khoobsurati!!!

In pyaari pyaari do aankho'n ne,

 kaisa jaadu kar diya.

Khud ko hi na pehchaanei'n hum,

ye kya ho gya.


In aankho'n ke samandar mein,

doobte hi reh gaye hum.

Koii kashti nazar aayi nhi,

girte hi reh gaye hum.


Kudrat ne aapko sach mei'n,

fursat se banaya hai.

Duniya mein aapke jaisa,

doosra kahaan aaya hai.


Aapki sundarta ka bhed,

aapse sitaare bhi puchhte hain.

Kya karein voh, unka chaand bhi

aap hi ko dekhta hai.


Raato'n mein aake jugnu bhi,

nihaarte hain aapko.

din mein titliyaa'n khelti hain,

saath aapke.


nazrei'n jhukayei'n aap, 

toh din dhal jaata hai.

nazrei'n uthayei'n toh,

toh chaand bhi sharmaata hai.


Baadal se kaale ghane,

ye baal aapke.

suraj ki arunima jaise,

ye gaal aapke.


Awaaz se toh aapki,

koyal bhi lajati hai.

Aakho'n mein aapki,

kho kiran bhi jaati hai.


phoolo'n ki pankhudiyo'n jaise,

ye haath aapke.

Kaise sambhalei'n hum khud ko,

ho jab saath aapke.


Dear readers, dedicate this poem to someone in the comment section.

As of me, I was not particularly thinking about anyone while writing this. So, I dedicate this poem to all of you. Accept this little gift from me.

I hope you liked it.

Thanks for reading!!!

With love,

Ara💙

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top