The Truth ( part 1 )

Bondita - Thik hai ! Aaj mein apko mauka deti hu ! Apne pass aaj ki ye raat hai! Bataiye konsa sach ! Kya batana chahte hai aap ?

Anirudh looked towards her in disbelief.

Anirudh - Shotti ?

Bondita - Ha....Ha Shotti !

Bondita ( in mind ) - mein janti hu Barrister babu apke pass koi karan nahi hai ye saabit karne ke liye ki apne Jo mere sath kiya vo majboori mein kiya par.....par jab apne kaha ki apka dum ghut raha hai !

'Par...par mein ye sach apne andar aur nahi rakh par raha ! Mera......Mera dum ghut raha hai ab..... Mujhe.... mujhe dar hai ki ye sach mein apne andar lekar mar........'

Bondita ( in mind ) - isliye shayad mein Aaj apko pehli aur akhri baar mauka de Rahi hu ! Jo bolna hai bol dijiye !

Anirudh - toh mein tumhe shuru se batata hu ! Jab tumhe mene apne kamre mein pakda tha.....tab....tab mujhe iss baare mein khuch bhi nahi pata tha ! Shotti ! Jab....jab mene tumhe mere kamre mein dekha toh mein bahut hairaan ho gaya tha ! Mein....mein Maan hi nahi pa raha tha ki tum mere kamre mein jasosi karne aaogi ! Par jab mujhe meri files nahi mili ! Tab mein bahut dar gaya tha.....
Kyuki vo meri itne saalo ki mehnat thi ! Aur jaisa jaisa Som bolta raha , vaisa vaisa mein bhi gusse mein karta raha ! Aur uss raat jab mein case haar kar apne kamre mein aaya tha !

*Flashback

Anirudh - 8 saal pehle bhi na humne dushmani shuru Kari thi na Aaj.
Bondita Das tumne Aaj Tak Anirudh Roy Choudhury ka pyar , dekha hai ab Bondita Das Anirudh Roy Choudhury ki nafrat dekhegi. Pichli baar jab tumne baccho ki kulfi mein zeher milaya tha mein ye maane ko taiyaar nahi tha ki tum ye kar sakti ho, par ab jo hua hai meri ankhon ke samne hua hai aur vo mein nazarandaaj nahi karunga. Iski keemat tumhe chukani padegi Bondita Das.

Saying this he threw the frame. He looked at the frame and said gritting his teeth he said.

Anirudh - I hate you Bondita Das !

Suddenly his phone rang. Anirudh found it suspicious because it was midnight. He picked up the call.

Anirudh - Hello ?

Stranger - Hello Barrister babu mein...mein Tapur bol rahi hu !

Anirudh - Tapur !

Tapur - Ha mein apse keh rahi thi ki.....

Anirudh - Dekho Tapur agar tum apni behen ki saza Kam karvane ke liye mujhe call kiya hai toh sun lo mein aisa khuch nahi karne vala !

Tapur - Aur agar mein apko kahu ki mere pass ek aisa saboot hai jisse Bondita didi nirdosh saabit ho sakti hai toh ?

Anirudh - toh vo sabut tum kal panchayat mein dikha dena !

Tapur - panchayat mein nahi dikha sakti isliye toh apko phone kiya hai !

Anirudh - matlab ?

Tapur - mein apko sab samjhungi par yaha nahi......apko Krishnanagar ki phadi par aana hoga ! Aur agar apko mujh par bhi Shak hai toh apni banduk bhi la sakte hai !

Saying this she hanged up the call. Anirudh's inquisitive nature forced him to go there.

Then Tapur explained everything to Anirudh.

Anirudh - par vo saboot kaha hai ?

Tapur - Bondita didi ne kaha tha ki vo aaj saare saboot panchayat ko dikhayegi !

'Suna apne Sakha Babu bahut zaruri baat kehni hai mujhe apse. Please yaha aaiye.'

'mein janti hu aap mujhse baat nahi karna chahte par ye bahut zaruri hai ek baar meri baat sun lijiye.'

"Barrister babu keep your attitude in your pockets. What do you think I am a fool here requesting you to listen to me for once ! I also have my self respect Barrister babu, if it was not that much necessary I would have not shown you my face !"

'aana pada mujhe. Mein panchayat kisi bahut zaruri kaam se gayi thi par inhone mujhe sunne se inkar kar diya , inhone kaha ki apni samasya Barrister babu se kaho isliye mujhe aana pada'

Anirudh remembered the incidents and all the things became more clearer to him. And then he realised that why Bondita wanted to talk to him.

Anirudh ( in mind ) - mein bhi kitna bada gadha hu ! Mujhe laga Bondita mujhe propose.........

Tapur - kya soch rahe hai Barrister babu ?

Anirudh came out of his trance and explained her the situation.

Tapur - toh aap kya karenge Barrister babu ?

Anirudh - mein aaj jakar saare sabut dekh leta hu aur kal hum unhe panchayat mein dikha denge ! Aur ek phone apne pass rakhna ! Agar mujhe tumhe khuch batana hoga toh.......

Tapur - aap uski chinta mat kijiye mein rakh lungi.

Saying this they both left for their respective home. Anirudh ran toh his room and found a bag on his bed which he didn't noticed by now. He internally cursed himself for being so careless and started looking into the files.

