Chapter 40
"Y/N wahan has Kar uss ladke se baat kar rahi hoti hai par tabhi Koi uske parche se aata hai aur uska haath bade aggressively pakad leta hai aur usse apni taraf keechta hai. "
"Y/N mud kar dekhti hai ki Jay ne uska haath pakad hai aur woh usse wahan party se alag terrace par le kar Jaata hai. Y/N ko itna aggressively le jaata dekh Yatharth jo wahan khada sab Kuch dekh raha hota hai woh unka peecha Karta hai. "
"Party se alag terrace par aane ke baad Jay aur Y/N dono Yatharth ke wahan aane ka wait Karte hai aur Jaise he unhe lagta hai ki woh aa gaya hai woh dono shuru ho jaate hai. "
"Yatharth unn dono ka peecha karte hua terrace par pauchta hai aur woh ek corner mein Jaa kar khada ho jaata hai jisse ki Koi usse dekh na sake par jo Yatharth dekhta hai usse dekh kar woh shock ho jaata hai. "
Jay : Aab tumhare liye kya main kaam pad raha hu jo tum dusre ladko se has has Kar flirt kar rahi ho.
Y/N : Jay aisa kuch bhi nahi hai.
Jay : Aisa kaise nahi hai. Maine apni aankhon se tumhe usse ladke se flirt karte hue dekha hai. Agar mujhe pata hota ki tum aisi ho main tumhe kabhi bhi date nahi Karta.
Y/N : Jay tum Yeh sab kya bol rahe ho.
"Jay, Y/N ki baat ignore Karta hai aur uss par zor zor se chilaanae lagta hai. Y/N yeh sab natak Kar toh rahi hai par Jay ke chilaanae se usse uski aur Jay ki pehli date par hota kuch bhi hua hota hai woh sab yaad aane lagta hai. "
"Yeh sab soch kar Y/N ki aankhon mein aansu aa jaate hai aur dusri taraf Jay ko yeh sab bol kar bilkul bhi acha nahi lag raha hai par woh yeh sab Yatharth aur Y/N ke liye kar raha hai. "
"Aur phir mein Jay woh karta hai jo sab ko shock kar deta hai. Jay, Y/N ki waist ko aggressively pakadta hai aur usse apna pass lata hai aur Y/N ko forcefully kiss Karne ki koshish Karta hai."
"Par isse pehle ki woh Y/N ko kiss Kare Yatharth aa kar Y/N ko Jay se durr kar deta hai. Aur usse zor se dhaka deta hai"
Yatharth : Jay yeh tu kya kar raha hai tera dimag toh theek hai na.
"Yatharth bhaut gusse mein hota hai aur Y/N ki haalat aur Jay ki yeh harkat uska sara control tod deti hai aur woh apni life mein pehli baar Jay par haath uthata hai. Yeh dekh kar Jay aur Y/N dono shock ho jaate hai aur Y/N Jay ko concern mein dekhti hai. Par Jay usse ignore karke next bolta hai. "
Jay : Bhai aap yahan se jao. Yeh mere aur Y/N ke beech ka matter hai.
Yatharth : Beech ka matter. Teri himmat kaise hui Y/N ke saath misbehave karne ki.
Jay : Apko kya farak padta hai. Aap hote kon ho humare matter mein bolne wale.
Yatharth : Mujhe farak padta hai kyuki main Y/N se pyaar Karta hu god dammit. Y/N meri puri duniya hai aur uske bina main kuch bhi nahi hu aur agar kisi ne bhi meri duniya ko dukh pauchaya toh main usse chodunga nahi woh tu bhi kyu na ho. Aur haan rahi baat ki main uska kya lagta hu aur kon hota hu woh mujhe kisi ko batane ki Koi zarurat nahi hai.
"Yatharth Yeh sab bina ruke aur ek saans mein bolta hai aur bolne ke baad Woh Y/N ka haath pakadta hai aur usse wahan se le jaata hai. "
"Yeh Sab sunkar Y/N ke Chehre par ek choti si smile aa jaati hai aur woh jaane se pehle Jay ko dekhti hai jo usse jaata dekh smile Kar raha hota hai. "
"Par unn dono ke jaane ke baad Jay ki aankhon se ek aansu nikalta hai aur woh usse pouchte hue ek sad smile ke saath bolta hai. "
Jay : I hope ki maine jo bhi kiya woh sahi kiya aur aab tum khush raho Y/N.
