‡ Hidaayat ‡

Ye jo duniya hidaayat de
Kya ye soche? Kya ye samjhe?

Are tum aise chal phir lo
Zara us ki tarah socho
Zara nazrein bhi neechi hoñ
Zara aankhoñ mein narmi ho

Ye jo pehna hai wo na ho
Wo ho jisme sharaafat ho
Sharaafat ho toh kapdoñ mein
Nazar mein phir bhale na ho

Zara tehzeeb se seekho
Zara jaano riwaayat ko
Bhale hi saañs roke ya
Bhale hi jaan le le wo

Ye jo dikhne meiñ jaise ho
Zara tum isko bhi badlo
Bhale hi khud ko kho do phir
Pasand aane ki qeemat do

Wo gar phir bhi na raazi ho
Kami tum mein hi hai samjho
Agar isse shikaayat ho
Toh dil ki baat na maano

Jo dil ki baat maani toh
Mukhaalifat karega wo
Toh dil se bair sa kar lo
Kahiñ tum pe na haavi ho

Magar usko toh na roko
Hidaayat dete jaaye jo
Wo aadi hukmaraani k
Siyaasat ko hi samjhe wo

Na samjhe dil ki baatoñ ko
Na hi wo samjhe aankhoñ ko
Sharaayat de k maare wo
Qatal bas karte jaaye wo

Qatal karne k aadi wo
Bhale hi aaj kal se ho
Mash'hoor hai qatl uska bhi
Wo zinda laash hai maano

Ye bhi ab ghaur se sun lo
Bhale hi khud bhi zakhmi ho
Wo khanjar peeth mein le kar
Kare ghaayal hai hum sab ko

-Eram
[ Insta handle:(@) khaamosh_zubaan]

-----------

Thank you so much for checking this out.

Please support me by:
★ leaving a star
★ comments
★ share it with your pals/followers
★ adding this book to your reading list
★ following me on Ig

Pics credit: Pinterest and Og artist.

Bạn đang đọc truyện trên: AzTruyen.Top