Anirudh - Waah ! Bravo Bondita ! Bravo ! Ek young Barrister ke mukable toh tumne apna dimag bahut accha chalaya hai par.....ye case thoda ghambir hai aur isme sirf  kapde aur angoothi ki madad se hum saabit nahi kar payenge ki Chandrachur hi doshi hai !

He called Tapur.

Anirudh - Hello Tapur ?

Tapur - Jo boliye Barrister babu.

And Anirudh explained her the situation.

Tapur - toh ab kya karenge ?

Anirudh - hum kal ye saboot panchayat mein nahi dikha sakte.

Tapur - Kya ! Par aap jante hai na Bondita didi khatre mein hai.

Anirudh - mein janta hu par aur koi raasta nahi hai ! Hume rukna hoga. Aur tum chinta mat karo. Bondita ko kaise bachana hai....mein dekh lunga.

Saying this he hung up the call. Then his eyes went on the photo frame which he broke a few hours ago. He went and picked up the frame removed all the glass pieces and looked at the picture admiringly.

Anirudh - samay ke sath sab badal gaye par tum....tum Bondita aaj bhi vaisi ho bilkul nahi badli !

I hate you Bondita Das !

He remembered what he said an hour ago.

Anirudh - Nahi Bondita ! I....I hate myself ! Mene tumhe bhi sab jaisa samjha ! Mujhe maaf kar do Bondita ! Mein Vada karta hu. Mein sab theek kar dunga. Saabit kar dunga ki meri Bondita jasoos nahi hai ! Meri Bondita dushman nahi hai.

*Flashback ends

Anirudh - mujhe..... mujhe khuch samajh nahin aa raha tha Bondita tumhe kaise bachau ! Aur akhir mein mere pass yahi raasta bacha.......

Bondita - mujhe apne ghar gulaam banane ka.........

Anirudh sighed and said " Ha !"

Bondita - aur.....aur Jo aap mujhe beizzat karte the uska kya ? Mujhe Jo aap nauka , gulaam aur pata nahi kya kya naamo se bulate the uska kya ?

Anirudh chuckled and said.

Anirudh - tumhe bura lagta tha ! Kabhi bataya nahi tumne.Aur mein tumhe bata du ki jitna bura tumhe lagta tha usse kahi jyada bura mujhe lagta tha. Mene tumhe itna padhaya likhaya, vo Roy Choudhriyo ki chaakri karne ke liye nahi kiya ! Tumhe yaad hai Chandrachur jab apna gunah kabool kar raha tha tab usne ek jasoos ke baare mein bataya tha ?

'Mene ek jasoos ko bhi inke Ghar bheja jo mujhe har din vaha kya chal raha hai bataya karta tha'

Bondita - Ha......

Anirudh - tumhe pata hai vo jasoos kon tha ?

Bondita nodded in no.

Anirudh - Suraj ! Somnath ka secretary Suraj ! Isliye vo har din kaam ke bahane se Roy Choudhury Haveli mein aaya karta tha. Aur mein usse mana bhi nahi kar sakta tha kyuki Aisa karne se Chandrachur ko Shak ho sakta tha. Aur galti uski bhi nahi hai. Vo soch raha tha ki vo Thakuma ke liye kaam kar raha hai.

Bondita was shocked to the core hearing that. He never assumed Suraj to be the spy.

Bondita - aur jo aap court mein karte the vo ?

Anirudh - kya court mein Krishnanagar ke vakeel nahi hai Bondita ?

Bondita realised that Chandrachur might have told the lawyers of Krishnanagar to keep an eye on them.

Anirudh - aur tum janti ho Bondita uss din jab tum court ke bahar tum golgappe kha rahi thi tab mene itna gussa kyu kiya ? Mein..... mein dar gaya tha Bondita ki usme khuch Mila hua na ho. Aur mera shak sahi tha. Baad mein mujhe mere aadmiyon se pata chala ki unn golgappo mein behoshi ki dava milayi gayi thi ! Uss Chandrachur ne uss golgappe vale ko paise diye the ye karne ke liye.

This made Bondita more shock. But her questions didn't stop.

Bondita - toh.....toh kya aap Radha se bhi isliye buri tarah se peshaate the ?

Anirudh - Ha Bondita.

Bondita - toh aap mujhe akele mein bhi toh sach bata sakte the na ?

Anirudh - tumhe kya lagta hai Bondita mene tumhe kabhi batane ki koshish nahi ki  ? Mene kahi baar koshish ki par.....kabhi vaha Suraj maujood hota tha ya Ghar ke aur koi log. Tumhe kamre mein akele le jaakar bhi baat nahi kar sakta tha kyuki isse Suraj ya Ghar ke kissi sadasya ko Shak ho sakta tha !

A few minutes of silence came in between them. Bondita looked at Anirudh and realised he is about to get asleep, so before he gets asleep she asked.

Bondita - aur mera akhri savaal ! Apne Radha ko mujhse dur kyu rakha ! Aur rakha bhi toh uski jhoothi maut ka natak kyu kiya ! Aur.....aur Radha aapse itni close kab hui ! Vo kab se apko baba manti hai !

______________________________________

Hello guys if you liked the chapter then please vote and comment. Tell me about your opinion or your guesses. It will give me motivation to write another chapter as soon as possible. Thank you so much for reading.

Precap -

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top