Bondita and Aarif's argument
In Roy Choudhury Haveli
Trilochan - Aree aise kaise dawa nahi lagayega !Itna gehra ghaav laga hai usse !
Sampoorna - mein janti hu Jeth ji par aap jante hai na Anirudh kitna ziddi hai !
Trilochan - Aree yahi toh uski sabse badi samasya hai ! Par hum ghaav ko khula bhi toh nahi chhod sakte !
Sampoorna - ab hum kya kare ! Mujhe toh khuch samajh nahi aa raha !
Trilochan - Anirudh hamari baat nahi manega. Ab hume usse bulana hi hoga
______________________________________
Anirudh was in his study still with the deep wound and multiple injuries.
Anirudh's Pov :-
'Aap yahi chahte the !'
'Kyuki nafrat karte hai aap mujhse !
'Ye sab aap isliye hi kar rahe hai na kyuki mere Karan aap kabhi apna Ghar nahi basa paye ! Mere Karan ye dushman shuru hui'
' Kabhi Kabhi toh sochti hu ki uss din agar Sati ho gayi hoti........'
'Mein.....mein thak chuki hu Barrister babu'
Kya sach mein mai itna bura ban Gaya tha ki ab Bondita mujhse nafrat karne lagi hai ! Jis Bondita ke hasi ka karan mein tha, aaj uske dukh ka karan ban gaya ! Meri vajah se Bondita ko itna sunna pada itna sehna pada !
Kabhi Kabhi toh sochti hu ki uss din agar Sati ho gayi hoti........'
Tumne soch bhi kaise liya vaisa ! Chahhe tum mujhse naraz ho ! Chahhe saari galti meri ho ! Par tumhe vo nahi kehna chahiye tha Bondita ! Iske liye mein tumhe kabhi maaf nahi karunga! Thais pauchahi hai tumne mere Dil ko !
'Kyuki nafrat karte hai aap mujhse '
Huh ! Agar isse nafrat kehte hai Bondita toh pyar kisse kehte hai ? Ha Bondita tumhare Sakha Babu tumse bahut...... bahut...py.....
Ahh!
POV ends
Anirudh winced in pain. When his trance broke he saw Radha applying turmeric on his wounded cheek with tear rolling down her cheeks. As soon as Anirudh winced she got alert.
Radha - Sorry...... Sorry..... sorry..... sorry......
Anirudh - Radha kya.......
Radha - jyada dukh Raha hai apko ?......mein agli baar dhyan se karungi ! Shotti ! ......
Anirudh - princess shant ho jao mujhe dard........
Radha - Ho raha hai ! Mujhe pata hai apko dard ho Raha hai !........Sab meri galti hai ! Sab meri vajah se hua hai !
Anirudh - Radha ye tum kya keh rahi ho ! Jo man mein aa raha hai bole ja rahi ho !
Radha started breaking down into tears. Anirudh who was already feeling bad felt worst seeing her like that.
Princess !
He muttered to her and embraced her in a hug. Radha kept crying and Anirudh hugged her until she stopped crying and was hicuping.
Mein..mein bahut dar gayi thi baba!
Saying this she broke the hug and faced Anirudh.
Radha - Aap... Aap kyu fight kar rahe the Aarif se.....apko pata hai mein kitna dar gayi thi.....khuch samajh nahi aa raha tha.....aur....aur fir jab Aarif ne apko punch kiya.
She said and placed her hand near the wound.
Radha - bahut dard ho raha hai na ?
To which Anirudh nodded in no.
Radha - mujhe pata hai apko dard ho raha hai.
Saying this she picked up the turmeric paste and was about to apply it when Anirudh held her hand.
Anirudh - Princess ye sab karne ki zarurat nahi ! Mein bilkul theek hu ! Aur dekho mujhe dard bhi nahi ho raha !
He said and gave him an assuring smile.
Radha - Apse permission nahi mangi ! Order diya hai ! Aur princess ka order manna hoga apko !
Anirudh was suprised when she ordered him.
Anirudh - Accha ji ?
Radha - Haan ji !
Radha started applying turmeric paste on her wounds and Anirudh was just staring her with amazement.
Anirudh's Pov:-
Kitni pyari hai ! Bilkul Bondita jaisi ! Bondita bhi kabhi mujhe dard mein nahi dekh pati thi. Vo bhi aise hi haldi ka laip lekar mujh par order chalaya karti thi. Inn 8 saalo mein, jab mein Tulsipur ka itna bada Barrister ban gaya, kabhi kisi baat na maane vala, dusro par hukum chalne vala ! Kabhi socha nahi tha ki inn 2 ladkiyo ke aage chu bhi nahi kar paunga ! Manna padega Bondita aur Radha ko, Tulsipur ke itne bade Barrister ko apne ishaaro par nachvati hai ! Vaise ye itna bura bhi nahi hai !
Jyada dard toh nahi ho raha ?
POV ends
Radha asked in a concerned look to which Anirudh happily nodded in no.
Anirudh - I am sorry princess. Meri vajah se aap bahut dar gaye.
Radha - Fir kabhi fight karoge ?
