaj main,
Kya hota nirmohi?
Moh baandhta hai bandhan me,
Prem chhudata bandhan.
Moh kutarta pankh tumhare,
Prem laga deta par.
Udte panchhi ka aasma prem,
Moh sunehara pinjra
Girne waalo'n ka aasra prem,
Moh girane wala.
Prem aur moh mein,
antar bas itna hai.
Moh swarthi hota,
Prem niswarth bhavana hai.
Maine toh likh diye shabd,
apni samajh anusaar.
Ab tum jaano tumhe moh prem mein,
chahiye kiska aasaar.
Par smaran rahe, prem abhilaashi,
Prem paana itna aasaan nhi.
Prem chaahne waalo'n ko,
Prem dena hota hai ghadi ghadi.
Thanks for reading,
With love,
Ara💙
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top