"Aur phir woh bhi wahan se chala jaata hai. "
"Yatharth, Y/N ko party mein wapas le jaane ki jagah usse apni car mein le jaata hai aur woh dono car ke aandar jaa kar baithte hai. Terrace se aane ke baad Yatharth ko realize hota hai ki usne abhi kya kiya aur woh Y/N ki taraf dekhta hai usse sorry bolne ke liye par isse pehle ki woh Kuch bole Y/N usse zor se hug Karti hai. "
Y/N : Thank you Yatharth
Yatharth : Please Y/N tum thanks mat bolo.
"Woh dono chup ho jaate hai aur phir thodi derr baad Yatharth usse bolta hai. "
Yatharth : Woh mujhe pata nahi wahan kya hua aur Maine sab bol diy-
"Par isse pehle ki Yatharth Kuch aur bole Y/N uske muh par apna haath rakhti hai aur usse bolti hai. "
Y/N : Apko kuch bolne ki Koi zarurat nahi hai main sab jaanti hu. Aab jhuth bol kar excuse banane ki Koi zarurat nahi hai.
"Yatharth thodi fluster ho jaata hai Y/N ki baat sunkar par fir usse Jay ke behavior ki yaad aati hai jo usne aaj dekh. Jay ka behavior Yatharth ko bhaut ajeeb lagta hai Kyuuu usse pata hai ki uska bhai kabhi bhi aisa nahi kar sakta par Woh sab dekhne ke baad Yatharth confuse ho jaata hai. "
Yatharth : Y/N I am really sorry mujhe nahi pata tha ki Jay yeh sab bhi kar sakta hai.
Y/N : Yatharth aap sorry mat bolo isme apki Koi galti nahi hai. Par Yatharth apne jo Kuch bol wahan bola kya woh sab sach tha.
"Yatharth thoda hesitate Karta hai par akhir mein bol deta hai. "
Yatharth : Haan Main tumse pyaar Karta hu. Tumhe aur kisi ke saath nahi dekh sakta aur na he kisi aur ke saath share Karna chahata hu. Aur main tumhare liye Kuch bhi kar sakta hu par mujhe pata ki tum-
"Yatharth ke muh se akhir mein yeh sab sunkar Y/N ko jo khushi hoti hai woh usse explain bhi nahi kar sakti par woh Yatharth ko hesitated dekh kar usse puchti hai. "
Y/N : Par main kya Yatharth.
Yatharth : Par yeh bhi Sach hai ki shayad tum mujhse pyaar nahi Karti aur na hi tum meri ho aur tum Jay ki girlfriend bhi ho aur main apne chote bhai ko dhoka nahi de sakta.
"Y/N, Yatharth ki baat sunkar maan he maan smile Karti hai yeh sunkar ki agar apni family ke liye itna sab Kuch Kar sakta hai toh woh uske pyaar ke liye kya Kuch nahi kar sakta. "
"Yeh sunne ke baad Y/N Kuch nahi bolti aur fir Yatharth car start Karta hai aur Y/N ko uske ghar drop Kar deta hai. "
"Aur wahan party mein Jay Tanmay aur Jaint ke pass jaata hai jo usse dekh kar samajh jaate hai ki uska plan kaam kar gaya. Par Woh Jay face par guilt aur sadness bhi notice Karte hai.
"Jay ke unke pass pauchte hi usse hug karte hai aur phir Jaint bolta hai. "
Jaint : Y/N aur Yatharth bhai chale gae.
Jay : Haan.
Tanmay : Tu theek toh hai na.
Jay : Main theek hu aur aab bas unn dono ko khush dekhna chahata hu.
Jaint : Tu tension mat le hum mil kar sab theek Kar denge.
"Jay phir unhe dekh kar bas smile Karta hai aur phir Woh log bhi wahan se chale jaate hai. "
Hey My people ❤
Hope you are doing fine and staying safe and healthy.
I hope you liked today's chapter.💕
I love You 💜
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top