Anirudh - Nahi karunga !
Radha - Shotti ?
Anirudh - Shotti !
Anirudh embraced her in a hug.
In Bondita's Home
Bondita - Ye sab kya tha Aarif !
Aarif - Bondita tum janti nahi ye Anirudh Roy Choudhury kaisa hai ! Mein janta hu vo kaisa hai ! vo......
Bondita - Mujhse behtar jante ho !
Aarif - Bondita vo......
Bondita - mene apna pura bachpan unke sath bitaya hai Aarif ! Aur tumhari himmat kaise hui unn par hath uthane ki !
Aarif - Bondita tum ye bhulo mat ki unhone tumhe kitna dukh Diya hai ! Uske badle toh ye khuch bhi nahi tha ! Man toh kar raha hai uski jaan....
Aarif !
Bondita - Bas bahut hua ! Tum mat bhulo ki tum jiss insaan ki baat kar rahe ho ussi insaan ke karan mein aaj apne pairo par khadi hu ! Mere aur Radha ke sar par ye jo chhath hai vo unhi ki vajah se hai ! Toh agli baar unke baare mein bolne se pehle 100 par soch lena !
Aarif - Waah ! Bondita aaj vo Anirudh Roy Choudhury jisne tumhare Bharat lautne ke baad sirf tumhe dukh Diya hai vo tumhe pyara ho gaya. Aur aaj uske liye tum mujhse lad Rahi ho !
That's when Bondita realised that she literally shouted on him.
Bondita - Aarif mera matlab.......
Aarif - mein mazak tumse hamesha kehta tha ki ek na ek din hamari dosti ke beech tumhare Sakha Babu ayenge, par dekho toh ! Kismat ne toh meri baaton ko sach bana liya !
Saying this he went to his room .
________Few hours later______________
Bondita - Aarif darwaza kholo ! Accha I am sorry ! Please darwaza kholo tumhe chot lagi hai ! Ghaav ko zyada der khula nahi chhodte.
After their argument Aarif locked himself in his room and denied to talk to her and take any medications. Bondita was requesting him to come out.
Aarif please !
Bondita said in a broken tone felling exhausted. She was about to leave when the door opened. As soon as Aarif came Bondita hugged him. Tears started rolling down her cheeks.
Aarif - Bondita......I am sorry.....mein tumhe rulana nahi chahta tha !
Bondita - Toh fir meri baat kyu nahi maani ? Kyu bahar nahi aaye ? Kyu dava nahi lagai.
She broke the hug.
Aarif - I am sorry
Bondita - Okay ! Chalo ab dava laga lo !
Bondita took him in the living room and applied medicines on his wounds. After she completed Aarif said.
Aarif - Bondita tumhe nahi lagta ki ab tumhe move on karna chahiye ?
Bondita - Kisse move on ?
Aarif - apne bite kal se !
Bondita - matlab mein samjhi nahi ki tum kya kehna chahte ho ?
Aarif - mujhe lagta hai ki jab se tum yaha aayi ho tab se yaha ke logo ne sirf tumhe dukh Diya hai, tumhara apmaan kiya hai........
Bondita - Aarif saaf saaf bolo ye sab bata kar tum kya saabit karna chahte ho ?
Aarif - Bondita mein ye kehna chahta hu ki tumhe aur Radha ko firse London chale jana chahiye !
By this statement of Aarif Bondita was shocked to the core.
Bondita - ye...ye tum kya keh rahe ho .... Bharat chhod kar jau.....par kyu....ye Mera Desh hai ! Mera Ghar hai !
Aarif - janta hu par kya iss desh ne tumhe kabhi apne ghar ka sadasya samjha ? Kabhi apna maana ? Kabhi tumhara samaan kiya ? Bondita mein janta hu ki tumhe hamare Desh se bahut lagaav hai, mujhe bhi hai par baat ko samjho ! Yaha ke log kabhi tumhara samaan nahi karenge ! Kabhi tumhe shanti se jeene nahi denge ! Aur apna nahi toh Kam se kam Radha ke baare mein socho !
Bondita was deeply in her thoughts. She was unable to take any decision.
Bondita - par mere aur Sakha Babu ke sapne ka kya ?
Aarif - mare hue rishto ke sath sath dekhe hue sapne bhi mar jaate hai. Tumhara aur tumhare Sakha Babu ka rishta mar........
Nahi Aarif ! Please vo mat kaho !
Aarif - mere na bolne se vo sach badal nahi jayega ! Ab faisla tumhare haath mein hai Bondita !
Bondita thought for few minutes and then answered.
Bondita - Thik hai mein aur Radha London chale jayenge !
Aarif - Mere nigaah ke baad mein tum dono ki ticket book karva dunga !
______________________________________
Hello guys if you liked the chapter then please vote and comment. Tell me about your opinion or your guesses. It will give me motivation to write another chapter as soon as possible. Thank you so much for reading.
Precap -
Anirudh - Bondita..... Bondita please.....I am sorry....... please Bondita...... mujhe chhod kar mat jao please..... mujhe ek mauka toh do
Bondita - Alvida Barrister babu !
Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top